Bismillahirrahmanirrahim 

╠ •HADEES E PAAK• ╣
 Khane Se Pahle Ki Dua
----------

 Umar bin abu Salmah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki main ek baar Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki khidmat mein hazir hua to aapke samne khana rakha hua tha Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya beta qareeb ho jao aur "Bismillah" kah kar apne dahine haath se aur apne samne se khao
(Jamia Tirmidhi, Vol 1, 1915-Sahi)

 Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya – agar tum mein se koi khana khane lage to Bismillah kahe aur agar shuru mein kahna bhul jaye to ye kahe Bismillah Fi Awwalihi Wa Akhirihi ( Allah ke naam ke saath is ke shuru mein aur aakhir mein)- (Jamia Tirmidhi, Vol 1, 1917-Sahih)

 Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) se Sahaba Radi Allahu Anhu ne pucha ki Ya Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam hum khana khate hain lekin pet nahi bharta to Hadiye Barhaq Rasool-e Akram () ne farmaya shayad tum alag alag khate ho unhone kaha ki ji haan , to Rasool’Allah () ne farmaya tum log apne khane ko saath milkar aur Allah ka naam lekar khaya karo , tumhare khane mein barkat hogi.- (Sunan Abu Dawud, Vol 3, 364 – Hasan)

 Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya – jab aadmi apne ghar mein jata hai aur ghar mein dakhil hote waqt aur khate waqt Allah Subhanahu ka naam leta hai to shaitan kahta hai yaha na tumhare rahne ka thikana hai aur na khane ka.

Aur jab ghar mein dakhil hote waqt Allah ka naam nahi leta to shaitan kahta hai tumhare rahne ka thikana mil gaya aur jab khate waqt bhi Allah ka naam nahi leta hai to shaitan kahta hai tumhare rahne ka bhi thikana mil gaya aur tumhare khane ka bhi.- 
(Sahih Muslim, Jild 5, 5262)

*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●

0 comments:

Post a Comment