▄    █ ♥ Mumtaz ♥ █    ▄  

╠ •HADEES E PAAK• ╣

"WITR KI NAMAAZ KA TAREEQA."...!...
--------------
 Mahfum-e-Hadees:  Hazrat aisha r.z yun bayaan farmati hai ke “Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) namaz e ishan se fajr tak gyara rakatein padhte, har do rakatoun par salaam pherte aur ek rakat witr padhte”
– (Sahih muslim, salah al musafireen 736)

Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne humei bhi yahi taleem di chunanche umar r.z se riwayat hai ke rasool allah (saw) ne farmaya “raat ki namaaz do-do rakatein hai, jab subha (sadiq) hone ka khatra ho tou ek rakat padhlo, ye (ek rakaat pehli saari) namaaz ko taaq banadegi”
– (Bukhari, baab maja al-witr, 990-993)

Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya ke “witr aakhir raat mei ek rakaat hai”
– 
(Sahih muslim, salah al musafireen, 756)

Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya “jab tum raat ko nawafeel padhna shuru karo tou pehle do halki rakatein ada karo”
– 
(Sahih muslim, salah al-musafireen, 768)

Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne raat ka qayaam kiya pehle do halki rakatein padhi, phr do taweel rakatein padhi, phr inse halki do taweel rakatein padhi, phr inse halki do taweel rakateon padhi, phr inse halki do taweel rakatein, phr inse halki do taweel rakatein, phr ek rakaat witr padhi. Ye terah(13) rakatein hui.(aapko har do rakatein pehli wali do rakatoun se halki hoti thi).
– 
(Sahih muslim, salah al-musafireen, 765)

Hazrat
aisha r.z riwayat karti hai ke Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ek rakaat witr padhte. (aakhri) do rakatoun aur ek rakaat ke darmiyaan(salaam pheer kar) baat cheet bhi karte.
– 
(Ibn abi sheba, 291/2. Ibn majja, 1177)

Hazrat ibn umar r.z riwayat karte hai ke rasool allah (saw) witr ki do aur ek rakaat mei salaam se fasl karte.
– 
(Ibn habaan, 678)

Yaani teen witr bhi is tarha padhte ke do rakaat padh kar salaam pherte aur phr uth kar teesri rakaat alag padhte.

Imaam
marozi r.h farmate hai ke fasl (witr ki do rakatoun ke baad salaam pheer kar ek rakat alag padhne) wali ahadees zyada sabit hai.

Hazrat
aisha farmati hai ke rasool allah (saw) raat ko kabhi saat(7), kabhi nou(9), kabhi gyara(11), rakatein padhte the.
– 
(Bukhari, al-tahajjud, 1139)

Is tafseel se maloom hua ke rasool allah (saw) ne qayaam-ul-lail(witr) saat(7) rakaat se terah rakaat tak farmaya.

PAANCH(5), TEEN(3) AUR EK WITR.

Hazrat
abu ayyub r.z riwayat karte hai ke Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya “witr har musalmaan par haq hai, pas jo shaqs paanch(5) rakaat witr padhna chahe tou paanch(5) rakaat padhe aur jo koi teen(3) rakaat witr padhna chahe tou teen(3) rakaat padhe, aur jo koi ek(1) rakaat witr padhna chahe, tou ek(1) rakaat witr padhe”.
– 
(Abu dawood, 1422. Nisai, 238,239/3. Ibn majja 1190)

Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam)  raat ko (kul) teerah rakaat padhte aur inmei paanch rakaat witr padhte the (aur in paanch witroun mei) kisi rakaat mei (tashahud ke liye) na baithte magar aakhir mei.
– 
(Sahih muslim, salah al musafireen, 737)

Maloom hua ke witroun ki paanch(5) rakatoun ke darmiyaan tashahud ke liye kahin nahi baithna chahiye. Balke paanchoun(5) rakatein padh kar qaide mei attahiyat, durood, aur dua padhkar salaam pheerdena chahiye.

TEEN (3) WITROUN KI QIRAAT.

Hazrat
aisha r.z se riwayat hei ke Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) 
»Pehli (1) rakaat witr mei “Sabbi hisma rabbikal aala”,
************
» Dusri (2) rakaat mei “khul ya ayyu hal kafiroon”,
*************
»Aur teesri (3) rakaat mei “khulhu allahu ahad”, padhte the.
– 
(Baihaqi, 37/3. Haakim, 35/1, 520/2)

Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya “, “ek raat mei do baar witr padhna jayez nahi”.
– 
(Abu dawood, 1439)

Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya, “teen(3) witr na padho, paanch ya saat witr padho, aur maghrib ki mushabihat na karo”.
– (Daar qatni, 25, 27/2)

Maloom hua ke witr mei namaaz maghrib ki mushabihat nahi honi chahiye. Goya teen(3) witr padhne ho tou ek tashahud aur ek salaam ke saath ya phr do tashahud aur do salaam ke saath padhe jaye, in dono tareeqoun mei maghrib ki namaaz se mushabihat nahi hoti.

Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya, “raat ko apni aakhri namaaz witr ko banao”
– 
(Sahih muslim, salah al-lail, 751)

Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya “witr aakhir raat mei ek rakaat hai”
– 
(Sahih muslim, salah al-musafireen, 752)

Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya, “jo shaqs aakhir raat mei na uth sake tou wo awwal shab witr padhle aur jo aakhir raat uth sake wo aakhir raat witr padhe kyunke aakhir raat ki namaaz afazl hai”
– 
(Sahih muslim, salah al-musafireen, 755)

WITROUN KE SALAAM KE BAAD.

Hazrat abi bin kaab r.z se riwayat hei ke rasool allah (saw) witroun se salaam pheerkar teen martaba ye padhte “Subhana malikil quddus” (paak hai baadhshah, nihaayat paak)
– 
(Abu dawood, 1430)

Note Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne hazrat abdullah bin umro bin al-aas ko farmaya “aye abdullah! Tu falan shaqs ki tarha na hojana jo raat a qayaam karta tha phr isne raat ka qayaam chod diya”.
– 
(Sahih bukhari, al-tahajjud, 1152)

DUA E QUNOOT.
 “Duae qunoot” witr ki namaaz mei mustahab hai.
– 
(Sanan abi dawood : 1425)

 “Qunoote nazila”, panch waqta namazon mei bhi kar sakte hai.
– 
(Sahih bukhari : 797, 798. Sanan abi dawood : 1443)

Duae qunoot aakhri raka’at mei ruku se qabl aur baad dono jayez hai. Balke qunoote nazila(jo kisi musibat ke waqt padhi jaati hai) ruku ke baad aur aam halaat mei duae qunoot ruku se qabl afzal hai.
– 
(Sahih bukhari : 1001, 1002. Sanan abi dawood : 1443. Ibn majja : 1182, 1183.)

Duae qunoot : “اللهم اهدنا فِيمن هدَيْت، و عافِنا فِيْمنْ عافَيت، و تَوَلَّنَا‪ فِيْمَنْ تَوَلَّيت، و بارك لَناَ فِيْما أعطَيْت، و قِنَا و اصْرِفْ عنّا‪ شَرَّ ما قَضَيْت، فَإنَّك تقضِى و لا يُقضِى‪ عَلَيْك، إنّهُ لا يذلُ مَنْ والَيْتَ و لا‪ يَعِزُ مَنْ عادَيْت، تبارَكْتَ رَبّنا و تَعالَيْت، لك الشُكْرُ عَلَى ما‪ أعْطَيْت، نَسْتَغْفِرُك اللهُم مِنْ جَمِيْعِ الذُنُوبِ و الخَطايا و نَتُوبُ‪ إلَيْك

“Allahumma ahdina fiman hadait, wa ‘afina fiman ‘afait, wa tawallana fiman tawallait, wa barik lana fima a’tait, wa qini sharrama qazait, innak taqzi wa la yuqza ‘alaik. Wa Innahu la yazillu man wa’alait wa la ya’izzu man ‘aadait , tabarakta Rabbana wa ta’alait.
– ( Sanan abi dawood : 1427. Sahih abi dawood : 1425). 
*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●

0 comments:

Post a Comment