▁ ▂ ▄ ▅ ▆ ▇ █ ♥ Mumtaz ♥ █ ▇ ▆ ▅ ▄ ▂ ▁
╠ •HADEES E PAAK• ╣
★Salatul Tasbeeh Ki Fazilat - Hadees Ki Rroshni Me
--------------
♥ Mahfum-e-Hadees: Rasool Allah’ (ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм) Ne
apne chacha hazrat abbas رضي الله عنه ko is namaz ki targheeb farmayi, is namaz
k padhne se ALLAH TA’ALA padhne waley k agley pichle, naye puraney, ghalti se
aur jaan boojh kar kiye huye chote badey aur zahiri aur poshida sab gunah
bakshdega .
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne
Inhey Farmaya - Ke agar har roz ek baar padh sakey to har roz padhle aur agar
har roz nahi padh sakey to har jumu’a me ek martaba padhle aur agar har jumu’a
me bhi na padh sakey to har mahine me ek baar padhley aur agar ye bhi na
kar sakey to har saal me ek martaba padhley aur agar ye bhi na kar sakey to
tamaam umr me ek dafa padhley.
»References: »
1. Abu Dawood,– (Vol 1, hadees -1284 . (at www.sunnah.com Abu Dawood, Chapter :Salatul tasbeeh hadees No. 1297, Grade-Sahih By Shaik Al-Albani Rahimuallah)
2. Jami` at-Tirmidhi– (482, Grade Sahih By Darussalam at www.sunnah.com)
3. Sunan Ibn majah– (Vol-1, hadees No.-1387 – Hasan (atwww.sunnah.com English reference Vol. 1, Book 5, Hadith 1386 Grade Sahih By (Darussalam))
4. Mustardak al Haakim– (Hadees No. 318 & International no.-1192 (sahih).

»TARIQA:»
♥Is namaz ki tasbeeh, سبحان الله والحمدلله ولااله الاالله والله اكبر.
♥Chaar rakaat salatul tasbeeh ki niyaat se chaar rakaat ek salaam se padhey.
♥Sana padhne k baad اعوذ بالله من الشیطان الرجیم aur بسم الله الرحمن الرحيم Se pehle 15 martaba tasbeeh padhey (jo upar di gayi hai).

♥Ab SURAH FATEHA AUR KOI BHI SURAH padhne k baad yahi
tasbeeh 10 martaba padhey, phir takbeer ALLAHU AKBAR kehte huye ruku me jaye
aur ruku me سبحان ربى العظيم kam az kam 3 martaba padhne k baad 10 martaba tasbeeh padhey.
♥Ab ruku se khade hokar سمع الله لمن حمدة, ربنا لك الحمد Keh lene k baad phir yahi tasbeeh 10 martaba padhey.
♥Sajde me سبحان ربى الاعلى Kam az kam 3 martaba padhne k baad yahi tasbeeh 10 martaba
padhey aur sajde k baad jalse me yaani khaedey me baethne per 10 martaba padhey
phir sajde me jaye tab bhi 10 martaba padhey, is tarah ye tasbeeh 1 rakaat me
75 martaba padhi jayegi.
♥Sajde me سبحان ربى الاعلى
♥Isi tarah har rakaat me ye tasbeeh 75 martaba padhte jaye, yaad
rahe k SUREH FATEHA se pehle ye tasbeeh 15 martaba padhni hai aur baqi har
rukun me 10 martaba padhni hai lekin tashahud padhne k liye jab baethe tab ye
tasbeeh nahi padhi jayegi.
Ye tasbeeh 4
rakaat me 300 martaba padhi jayegi.
*~*--ஜ۩۞۩ஜ----Mumtaz Parveen-----ஜ۩۞۩ஜ---*~*-
●▬▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬▬●
0 comments:
Post a Comment