▄    █ ♥ Mumtaz ♥ █    ▄  

╠ •HADEES E PAAK• ╣

"100" Martaba Subhan Allah Kahne Ki Fazilat
--------------
Bismilahirrahmanirrahim
 Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya - Jo Shakhsh 100 Baar Subhanallah Kahey To Uske Liye 1000 Nekiyan Likhi Jayegi Aur 1000 Gunah Mita Diye Jayange.
– (Sahih Muslim , Jild 6, 6852)

 Request: Jo Bhi Ye Hadith Padhe Wo Abhi 100 Baar Subhanallah Jarur Parh Le, In Sha Allah Qayamat Ke Din Ye Sawab Bahut Kaam Aayega, Shaitan Aapko Rokne Ki Koshish Karega Lekin Aap Abhi Hi Padh Lijiyega – Jazak Allahu Khair.

*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●
  ▄    █ ♥ Mumtaz ♥ █    ▄  

╠ •HADEES E PAAK• ╣

"Raat Me "1 baar" Surah ikhlas ,Falaq aur An-Naas Ki Fazilat..!..
--------------
"Bismilahirrahmanirrahim
 Mahfum-e-Hadees:– Hazrat Ammi Aayesha Radi Allahu Anha Se Rivayat Hai Ki Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Har Raat Jab Bistar Par Aaram Farmate To Apni Dono Hatheliyon Ko Mila Kar -

Qul Huwaallahu Ahad (surat Al-ikhlas),
Qul Aauzu Birabbil Falaq (surat Al-falaq)
Aur Qul Aauzu Birabbin Naas (surat An-nas)


(teeno Surtein Mukammal) Padh Kar Un Par Phoonkte Aur Phir Dono Hatheliyon Ko Jahan Tak Mumkin Hota Apne Jism Par Phairte The, Pehle Sir Aur Chehra Par Hath Phairte Aur Samne Ke Badan Par, Ye Amal Aap Teen(3) Dafa Karte The.
– (Sahih Bukari: Vol 6, 5017)

2nd
*Subah aur sham Ko "3 baar" Surah ikhlas ,Surah Falaq aur surah An-Nas Padha Karo* (Yani 9 baar)
 Mahfum-e-Hadees:– Hazrat Abdullah Bin Khubayb Radi Allahu Anhu Se Rivayat Hai Ki Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya – Subah Aur Sham 3 Baar 

Q
ulhuwallahu Ahad (surah Ikhlas)
Aur Muauwazatain
 -
(surah Al-falaq Aur Surah An-nas) Padh Liya Karo , 
Ye Tumhe (har Tarah Ki Pareshaniyo Se Bachao Ke Liye) Kaafi Ho Jayegi.– (Sunan Abu Dawud,jild-3,1643-hasan
)

*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●
  ▄    █ ♥ Mumtaz ♥ █    ▄  

╠ •HADEES E PAAK• ╣

 Ek baar Surah Al-ikhlas (Qul) Parhne Ki Fazilat
--------------
 Ek baar Surah Al-ikhlas padho aur ek tihaii Quran padhne ka sawab kama lo kyunki.....

Rasool-Allah(Sall-Allahu-Alaihi-Wasallam) Ne Farmaya - Kya tum mein se koi is baat se thak jata hai ki har raat Ek Teehaii Quran parh le ? Sahaba Radi Allahu Anhu ma ne arz kiya ki Teehaii Quran ( Ek raat mein ) kaisey parh saktey hain ? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya - Qul Huwallahu Ahad ( Surah ikhlas) Ek teehaii Quran ke barabar hai.
– (Sahih Muslim, 1886)

Rasool’Allah(SalAllahu-Alaihi-Wasallam) Hamarey Pass Aaye aur Farmaya - Main tumhare samne Ek Tihaii Quran parhta hu , phir Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Qul Huwallahu Ahad (Surah Al-ikhlas) parhi yahan tak ki is surah ko poora kiya. – (Sahih Muslim, 1889)

 Qul Hu Wallahu Ahad, ALLAHus-Samad, Lam Yalid walam Yulad, Walam Yakul-lahu Kufuwan Ahad

 Al Quran: Kah do Wo ALLAH Ek hai, ALLAH beniyaz hai, Na uski koi Aulad hai aur na wo kisi ki Aulad hai, Aur uskey barabar ka koi nahi hai. Beshak!
(Surah Al-ikhlas (112)

*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●
  ▄    █ ♥ Mumtaz ♥ █    ▄  

╠ •HADEES E PAAK• ╣

Surah Al-Falaq Aur Surah An-Nas Ki Fazilat
--------------
*Bismillahirrahmanirrahim*
 Aisha Radi Allahu Anha se rivayat hai ki Jab Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Bister par let te to Mu'auwidhat ( yani Surah Al-Falaq Aur Surah An-Nas) padh kar apne haathon par phoonkte aur dono haath apne jism par phertey. 
(sahih Bukhari, Jild 7, 6319)

 Hadeese Mubarakah: Hazrat Aisha Radi Allahu Anha Se Rivayat Hai Ki Jab Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Jab Beemar Ho Jate To Mu'auwidhat (Yani Surah Al-Falaq Aur Surah An-Nas) Ki Suratein Padhkar Usko Apne Upar Dam Karte Phir Jab Aap (ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм) Ki Takleef Badh Gayee To Main Un Surato Ko Padhkar Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam Ke Haatho Se Barkat Ki Ummeed Mein Aapke Jism Mubarak Par Pherti Thi. {See-more}
(Sahih Bukhari, Jild 7, 5016)

 Abdullah bin khubayb Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya - Subah aur sham 3 baar Qul Huwallahu Ahad (Surah Ikhlas) aur Muauwazatain (Surah Al-Falaq Aur Surah An-Nas) padh liya karo , ye tumhe (har tarah ki pareshaniyo se bachao ke liye) kaafi ho jayengi.
– (Sunan Abu dawud, Jild 3, 1643-Hasan)

*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●