▁ ▂ ▄ ▅ ▆ ▇ █ ♥ Mumtaz ♥ █ ▇ ▆ ▅ ▄ ▂ ▁
╠ •HADEES E PAAK• ╣
★Darood Shareef Ki Beshumaar Fazilat
--------------
" Bismillahirrahmanirrahim
✦ •Al-QURAAN• Beshak Allah subhanahu
aur uske farishtey Nabee Sαℓℓαℓℓαнυ
Aℓαyнє Wαѕαℓℓαм par durud bhejte hain, Eh imaan walo tum bhi un par durud aur
salam bheja karo.
–(Al Quran, Surah Al-Ahzab (33), Aayah 56)
–(Al Quran, Surah Al-Ahzab (33), Aayah 56)
✦ Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne
Farmaya - Tumhare tamam dino mein Jumaa ka din sabse afzal hai ki is din
Hazarat Aadam Alalhi salam ko paida kiya gaya aur usi din unki rooh qabz ki
gayee aur isi din soor phunka jayega aur isi din sab behosh hongey isliye is
roz (juma ko) mujh par ziyada se ziyada durud bheja karo kyunki tumhara durud
Parhna mujh par pesh kiya jata hai, logon ne kaha ya Rasoollallah
SallallahuAlalhi Wasallam Hamara Durud Parhna Aap par kis tarah se pesh hoga
jabki Aap to Mitti ho gaye hongey,to Aap SallallahuAlalhi wasallam ne farmaya
Allah taala ne Anbiya karam ke Jism ko Mititi par haram kar diya hai.
– (Sunan Abu Dawud, Vol 1,1035-Sahih)
– (Sunan Abu Dawud, Vol 1,1035-Sahih)
✦ Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne
Farmaya - Qayamat ke din mere sabse nazdeek wo log honge jo mujh par zyada
durud bhejte hain.
– (Jamia Tirmidhi, Vol 1, 466-Hasan)
– (Jamia Tirmidhi, Vol 1, 466-Hasan)
✦ Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne
Farmaya - Bakheel wo hai jiske samney mera Zikr ho aur wo mujh par Durud na
bhejey.
– (Jamia Tirmidhi, Vol2, #1469 – Sahih)
– (Jamia Tirmidhi, Vol2, #1469 – Sahih)
✦ Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne
Farmaya - Jo shaksh mujh par Ek martaba Durud bhejega to Allah subhanahu us par
10 martaba rahmat bhejega aur uskey 10 gunaah maaf honge aur 10 darjaat buland
hongey.
– (Sunan An Nasaii, Vol1, No. 1300 –Sahih)
– (Sunan An Nasaii, Vol1, No. 1300 –Sahih)
✦ Ek din Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Tashreef
laaye to aapkey chehre Mubarak par khushi mehsus ho rahi thi to humney Aap
Sallallahu Alaihi Wasallam se pucha ki aapkey chehrey Mubarak par khushi ki
wajah kya hai? to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya abhi mere pass
Jibril tashreef laaye aur kaha ki ( Allah Farmata Hai) kya tum is baat se khush
nahi ho ki tumhari ummat mein se jo shaksh ek martaba durud bhejega to main us
par 10 rahmat nazil karunga aur tumhari ummmat mein se jo shaksh ek martaba
Salam bhejega to main us par 10 martaba salamati bhejunga.
– (Sunan Nasai, Vol 2, #1298-Hasan)
– (Sunan Nasai, Vol 2, #1298-Hasan)
✦ Nabee Sαℓℓαℓℓαнυ Aℓαyнє Wαѕαℓℓαм Ne
Farmaya - Mujh par Durud bhejtey rahna kyunki tumhara durud mujh tak pahucha
diya jata hai chahey tum kisi bhi jagah ho. {See more}
Sunan Abu Dawud, vol2, 274-Sahih
Sunan Abu Dawud, vol2, 274-Sahih
*~*--ஜ۩۞۩ஜ----Mumtaz Parveen-----ஜ۩۞۩ஜ---*~*-
●▬▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬▬●
0 comments:
Post a Comment