▁ ▂ ▄ ▅ ▆ ▇ █ ♥ Mumtaz ♥ █ ▇ ▆ ▅ ▄ ▂ ▁
╠ •HADEES E PAAK• ╣
★Preshaani Ke Waqt Ki Dua
--------------
"Bismillahirrahmanirrahim
✦
Al Quran : Jin Logon ne Allah aur uske Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ka
hukm mana , iske bawajud ke unhe zakhm lage huye they , jo unmein se neik aur
parhaizgar huye unke liye bada ajar hai , Jinhe (munafiq) logo ne kaha ki
(Mushriko aur kafiro ne) tumahare muqable ke liye saman jama kiya hai , isliye
tum unse daro to (ye sunkar) unka imaan aur zyada ho gaya aur wo kahne lage ki
Hasbunallah wa naimal wakeel {See-more}
(Humko Allah kafi hai aur wo behatreen kaarsaz hai)
–(Surah Aal-e-imran , Aayat 172-173)
(Humko Allah kafi hai aur wo behatreen kaarsaz hai)
–(Surah Aal-e-imran , Aayat 172-173)
Abu
Saeed Khudri Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne
Farmaya - Main kis tarah aaram karu jabki usne(israfil Alaihi salam ne) soor
mein munh lagaya hua hai aur unke kaan Allah subhanahu ke hukm ke muntazir hain
ki wo kab phunkne ka hukm de de aur wo phunk de ye baat Sahaba Radi Allahu Anhu
ke dil par sakht (gamnaak) guzri to Aap ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє
ωαѕαℓℓαм Ne Farmaya –
"Tum
kaho HasbunAllah Wa Naimal Wakeel AlaAllahi Tawakkalna"
Yani hamare liye Allah kaafi hai aur wo behatreen kaarsaz hai aur Allah hi par hum bharosa rakhte hain
– (Jamia Tirmizi, Jild 2, 322-Hasan)
Yani hamare liye Allah kaafi hai aur wo behatreen kaarsaz hai aur Allah hi par hum bharosa rakhte hain
– (Jamia Tirmizi, Jild 2, 322-Hasan)
*~*--ஜ۩۞۩ஜ----Mumtaz Parveen-----ஜ۩۞۩ஜ---*~*-
●▬▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬▬●
0 comments:
Post a Comment