▄    █ ♥ Mumtaz ♥ █    ▄  

╠ •HADEES E PAAK• ╣

"Geebat (Burayi) Karne Badtareen Gunah aur Uski Saza."...!...
--------------
 Mahfum-e-Hadees:  Hasad Ka Ta-arrruf:
“Kisi Ko Khaata-Peeta Ya Falta-Foolta Dekh Kar Dil Me Jalna Aur Uski Neymato Ke Zawaal (Khatam Hone) Ki Tamanna Karna Iss Kharab Aadat Ka Naam Hasad Hai ,..
» Hasad Bahut Hi Kharab Aadat Aur Nihaayat Hi Buri Bala Hai, Gunaah-e-Azeem Hai!
» Hasad Karne Waale Ki Saari Zindagi Jalan Aur Ghutan Ki Aag Me Jalti Rehti Hai,
– Aur Ussey Chain Wa Sukoon Kabhi Naseeb Nahi Hota.
– 
(Ahyaaul Uloom Jild-3, Safa-187)

 Mahfum-e-Hadees:  Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya –
“Kisi Insan Ke Dil Me Emaan Aur Hasad Ekhatte Nahi Reh Sakte”
– 
(Sahih Bukhari Sharif)
– Yaani Ke Imanwala Hasad Nahi Kar Sakta!
– Ya Fir Jo Hasad Karey Wo Emaanwala Nahi!!


Ek Riwayat Me
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmatey Hai –
 Mahfum-e-Hadees: “Apne Aapko Hasad (Jalan) Se Bachao!!!
Beshaq Hasad Nekiyon Ko Iss Tarah Kha Jata Hai, Jaise Aag Sookhi Lakdi Ko Kha Jati Hai.”
 (Abu Dawood)  

» Hasad Aisi Buri Cheez Hai jo Emaan Ko Khokla Aur Allah Ki Rehmat Se Mehroom Kar Deti Hai.
– Hazrate Abdul Qadir Jilani (Rahmatullah Alayh)

# Hasad Se Panaah !
Jis Tarha Se Hame Hasad Karne Se Bachne Ka Hukm Diya Gaya Hai, Ussi Tarha Se Haasid Ke Sharr Se Panaah Maangne Ki Dua Ke Liye Bhi Kaha Gaya Hai.
Quraan-e-Paak Me Iss Tarha Se Dua Karne Ko Kaha Gaya Hai Ke,

 Al-Quraan : Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!!
“Allah Ki Panaah Maangta Hoon, Haasid Ke Sharr Se Jab Wo Hasad Kare..” !!Ameen!!
– 
(Sureh Al-Falaq, Aayat 5)

#Zameen O Aasaman Ka Sab Se Pehla Gunah Hasad Hay
Aasman Par Shaitan Ne Hazrat Aadam (A.s) Ko Hasad Ki Wajah Se Sajda Na Kya Or Zameen Pr Habeel O Qabeel Ka Waqya. Qabeel Ne Hasad Ki Waja Se Habeel Ko Qatal Kya.

#Hasad To * Hasad Karna To Goya Allah Se Jhagra Karna Hai»*  – Ke Ayen Allah Ye Nemat Use Kyoun De Di Nai Deni Chahiye Thi, Astagfirullah
--------
» Hasid Allah Ki Taqseem Par Raazi Nahi Hota Islye Dosre Ki Naimat Chin Janey Ki Tamana Karta Hay.

»♥ Hasad Ke Alfaaz Zaroori Nahi Zabaan Se Hi Ada Kiye Jayen, Balke Inamal Aamal O Bi'niyaat (Aamal Ka Dar O Madar Naiyaton Par Hay)

#
#Dua!!
Allah Azzawajal Ki Bargah Mai Sachhi Tauba Karen Allah Rabbul-Izzat Jis Say Razi Ho Jaiy Us Kay Gunaho Ko Bhee Apni Rahmat Say Naikiyo Mai Badal Daita Hai.…
Allah Ham Sab Ki Kahataon Ko Maaf Farmaye, 
*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●

0 comments:

Post a Comment