▄    █ ♥ Mumtaz ♥ █    ▄  

╠ •HADEES E PAAK• ╣

Surah Al-Falaq Aur Surah An-Nas Ki Fazilat
--------------
*Bismillahirrahmanirrahim*
 Aisha Radi Allahu Anha se rivayat hai ki Jab Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Bister par let te to Mu'auwidhat ( yani Surah Al-Falaq Aur Surah An-Nas) padh kar apne haathon par phoonkte aur dono haath apne jism par phertey. 
(sahih Bukhari, Jild 7, 6319)

 Hadeese Mubarakah: Hazrat Aisha Radi Allahu Anha Se Rivayat Hai Ki Jab Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Jab Beemar Ho Jate To Mu'auwidhat (Yani Surah Al-Falaq Aur Surah An-Nas) Ki Suratein Padhkar Usko Apne Upar Dam Karte Phir Jab Aap (ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм) Ki Takleef Badh Gayee To Main Un Surato Ko Padhkar Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam Ke Haatho Se Barkat Ki Ummeed Mein Aapke Jism Mubarak Par Pherti Thi. {See-more}
(Sahih Bukhari, Jild 7, 5016)

 Abdullah bin khubayb Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya - Subah aur sham 3 baar Qul Huwallahu Ahad (Surah Ikhlas) aur Muauwazatain (Surah Al-Falaq Aur Surah An-Nas) padh liya karo , ye tumhe (har tarah ki pareshaniyo se bachao ke liye) kaafi ho jayengi.
– (Sunan Abu dawud, Jild 3, 1643-Hasan)

*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●