▁ ▂ ▄ ▅ ▆ ▇ █ ♥ Mumtaz ♥ █ ▇ ▆ ▅ ▄ ▂ ▁
Aala
Nasab
--------------
Aala
Hasab
--------------
Qaum
Ashraf
--------------
Qabeela
Ashraf
--------------
Khandan ashraf
--------------
--------------
Aapka naam Ahrmed rakha gaya jis
ka matlab hai sabse
zyada qabil-e-tareef
Aap sabse zyada sakhee (generous) thay
Sabse zyada bahadur thay
Sabse zyada duniya se be-raghbat (indifferent)
thay
Sabse zyada maharbaan thay
Sabse zyada khubsoorat chehre wale thay
Yaani sirf akhlaaqi aitbaar se hi khubsoorat
nhi thay, Allah ne aapko shakl-o-soorat bhi behad haseen di thi
Sabse behtreen akhlaaq ke haamil thay
Bohat naram dil wale thay
Nihayat maharbaan dost thay
Tamaam jahan walo ke liye rahmat bana kar bheje
gaye thay
Kasrat se zikr-e-ilaahi karte thay
Aap har waqt allah ko yaad karte aur kasrat se
tasbeeh aur istighfaar karte
Ek din mein 70-100 times istighfaar karte
Jab kabhi ghamgeen hote to ya hayyu ya qayyoomu
birahmatika astaghees parh allah se fariyad karte
Aap ﷺ apne waqt per namaz parhte thay
Aap ﷺ raat ka ek taveel hissa qayaam karte thay means
kharre ho kar namaz parhte thay
Namaz mein quran ko thahar thahar kar parhte
thay
Aayat-e-rahmat per ruk kar allah se rahmat
maangte aur aayat-e-azaab per ruk kar allah se panah maangte
Itni ibaadat karte ke pair sooj jaate aur
farmate ke kya main allah ka shukr guzaar banda na banu
Lekin logo ko halki namaz parhaate
Namaz ke dauraan agar bachche ke rone ki awaz
aati to namaz ko mukhtasar kar dete
Beemar hote to baith kar namaz parhte lekin
namaz chhorrte nhi thay
Safar mein namaz-e-qasr ada karte
Din charhne per nama-e-chasht ada karte
Larrai mein fatah hoti ya koi khushi naseeb
hoti to fauran sajda karte
Yaani har aham kaam mein fauran namaz ki taraf
daurrte
Ramzan ke maheene mein nek kaamo mein bohat
barh jaate thay khusoosan sadqa aur khairaat karne mein tez aandhi se bhi zyada
barh jaate
Jibreel (AS) ke saath quran
ka daur karte
Jaise hi ramzan ka akhri ashra shuru hota to
aap khud bhi jaagte aur apne gharwalo ko bhi jaate
Har saal aitkaaf karte
Ramzan ke alawa shaban mein bhi
kasrat se roze rakhte
Baaqi maheeno mein bhi bohat roze rakhte
Kabhi lagatar itne roze rakhte ke lagta tha ke
abb kabhi aap roza nhi chhorrenge
Aur jabb nahin rakhte to aisa lagta tha ke abb
kabhi nhi rakhenge
Chand ki 13, 14,
15/monday/thursday/10 Muharram aur ashra-e-dilhijah ke roze rakhte
Shawwal ke 6 rozo ka bhi
ahtamaam farmaate
Roza aksar khajoor se iftaar karte
Eid per ghusl karte
Behtreen libaas pahante
Eid ke liye paidal aate aur jaate
Khwateen ko bhi eidgaah jaane ka hukm
dete
Eid-ul-fitr ke din meethi cheez khaa kar namaz
ke liye jaate
Eid-ul-azha ke mauqe per har saal qurbaani
karte
Khud bhi sadqa karte aur doosro ko bhi sadqa
karne ka hukm dete
Koi cheez kal ke liye bacha kar nhi rakhte
thay
Koi sadqa le kar aata to uss ko dua dete
Kisi mangne wale ko inkaar na karte
Agar kuchh dene ke liye paas kuchh na hota to
khamoshi ikhtiyaar karte
Kisi ko hadiya keh kar dete to kisi ko kuchh
hiba kar dete
Kabhi khareed-o-farokht mein zyada adayegi
karte
Qarz lete to zyada lautaate hanlanki maal ka
zaaya karna bilkul pasand na tha
Gharwalo ki khidmat karne ko aib mahsoos na
karte
Aap apna joota khud see lete thay matlab usay
khud hi repair kar lete thay
Paani bharne ke dol ko bhi khud hi repair kar
lete thay
Apne kapdo per bhi khud hi paiband laga lete
aur see lete thay
Kapdo per lagi hui chhoti moti gandgi jaise
baal ya keerre etc khud hi saaf kar lete
Apne haath se bakri ka doodh nikaal lete
thay
Oral hygeine ka bohat khyal rakhte thay
Subah so kar uthte to sabse pehle miswak
karte
Ghar mein enter karte to pehla kaam miswak
karna hota
Sote waqt bhi miswak aapke paas hota
Jo shakhs raat ko wuzu karke sota hai to poori
raat farishte uss ke liye rahmat ki duayein karte hain
Har Namaz Ke Liye Alag Wazu Ka ahtamaam farmaate
Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) har namaz ke liye alag wuzu karte
Har Namaz Ke Liye Alag Wazu Ka ahtamaam farmaate
Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) har namaz ke liye alag wuzu karte
Wuzu ka aaghaaz bismillah se karte aur kabhi ek
hi wuzu se kayi namazein bhi parh lete
Wuzu mein paani ke israaf (wastage) se
bachte
Right hand se khaate
Apne saamne ki side se khaate
3 ungliyon se khaate
Khaane ke baad ungliyaan chaat lete
Khaane khaate hue tek na lagate
Let ke bhi nhi khaate thay
Zameen per baithte aur khaate thay
Koi bhi cheez uss waqt tak na khaate thay jabb
tak ke confirm na ho ke kya hai
Kisi khaane mein aib nahi nikaalte
Khaane ke baad alhamdulillah kehte
Makkhan aur khajoor pasand farmaate
Bohat hot drinks nahin peete thay
Peene mein sabse zyada pasandeeda thandi aur
meethi cheez hoti jaise sharbat
Paani right hand se 3 saans mein peete
Khaane mein doosro ko shareek karna pasand
karte
Hazrat Anas(ra) se farmate ke
dekho agar koi mere saath khaane mein shaamil ho jaye
Kabhi bistar per sote to kabhi zameen per
Dahini (right) karwat se sote
Leather ka takiya aur bistar istemaan karte jis
mein khajoor ki chhaal bhari hoti
Isha ki namaz se pehle sona pasand nahin
farmaate thay
Raat sone se pehle surma lagaate aur dua parh
kar sote aur dua parhte hue jaagte
Aapki chaal ba-waqaar
aur pur-sukoon thi
Jab chalte to peechhay murr kar nahi dekhte
thay
Kabhi joota pahan kar aur kabhi nange pair bhi
chalte
Ye baat Aap (Sallallahu
Alaihi Wasallam) ko
napasand thi ke koi aapke peechhay chale
Jis tarah ka bhi kapda mayassar hota pahan
lete
Achchhe se achchha bhi aur paiband laga kapda
bhi pahan lete
Dikhaawe ke liye kapda pahanna pasand nahi
farmaate thay
Mardo ko resham pahanne se mana karte
Kurta pasandeeda libaas tha
Poori aasteen zeb-e-tan farmaate
Umaama kabhi topi ke saath aur kabbi baghair
topi ke istemaal farmaate
Chandi ki angoothi pahante
Zyadatar green color pasand tha
Ghorre oont gadhe aur khachchar etc sab per
sawari kar lete
Kabhi apne aage ya peechhhe kisi aur ko bhi
saath bitha lete
Aksar sawari per nafil namaz ada karte
Thursday ke din safar karna pasand karte
Safar se wapsi per ghar jaane se pehle masjid
mein 2 rakat namaz ada karte
Mulaqat ke mauqe per salam mein pahal karte aur
musafa karte
Jab tak doosra shakhs haath na chhorrta aap bhi
nhi chhorrte
Salam ka jawab zabaan se dete sirf ishaare se
nahin
Mulaqat ke waqt baat ko dhyan se sunte
Jab aap kisi majlis mein tashreef farma hote to
jis baat per log taajjub karte uss baat per aap bhi taajjub karte
Majlis mein jab koi hansta to aap bhi
muskuraate yaani mood off karke ya bilkul chup kar ke nhi baithe rehte
thay
Kabhi koi baahar ka aadmi sakht kalaami karta
to tahammul se kaam lete aur sakht jawab nahin dete
Ehsaan ka badla dene wale ke siwa kisi ki
tareef pasand na karte
Zaroorat se zyada tarreef bhi napasand
thi
Kisi majme mein jaate to jahan jagah milti
wahin baith jate
Chheenk aane per awaz ahista ka lete aur
alhamdulillah kehte
Koi aur chheenkta to jawab bhi dete yaani ke
yarhamukallah kehte
Chehre ko haath ya kapde se dhaanp lete
Jamhaai (yawning) ke waqt bhi aisa hi karte ya
rok lete
Majlis ke ikhtitaam () per Allah Tala ka zikr
karte
Aap (SAW) kasrat se Allah Tala ka zikr karne waale
thay aur aapke kalaam mein laghw aur bekar baatein na thi
Aap (S.A.W) Aala Misaal
Aap (Sallallahu
Alaihi Wasallam) ka kalaam waazeh
(clear/understandable) tha.
Samjhane ke liye thahar thahar kar bolte
thay
Baat ko 3 baar dohraate thay
Is tarah bolte ke sunne wala baat poori tarah
samajh jaata
Aisi guftgu farmaate ke agar koi alfaaz (words)
ko ginna chaahta to gin sakta tha
Aap ﷺ baat utni karte jitni zaroori hoti
Aap (Sallallahu
Alaihi Wasallam) ko bohat zyada sawaal
(questioning) aur qeel-o-qaal (gossips) pasand nahi thay.
Aap ﷺ ki guftgu mein kisi ki na to gheebat hoti aur
na hi taane hote.
Aap (Sallallahu
Alaihi Wasallam) kisi ke aib nahi
ginwaate thay
Aap ﷺ kisi ke androoni baaton (internal/personal
affairs) ki toh mein na rehte thay
Baat wahi karte jis se koi mufeed (beneficial)
nateeja nikal sake
Aap (Sallallahu
Alaihi Wasallam) zyadatar khamosh
rehte aur kam hanste lekin bohat khushmizaaj thay
Khush hote to Aap ﷺ ka chehra mubarak chamak uthta tha aur jab
naraz hote to chehre per narazgi ka izhaar hote means jo dil mein hota wahi
baahar hota
Na khushi mein kehkahe thay aur na rone mein
cheekh pukaar thi. Bass ankhon ashqbaar hoti yaani aansu aa jaate
Aap (S.A.W) Aala Sifaat
Hazrat Jareer (RA) farmate hain ke
aapne kabhi mujhe apne paas aane se nahin roka aur kabhi aisa nahin hua ke
maine aapko dekha ho aur aap muskuraaye na ho
Aap ﷺ ka akhlaaq Quran tha yaani ke Aap (Sallallahu
Alaihi Wasallam) chalta phirta
quran thay
Hamesha sach bolte aur jhooth se nafrat
karte
Waade ki paabandi karte
Haq ki himayat karte
Bohat bahadur aur nidar thay
Mushkilat aur pareshani mein sabr karne wale
thay
Baa-parda kunwati larrki se zyada hayadaat
thay
Jo aapko dekhta aapka rob uss per parrta lekin
jaise jaise aashna (acquented) hote aapse mohabbat karne lagta
Aap narm mizaaj thay. Sakht mizaaj na
thay.
Dunkiya aur uss ki cheezein ghussa na dila
sakti thi
Agar koi haq ki mukhaalifat karta tab hi ghussa
karte
Zaati (personal) maamlo mein kabhi ghussa na
karte aur na hi kabhi intiqaam liya.
Barri se barri sakht baat per aap tahammul se
kaam lete
Burai ka badla burai se na dete thay balki maaf
farma dete aur darguzar kar dete thay.
Aap (S.A.W) Ka Azwaaj Ke Sath Achha Sulook Karna
Aap (S.A.W) Ka Azwaaj Ke Sath Achha Sulook Karna
Azwaj-e-Mutahharaat (His
(SAW) wives) ke saath nihayat
achchha bartaaw tha
Unn se achchhe akhlaaq se pesh aate
Hazrat Aisha (RA) ko Aa-ish keh
kar pukaarte
Ek jagah khaana khaate
Ek bartan se ghusl kar lete
Unn ki god mein tek lagate aur quran
parhte
Hazrat Aisha ke saath daurh (running) ka
muqabla kiya to ek baar wo aage nikal gayi aur doosri dafa Aap (Sallallahu
Alaihi Wasallam) unn se aage
nikal gaye
Azwaj-e-Mutahharat ke saath adl-o-insaaf ka
maamla karte
Bachcho ke saath intahaai shafqat se pesh
aate
Unn ke paas se ghuzarte to khud salaam
karte
Fatima (RA) aati to unn ke
haath aur maatha chumte phir khaas jagah per bithaate
Hazrat Hassan (RA) bin Ali (Ra) ke liye apni
zabaan nikaalte to wo apko dekh kar muskuraate yaani bachcho ke saath bachcho
ki tarah maamla karte
Aap namaz parh rahe hote aur Hasan
(RA) aur Hussain
(RA) khel rahe hote aur aapki peeth (back) per
sawaat ho jaate jabb aap sajde mein jaate
Umaama jo aapki nawasi thi kandhe per hoti aur Aap (Sallallahu
Alaihi Wasallam) namaz parha rahe hote
Fajr ki namaz ke baad masjid mein saathiyon ke
saath baith jaate
Unn ki baatein sunte. Koi khwaab sunaata to uss
ka matlab bayaan karte. Sher (poetry) bhi sunte aur uss per inaam bhi
dete
Ghaneemat ya sadqa baantte. Hadiya qubool karte
aur badle mein bhi dete.
Khushbu bohat pasand thi. Iss liye khushbu ka
tohfa kabhi radd na karte
Achchhe naam pasand karte aur bure naam badal
dete
Mehmaan nawazi mein bohat aage rehte
Khud bhi mehman nawaazi farmaate
Kabhi aisa bhi hota ke ghar mein saara khaana
mehmaan ki nazar ho jaata aur ghar wale khud faaqa karte
Dawat bhi qubool karte
Agar koi ghulaam bhi Jou ki roti ki dawat karte
to qubool farmaate yaani mamooli se mamooli cheez ki bhi dawat qubool
farmaate
Logo ki hidaayat ke liye tadapte
Aap (Sallallahu
Alaihi Wasallam) thay
[Yassiru wa la tuassiru] Aasani kiya karo,
mushkil paida na kiya karo
[Bashshiru wa la tunaffiru] khushkhabri diya
karo aur nafrat na dilaaya karo
koi do baaton mein selection karna hota to
aasan ko select karte basharte ke gunah na ho
Aap ﷺ ne kabhi kisi pe apna haath nhi uthaaya aur na
kisi ki tauheen ki
Logo ko aapse door nhi kiya jaata tha
Aap (Sallallahu
Alaihi Wasallam) ke liye hato
bacho ki awazein nhi aati thi
Aur na logo ko aapse mar mar kar door kiya
jaata
Kisi muhim per logo ko rawana karte hue
ameer-e-karwan ko dua dete aur naseehat karte
Miskeeno ke kaam aate aur yateemo ki sarparasti
karte
Maqroozo ko qarz utaarne mein madad karte
Ghulamo ke saath husn-e-sulook karte aur unhe
azad karte aur azar karne ki takeed farmate
Miskeeno aur bebaso ke saath aise baithte ke
koi aapko pehchaan nahi sakta tha
Bewaon (widows) aur miskeeno ki zarooratein
poori karne ke liye unn ke saath jaate
Ek maamuli laundi (female ghulaam) apne masail
ke solution ke liye aapka haath pakad kar aapko jahan chaahti le jaati
Aap (Sallallahu
Alaihi Wasallam) ghareeb logo ki
baat bhi iss tarah sunte thay jaise kisi bohat important shakhsiyat ki sun rahe
ho
Jab koi maangne wala ya zarooratmand aata to
sathiyon ko nekiyon mein shareek karte
Logo ke gham mein shareek rehte aur kamzor
musalmaano se khud milne jaate
Unn ki iyaadat ke liye jaate, dua farmaate aur
unn ka janaza bhi parhte
Jaanwaro per bhi khaas rehmat aur shafqat
farmaate
Darakhton (Trees) ko bina wajah kaatne aur
khetiyaan kharaab karne se mana farmaate thay
*~*--ஜ۩۞۩ஜ----Mumtaz Parveen-----ஜ۩۞۩ஜ---*~*-
●▬▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬▬●
0 comments:
Post a Comment