*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●

•HADEES E PAAK•
 Baghair Hawale Ke - Hadees Post Ya, Share Krne Ki Waeed

---------------
Hazrath Arbaaz bin sariyah (r.a) se riwayat hai ke, Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne hume ek din subah ki namaz ke baad aise andaaz me nasihat farmayee jisse aankhon se aansu jari ho gaye, aur dil me khouf paida ho gaya, ek shakhs ne arz kiya, yeh to ruksati(farewell) ki nasihat maloom hoti hai, phir aap hume kis chiz ki wasihat farmate hai??, Nabi-e Kareem (s.a.w) Ne Irshaad Farmaya - main tumhe Allah se darte rehne ki wasihat karta hon, tumme jo mere baad zinda rahega, wo deen mey bohat se ikhtelaf dekhega,Tum par lazim hai ki deen me nayi-nayi nikali huwi chizon se bachna, kyunki har nayi chiz deen me gumrahi hai, lihaza tum aisa zamana pao to, meri aur hidayat-yaftah, khalifa-e-rashe deen ki sunnat ko masbooti se thame rehna.
- (Sunan Abu Dawud, Model Behavior of the Prophet (Kitab Al-Sunnah) [40:4590]
 
*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●

Ayen Bulandiyoun K Baadshah, Ayen Rabbe Kayenaat 
"Mumtaz" Ka Dil Or Qadam Apni Raza Ki Taraf Pher De

*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●


  ▄    █ ♥ Mumtaz ♥ █    ▄  

╠ •AL-QURAAN• ╣

"Biwi Bachcho Ko Nek Banane Ki Dua.,"....!...
--------------
"Bismilahirrahmanirrahim
------------
 Al-Quraan: Ya Allah Hame Aisi Aulad,aisi Biwi De,aisa Khawind De Jo Hamare Tasawwar Se Bhi Balatar Ho,ankho Ki Thandak Ho

*Aur Nek Aulaad Ki Talab Ki Kitni Ahmiyat Hai Iske Talluk Se "Allah Rabbul Izzat" Ne Quraan Me Apne 2 Ambiyao Ki Duao Ka Tazkira Kiya,   

*رَبَّنَا هَبْ لَنَا مِنْ أَزْوَاجِنَا وَذُرِّيَّاتِنَا قُرَّةَ أَعْيُنٍ وَاجْعَلْنَا لِلْمُتَّقِينَ إِمَامًا*
----------
✦ Rabbana Hab Lana Min Azwajina Wa Zurriyatina Qurrata Aayunin WajAalna Lilmuttaqeena Imama.

✦ Tarjumah:  Eh Hamare RABB Humko Hamari Biwiyo Aur Aulado Ki Taraf Se Aankho Ki Thandak Ata Farma Aur Humko Parhezgaro Ka Imam Bana. 
– (Al Quran Surah Al-Furqan (25), 74)  {Read-More..}
– Ke Ek Jagah Ibrahim (Alaihi Salam) Dua Karte Hai:”Rabbi Habli Minn Salehin”  (37:100) Yaani “Aye Allah ! Mujhe Nek Aulaad Ata Farma”

– Aur Dusri Jagah Allah Rabbul Izzat Ne Zakariya (Alaihi Salam) Ki Dua Ka Tazkira Karte Hue Farmaya: Rabbi La Tazarni Fardown Wa Anta Khayrul Wariseen – (Surah:Surah Al-Anbya) 

“Aye Allah Mujhe Aulaad Ata Farma , Aisi Aulaad Jo Acchi Ho” – (3:38)– Tou Aulaad Ki Tarbiyat Ka Dusra Marhala Ye Hai Ke Apne Rab Se Nek Aur Saleh Aulaad Talab Karey ,..{Click-More..}

*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●




  ▄    █ ♥ Mumtaz ♥ █    ▄  

*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●
  ▄    █ ♥ Mumtaz ♥ █    ▄  

╠ •HADEES E PAAK• ╣

Astagfar Ki Fazilat
--------------
» Mahfum-e-Hadees:Nabi-e-Kareem(Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmatey Hai –
“Jo Shakhs Astaghfar Ko Apne Uper Laazim Karle
♥ Tou Allah Iske Liye Har Tangi Se Nikal Ne Ka Rasta Nikal Deta Hai,
♥ Aur Har Gham-O-Pareshani Se Isey Nijaat Deta Hai,
 Aur Usey Aisi Jagah Se Rizq Deta Hai, Jis Ka Usey Guman Bhi Nahi Hota.”
– (Abu Dawood, Ibn-e-Majah)

Astaghfirullah 100 Times - Benefits of Istighfar {See-more}
Astaghfar Ki Dua
“Astaghfirullahi Rabbi Min Kulli Zanbbiuw Watoobu Ilaih”
“Ya ’Allah ! Magfirat Chahta Hu Har Kism Ke Gunaah Se Aur Mai Teri Baargah Me Taubah Karta Hu”
*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●

*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●
  ▄    █ ♥ Mumtaz ♥ █    ▄  

“Aye Wo Logo Jo Iman Laye Ho! Apne Aap Ko Aur Apne Ahlo Ayal Ko Jahannum Ki Us Aag Se Bachao Jiska Endhan Insan Aur Patthar Honge ” Al-Quran 66:6 – @[156344474474186:]


(A) - TARBIYAT KA 1st MARHALA › Nek Aur Deendar Maa Ka Intekhab:
Aulaad Ke Liye Sabse Pehla Haq Ye Hai Ke Uskey Liye Sabse Acchi Maa Ka Intekhab Kiya Jaye.” …


– Jiske Taaluk Se Allah Ke Rasool (Sallallahu Alaihi Wasallam) Farmatey Hai
MAHFUM-e-HADEES: Aurto Se Nikah 4 Chezo Ki Buniyad Par Kiye Jate Hai, Lekin Tum Deendari Ko Thaam Lo,.”  (Bukhari: Jild 3, Safa 59)

– Yaani Deendar Aurat Se Nikaah Karke Duniya Aur Aakhirat Ki Kamiyabi Hasil Karlo.
Aur Acchi Nek Sifat Deendar Aurat Ko Hasil Karne Ke Talluk Se
Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) Farmatey Hai
HADEES: “Ye Duniya Tamam Ki Tamam Khair Ki Cheez Hai, Kamane Ki Cheez Hai… Aur Usme Sabse Khair Jo Cheez Hai Wo Hai Nek Aurat (Biwi)”  (Sahih Muslim)
B). TARBIYAT KA 2nd MARHALA › Acche Naam Rakhey:

*Aur Isme Bhi ek Aham Baat ye Hai ke Unke
 Acche Naam Rakhey Aur Uss Naam Ko Shakshiyato se Wabasta Rakhey.

– Yaani “Beta humne Aapka Naam Salman Isliye Rakha ke ek Sahabi they Salaman Farsi (R.A.) Unke Imaan Laaney ki Dasta Aisi aur Aisi hai” tou Aapki Aulaad bhi Uss seerat par Gour Karegi,.. Aur Unki Tarha ban’ne ki Justju Rakhengi.

– Warna Naamo ke kya kuch Galat Asarat Nahi Hotey Beharhaal bataney ki jarurat nahi.
“Kyuni Jab Bacchey Ka Naam tou Salman Bhaijan Se Mutasir hokar rakha Aapne Fir Wo Usi Bhaijan Ko Role Model banakar Zindagi bhar Nachata Rahega Aapko,”

(C) - TARBIYAT KA 3rd MARHALA › Allah Se Nek Aulaad Talab Karey:

Ab Achi Biwi Ke Intekhab Ke Baad Jab Nikaah Ho Jaye Tou Allah Se Nek Aulaad Talab Karey,.. Khalis Apne Rab Se Duaye Karey Ke – “Aye Allah Hume Nek Aulaad Dey, Saleh Aulaad Ata Farma”


*Yaad Rakhey – Ye Bhi Aulaad Ki Tarbiyat Ke Marhale Me Se Hai. Isiliye Kyunki Allah Apne Bando Ko Waise Hi Ata Karta Hai Jaisa Ki Wo Tadap Rakhtey Hai. Lihaja Apne Rab Se Nek Aulaad Ki Hajat Bhi Tarbiyat Ke Marhalo Me Se Ek Marhala Hai

*Aur Nek Aulaad Ki Talab Ki Kitni Ahmiyat Hai Iske Talluk Se Allah Rabbul Izzat Ne Quraan Me Apne 2 Ambiyao Ki Duao Ka Tazkira Kiya,

– Ke Ek Jagah Ibrahim (Alaihi Salam) Dua Karte Hai:
”Rabbi Habli Minn Salehin” (37:100) Yaani “Aye Allah ! Mujhe Nek Aulaad Ata Farma”

– Aur Dusri Jagah Allah Rabbul Izzat Ne Zakariya (Alaihi Salam) Ki Dua Ka Tazkira Karte Hue Farmaya:

“Aye Allah Mujhe Aulaad Ata Farma , Aisi Aulaad Jo Acchi Ho”(3:38)

– Tou Aulaad Ki Tarbiyat Ka Dusra Marhala Ye Hai Ke Apne Rab Se Nek Aur Saleh Aulaad Talab Karey.

*Yaad Rakhiye Aulaad Dena Aur Na Dena Ye Sirf Aur Sirf Allah Ke Zimme Hai..

Allah Rabbul Izzat Iske Talluk Se Quraan Me Wajeh Farma Chuka Hai Ke:

“Saare Aasmaan Wa Zameen Ki Hukumat Allah Hi Ki Hai, Wo Jo Chahta Hai Paida Karta Hai,. Aur Jise Chahta Hai Sirf Betiyan Deta Hai Aur Jise Chahta Hai Mahaj Beta Ata Karta Hai. Ya Bete-Betiya Dono Kism Inayat Karta Hai Aur Jisko Chahta Hai Baanz Bana Deta Hai, Beshaq Woh Bada Wakifkar Qadir Hai”
– (42: 49-50)
(D) - TARBIYAT KA 4th MARHALA: Aulaad Ladka Ho Ya Ladki Dono Ko Kabool Karey

Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam)
 
Apni Ummat Ko Basharat Detey Hue Farmatey Hai
“Jisko 3 Ladkiya Ho Aur Unki Acche Se Tarbiyat Karey, Unka Nikaah Kara Dey Tou 
Wo Shakhs Jannat Me Mera Padosi Hoga.”
 
E). TARBIYAT KA 5th MARHALA: Aqiqah Karey


Aulaad Ki Paidaish Ke 7 Ve Din Uska Aqiqah Karna Ye Bhi Uski Tarbiyat Me Se Ek Hai, Isiliye Kyunki Jab Baccho Ko Ye Pata Chalega Ke Uske Walidain Itney Sanjida They Uski Tarbiyat Ke Liye Ke Uski Paidaish Se Pahle Se Hi Uske Liye Acchi Maa Ka Intkhab Kiya, Uske Liye Allah Se Dua Karte Rahe Aur Paidaish Ke Baad Sunnat Ke Mutabik 7 Ve Din Me Aqiqah Kiya Tou Ye Baccha Bhi Deen Ki Taraf Mayeel Hoga.
Aur Ye Aulaad Ke Hukuk Me Se Bhi Hai Ke 7ve Din Uska Aqiqah Kiya Jaye,

*Lekin Afsos Ke Jab Dushmanane Deen Ne Islam Par Waar Karna Shuru Kiya Tou Sabse Pahle Nabi Ki Sunnato Ke Bilmukabil Fizul Ke Rasmo Riaj Ijad Kiye.

– Sunnat Tou Ye Hai Ke 7 Ve Din Aqiqah Kiya Jaye Lekin Sunnat Ki Mukhalifat Me Aaj Humare Mu’ashare Me 6th Ve Din Chatti Ki Jaati Hai. Aur Usme Bhi Tarah Tarah Ki Rasme Ki Jaati Hai Jiska Shariyate Islamiya Se Koi Talluk Nahi. Allah Bachaye Hume In Khurafato Se

*Lihaja Ladka Ho Ya Ladki Ho Sunnat Se Sabit Aqeeqa Kiya Karo Unka, Ladki Ke Liye Ek Baqra aur Ladke Ke Liye 2 Baqre Zubah Karo, Accha sa naam Rakho Unka , Ija Dene Wali Cheez Unse Door Karo Yaani Unke Baal Tarshwao,.. Aur Istehaat Ho Tou Unke Baal Ke Wajan Ke Barabar Chandi Taqseem Karo Garibo Me,.. Aur Ladka Ho Tou Khatna Kiya Jaye

Ye Aulaad Ka Haq Hai.. Yahi Unki Tarbiyat Me Shamil Hai

*Aqiqeh Ke Ahmiyat Ke Talluk Se Riwayat Me Aata Hai Ke:
Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) Farmatey Hai

“Her Bacha Apney Aqiqah Ke Sath Girvi Hota Hai’ Lehaza Uska Aqeeqah 7ve Din Karey Aur Bacchey Ka Naam Bhi Rakha Jaye.” (Abu Dawud H#2837 and At-Tirmithi No.1522.)

– Yaani Allah ne Ek Neymat Di hai Aapko, Tou Abhi Wo Girwi hai Allah ke Paas, Usey Churaiye Uska Aqeeqa karke.

Aur Jab Usey Pata Chalega Ke “Beta Humne Tumhara Aqiqah Allah ke
Nabi (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki Sunnat Ke Mutabik Kiya Tha, Tumhare Paida Hone Se Pahle Hi Tumhara Naam Tay Kiya Tha ,..” Tou Maa-Baap Ki Us Justju Aur Koshish Ko Dekhkar Uss Bacche Par Bhi Kya Asar Hoga Jara Gour Hi Kijiyega.

*Tou Beharhaal Aulaad ki Paidaish ke 7ve Din Sunnat Ke Mutabik Uska Aqiqah kare,.. Warna Humne Sunnat ko Chorr Biddate Apna li, tou Humari Aulaad bhi Biddato ke Aadi Ho Jaengi ,..
– Kyuni Shaitan ne tou har Cheez me Wargala diya Momino ko,. Ki Tum Sunnat ko kaha Amal me La Rahe ho ?. Biddatey Karo,. Khurafat karo,.. Rasam Rasmaney karo,.. usi me tou Maza hai. 

*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●
  ▄    █ ♥ Mumtaz ♥ █    ▄  

E). TARBIYAT KA 5th MARHALA: AULAAD KI RAJA’AT  Naam Hai Aur Mahfum
Aulaad Paida Ho Gayi,. Uska Aqiqah Kiya,. Ab Usko Doodh Pilaney Ka Jo Marhala Hai Usey Raja’at Kehtey Hai, Aur “Bachche ko Maa ka Doodh Pilane ki Muddat 2 Saal Hai” (Al-Quran 2:233)

– *Baccho ka Ye Haq Hai ke Unhe Maa Ka Doodh miley, Liahaja Bilawajah(Bina Kisi Marj Ke) Unka Ye Haq Unsey Mat Chiniye ,..

– Warna Aajkal Aksar Western Culture Se Mutaseer Hokar Khawatin Apni Jismani Sakth Ko Banaye Rakhne Ke Liye Apni Aulaad Ko Apna Doodh Pilaney Ke Bajaye Dibbo Ka Doodh Pilatey Hai…

– Yaad Rakhiye Jo Bacche Apni Maa Ka Doodh Nahi Pitey (Bahalatey Majburi Alag Baat Hai) Unhe Na Aapse Waisi Mohabbat Hongi Aur Na Wo Mamta Ka Jasba Hoga Aur Na Wo Aapke Sath Wo Unsiyat Rakhenge Jo Bacche Apni Maa Ka Doodh Pitey Hai ,..

*Umro Bin Abdullah (R.A) Unki Biwi Se Humesha Kehtey They Jab Wo Bacchey Ko Doodh Pilaya Karti Thi Ke –
“Tu Apne Bacche Ko Is Tarha Doodh Na Pilana Jaisa Janwar Pilatey Hai,.. Balki Apne Bacchey Ko Aisa Doodh Pilana Ke Tu Us Se Pyaar , Mohabbat, Shafaqqat Aur Narmi Bartey,.. Humdardi Ka Muamla Rakhey , Uspe Raham Kare Aur In Tamam Se Badhkar Allah Se Azr Aur Sawab Talab Karey Ke Allah Ki Ek Makhlookh Tujhse Rozi Paa Rahi Hai ,.. Aur Fir Yahi Baccha Bada Hokar Allah Ki Ibadatey Karega, Tawheed Par Chalega, Iska Azar Bhi Tujhiko Milne Wala Hai,.. ”

– Tou Ye Niyat Karke Aurte Agar Doodh Pilaye Tou Subhan’allah Kya Unke Bacchey Honge Aur Kya Ajar Milega Ke Wo Baccha Jis Par Nashronuma Paya Hai Uss Maa Ko Bhi Uske Bacche Nek Amal Ka Azr Milne Wala Hai ,..

F). TARBIYAT KA 6th MARHALA: ACCHI BAATE BOLNA SIKHAIYE.
Ab Raj’at Ke Baad Jab Bacchey Bolne Lage Tou Unhe Allah Ke Naam Sikhaiye,.. Acche Qalam, Acchi Acchi Baatey Sikhaiye ,..

– Lekin Afsos Ki Baat Aaj Humare Muashre Me Ye Hai Ke Jab Humare Bacche Bolne Lagtey Hai Totli Zubaan Me Tou Log Unn Baccho Ko Gaaliya Sikhatey Hai… Aur Fir Gaaliya Dene Bhi Lagatey Hai Ke:Dekho Masha’allah Mera Baccha Kitni Acchi Galiya Deta Hai Totli Zaban MeSubhan’Allah!!!

– Aur Fir Yahi Baccha Jab Bada Ho Kar Sidhi Zaban Me Waise Hi Gaali Dene Lagta Hai Tab Badi Sharmindagi Mehsus Hone Lagti Hai Hume,.. Tab Aehsas Hota Hai Ke Kya Tarbiyat Di Thi Humne Isey Jiska Natija Aaj Humare Samney Hai ,..

– Tou Beharhaal Apne Baccho Ko Fizul Cheezo Ke Bajaye Allah Ke Naamo Sifat Sikhaiye,.. Acchi Qalimaat , Acche Alfaz Sikhaiye , Ye Unka Marhala Hai,.. Unka Haq Bhi Hai Aur Ye Uski Parwarish Me Bohot Aham Muqam Rahta Hai Yaad Rakhiye ,..

*Aur Yaha Ab Asal Role Aaya Maa Ka –
Baap Tou Rozi Roti Kamane Chal Deta Hai Kaam Ko,.. Subha Gaya Aur Shaam Me Aaya.. Ab Maa Bacche Ke Sath Din-Raat Hai,.. Tou Wo Sikhayegi Ke – Beta! Bolo Allah

– Apne Rab Ka Taruf Dena Hai Maa Ne Apni Aulaad Ko, Hala Ke Wo Baat Samjhta Nahi Uss Umr Me,.. Lekin Yaad Rakhiye Ye Bacche Jo Hotey Wo Boltey Nahi Aisi Umr Me Lekin Dekhtey, Suntey Aur Samjhtey Hai ,.. Ye 3 Salahiyatey Inme Paidaish Se Hoti Hai,.. Lihaja Ye Recorder Ka Kaam Karte Hai,.. “Ke Chaha Ki Ye Fitrat Hai, Maamu Ki Ye Fitrat Hai,.. Maa Aur Baap Ki Ye Fitrat Hai,..”

– Aur Aap Dekhiye Ke Jitna Chotaa Baccha Ghar Me Utna Hi Hoshiyar Hota Hai Wo,.. Isiliye Kyunki Pehla Baccha Jo Hota Hai Wo Umuman Badi Khamosh Tabiyat Ka Sanjida Hota Hai, Kyunki Usne Ghar Me Sirf 2 Logon Ko Dekha Hota Hai,.. (Maa-Baap, Ya Dada-Dadi Ya Kuch Aur Logon Ko) ,..
– Dusra Baccha Jab Aata Hai Tou Thodey Aur Logon Ko Dekhta Hai , Yaani Maa-Baap, Badey Bhai Ko Aur Apne Aapko,..

– 3rd Baccha Jo Hota Hai Wo Aur Aqlmand Hota Hai Kyuni Wo 4 Logon Ko Paidaish Se Dekhta Aur Ghurta Rehta Hai ,..

*Tou Baccha Jo Abhi Leta Hua Hai Wo Recorder Ki Tarha Hota Hai,.. Har Cheez Ko Dekh Raha Hota Hai,.. Agar Maa-Baap Uske Samne Behayayi Karenge Tou Wo Baccha Bhi Bada Hokar Behaya Niklega,..
– Aur Yahi Wajah Hai Ke Chotey Chotey Bacche Jinko Hum Ahmiyat Detey Hai Unhe Wo Bhi Ahmiyat Detey Hai,.. Baap Mobile Ko Ahmiyat Deta Hai Tou Baccha Bhi Mobile Hi Sabse Pahle Mangega,.. Nakli Mobile Dijiye Tou Fek Dega Kyuni Usko Maloom Hai Ke Ye Nakli Hai,.. Isme Roshni Nahi Chamak Rahi ,..

– Tou Bacche Bachpan se Hi Badey Zaheen Hotey Lihaja Unki Maa Ki Yaha Jimmedari Banti hai Ke Wo Cheezo ka Taruf Dey, Aur Sabse Awwal Taruf Apne Rab ka Dey ,.. Bacche Ko Acchi-Acchi Baate Sikhaye,.. Aur Nahi Bhi Sunta Hai Tou Usey Boltey Rahe Kyun Ke Wo Sunta Aur Khamoshi Se Samjhta Bhi Hai ,..
*Lekin Aaj Muashre Me Dekha Jata Hai Ke Maaye Aisa Rishta Jodti Nahi Apni Aulaad Se,. Isiliye Hum Dekhte Hai Humare Paas Ke Akide Ka Muamla Bada Kamzor Nazar Aata Hai,.. Na Allah Se Mohabbat Aur Na Uskey Rasool (Sallallahu Alaihi Wasallam) Se Mohabbat Ka Jasba Hai ,.. Kyuni Wo Sikhatey Hi Nahi Baccho Ko Bachpan Se,..


*Lihaja Maa Apna Role Ada Karey Apne Baccho Ko Apne Rab Ka Taruf Dey,.. Isiliye Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya Ke “Deendar Ladki Ka Intkhab Karey” Yaani Wohi Marhala Jo Sabse Pahla Liya Humne ,..


*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●