Hamare muashre me ek ajeeb rasm payi jati hai ki jab koi gham ka
ya koi khushi ka mauka hota hai to usme quran Khwani karte hai. Quran Khwani me
kuch logo ko bulakar Quran padhwaya jata hai aur fir uska sawab murde ko esaal
kar diya jata hai. Is amal ko Quran Khwani kahte hai. Aur Isme Rishtedaro aur
padosio ki bhi shirkat hoti hai.
Islam me har amal karne se pahle ye dekhna chaiye ki kya hamare Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne
us amal ko kiya ya fir ye nai chiz hai jispar hamare Rasool ka amal nahi tha
kyuki Deen e Islam ko sabse zyada samajhne wale jo insan the to wo khud Huzur
s.a.w. the.
Hazrath Arbaaz bin sariyah (r.a) se
riwayat hai ke, Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne
hume ek din subah ki namaz ke baad aise andaaz me nasihat farmayee jisse
aankhon se aansu jari ho gaye, aur dil me khouf paida ho gaya, ek shakhs ne arz
kiya, yeh to ruksati(farewell) ki nasihat maloom hoti hai, phir aap hume kis
chiz ki wasihat farmate hai??, Aap (s.a.w)ne irshaad farmaya, main tumhe Allah
se darte rehne ki wasihat karta hon, tumme jo mere baad zinda rahega, wo deen
mey bohat se ikhtelaf dekhega,Tum par lazim hai ki deen me nayi-nayi nikali
huwi chizon se bachna, kyunki har nayi chiz deen me gumrahi hai, lihaza tum
aisa zamana pao to, meri aur hidayat-yaftah, khalifa-e-rashe deen ki sunnat ko
masbooti se thame rehna.
– (Sunan Abu
Dawud, Model Behavior of the Prophet (Kitab Al-Sunnah) [40:4590)
Is hadith se saaf taur par Zahir ho gya ki Deen me tabdiliya ki
jayengi aur deen me nai nai chize nikali jayengi, toh Huzur ne is se bachne ki
nasihat ki hai hame aur biddat ko chor ke sunnat ko pakadne ki nasihat farmai
hai hame upar ki hadith me.
Zaahir si baat hai koi bhi Quran ki ayat ya Huzur ki sunnat hame
ye nahi batlati hai ki koi bhi Khushi ya gham ke mauke par kuch logo ko
bulwakar Quran padhkar murdo ko baksha jaye jise Quran Khwani kahte hai. Balki
salaf me ye amal bilkul hi nahi paai jati thi wo baat alag hai ki India,
Pakistan aur kuch mulko me ye amal paai jati hai. Lekin hame Islam ko dekhne ke
liye musalmano ko nai balki Quran aur Sunnah ko dekhna chaiye.
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne
Farmaya - Mai tum logo ke paas do chize chor ke jaraha hu jab tak tum in do
chizo ko pakde rahoge tab tak tum gumraah nahi hoge, wo hai Allah ki kitab aur
meri Sunnah .
– (Muwatta Imam Malik, The Decree [46:46.1.3)
– (Muwatta Imam Malik, The Decree [46:46.1.3)
Kuch log kah sakte hai ki Quran Khwani me burai kya hai, ham
Quran ki tilawat karte hai aur gareeb aur rishtedaro ko khana khilate
hai, wo log ye jaan le ki kisi nek kaam ko kisi din ke liye khas kar lena bina
shariyat ke dalail ke to use Rasool’Allah (Sallallahu
Alaihi Wasallam) Ne biddat kaha hai, aur iski
wazahat kuch aise ki hai:
Ayesha r.a. riwayat karti hai ki Rasool ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Ne Farmaya ki
Jisne hamare is deen me kuch aisi baat shamil ki jisme hamara amal nai hai to
wo mardud hai.
– (Sahih al
bukhari, had-2697 - Sahih Muslim, had-1718)
Aur sahaba ikram r.a. ne ye bhi wazahat kardi ki agar koi biddat
upri taur par neki ka kaam lage(biddate hasana) to usko bhi shariat ne gumrahi
kahi hai:
Abdullah Ibn Umar (RA) FarMate Hain: TAMAAM
Biddatein GUMRAAHI hain, agarche “Ba-Zaahir woh, logon ko ACHCHI lagein”.
– (SUNAN KUBRA
BAIHAQI (HADITH138)
Aur iski bhi wazahat kardi ki koi bhi biddat e hasana hame fayda
nahi pohcha sakta ya hame Allah se qareeb nahi kar sakta
Mohammad sallalaahu alaihi wa sallam ne farmaya: ”Maine tumhare
paas kuch nahin chhora jo tumhe Allah ke aur kareeb le aye siwaaye jiska maine
tumhe hukm diya hai.”
– (Reported by
at-Tabaraani, authentic, refer to Asl Sifatis-Salaati n-Nabee, vol. 3, p.
942][Musnad Ahmad, Silsilah Sahiha 1803, Sahih by Albani)
LIHAZA SUNNAT SE MOHABBAT KARE AUR BIDDAT SE PARHEJ KARE, Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne
Farmaya - “…AUR JISNE MERE SUNNAT(TARIKE) SE MOHABBAT KIYA USNE MUJHSE MOHABBAT
KIYA AUR JISNE MUJHSE MOHABBAT KIYA WO MERE SATH RAHEGA JANNAT ME . “
– (SUNAN
TIRMIZI, HADITH-59 )
-Aur “Allah” sab se behtar janta
hai. Beshak!
*~*--ஜ۩۞۩ஜ----Mumtaz Parveen-----ஜ۩۞۩ஜ---*~*-
●▬▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬▬●
0 comments:
Post a Comment