▄    █ ♥ Mumtaz ♥ █    ▄  

╠ •HADEES E PAAK• ╣

"7 (Saat) Aise Azkar Jinka Jawab "Allah" Khud Dete Hai."...!...
--------------
"Bismilahirrahmanirrahim
 Mahfum-e-Hadees:– Hazrat Anas Radi Allahu Anhu Se Rivayat Hai Ek Aaraabi (Bedouin) Rasool”Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Paas Aaya Aur Kahne Laga Ya Rasool-Allah  Mujhe Khair (Wale Kalimat) Seekha Dijiye.

•» Rasool”Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Uska Hath Pakad Kar Farmaya Kaho.

 سُبْحَان اﷲ، وَالْحَمْدُ لِلّٰہِ، وَلَا إِلٰہَ إِلاَّ اللّٰہُ، وَاللّٰہُ أَکْبَرُ 
Subhanallah Walhamdulilah Wa Lailaha Illallahu Wallahu Akbar

 - Us Aarabi Ne In Kalimat Ko Apni Ungliyoh Par Geena Aur Sochta Hua Chala Gaya Phir Wapas Palta To Rasool-Allah  Muskurane Lage Aur Us Se Farmaya ??- ??...- ??
•»Tum Kyu Ek Naummeed Shaks Ki Tarha Fikr Kar Rahe Ho, Wo Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Qareeb Aaya Aur Kahne Laga.

•»Ya Rasool”Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam)
Subhanallah Walhamdulilah Wa Lailaha Illallahu Wallahu Akbar, - Ye To Allah Subhanahu Ke Liye Hai (Yani Uski Tairf Ke Liye Hain).
….Mere Liye Kya Hai 
Rasool-Allah  Ne Farmaye -

#Eh Aarabi...
1•» Jab Tum “Subhanallah” Kahoge To Allah Subhanahu Farmayega Tumne Sach Kaha,
************
2•» Jab Tum “Alhamdulillah” Kahoge To Allah Subhanahu Farmayega Tumne Sach Kaha,
************
3•» Jab Tum La Ilaha Illallah” Kahoge To Allah Subhanahu Farmayega Tumne Sach Kaha,
************
4•» Jab Tum “Allahu Akbar” Kahoge To Allah Subhanahu Farmayega Tumne Sach Kaha,
************
5•» Jab Tum “Allahummagfirli” (Yani Eh Allah Mujhe Bakhsh De) Kahoge To Allah Subhanahu Farmayega Maine Ye Kar Diya (Yani Tumhe Baksh Diya),
************
6•» Jab Tum “Allahummarhamni” (Yani Eh Allah Mujh Par Raham Farma) Kahoge To Allah Subhanahu Farmayega Maine Ye Kar Diya (Yani Tum Par Raham Kar Diya),
************
7•» Aur Jab Tum “Allahummarzuqni” (Yani Eh Allah Mujhe Rizq Ata Farma) Kahoge To Allah Subhanahu Farmayega Maine Ye Kar Diya (Yani Tumhe Rizq Ata Kiya),
***********
 Aaraabi Ne Apne Haath Par Saat (7) Ki Geenti Geeni Phir Wapas Palat Kar Chala Gaya.
– (Al-Silsila-tus-Sahiha – 2872)

*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●
  ▄    █ ♥ Mumtaz ♥ █    ▄  

╠ •HADEES E PAAK• ╣

"Hasad Karne Ka Anjaam aur Uska Gunaah."...!...
--------------
 Mahfum-e-Hadees:  Hasad Ka Ta-arrruf:
“Kisi Ko Khaata-Peeta Ya Falta-Foolta Dekh Kar Dil Me Jalna Aur Uski Neymato Ke Zawaal (Khatam Hone) Ki Tamanna Karna Iss Kharab Aadat Ka Naam Hasad Hai ,..» Hasad Bahut Hi Kharab Aadat Aur Nihaayat Hi Buri Bala Hai, Gunaah-e-Azeem Hai!» Hasad Karne Waale Ki Saari Zindagi Jalan Aur Ghutan Ki Aag Me Jalti Rehti Hai,
– Aur Ussey Chain Wa Sukoon Kabhi Naseeb Nahi Hota.
– 
(Ahyaaul Uloom Jild-3, Safa-187)

 Mahfum-e-Hadees:  Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya –
“Kisi Insan Ke Dil Me Emaan Aur Hasad Ekhatte Nahi Reh Sakte”
– 
(Sahih Bukhari Sharif)
– Yaani Ke Imanwala Hasad Nahi Kar Sakta!
– Ya Fir Jo Hasad Karey Wo Emaanwala Nahi!!


Ek Riwayat Me 
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmatey Hai –
 Mahfum-e-Hadees:  “Apne Aapko Hasad (Jalan) Se Bachao!!!
Beshaq Hasad Nekiyon Ko Iss Tarah Kha Jata Hai, Jaise Aag Sookhi Lakdi Ko Kha Jati Hai.”
 (Abu Dawood)  

» Hasad Aisi Buri Cheez Hai jo Emaan Ko Khokla Aur Allah Ki Rehmat Se Mehroom Kar Deti Hai.
– Hazrate Abdul Qadir Jilani (Rahmatullah Alayh)

# Hasad Se Panaah !
Jis Tarha Se Hame Hasad Karne Se Bachne Ka Hukm Diya Gaya Hai, Ussi Tarha Se Haasid Ke Sharr Se Panaah Maangne Ki Dua Ke Liye Bhi Kaha Gaya Hai. 
Quraan-e-Paak Me Iss Tarha Se Dua Karne Ko Kaha Gaya Hai Ke,

 Al-Quraan : Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!!
“Allah Ki Panaah Maangta Hoon, Haasid Ke Sharr Se Jab Wo Hasad Kare..” !!Ameen!!
– 
(Sureh Al-Falaq, Aayat 5)

#Zameen O Aasaman Ka Sab Se Pehla Gunah Hasad HayAasman Par Shaitan Ne Hazrat Aadam (A.s) Ko Hasad Ki Wajah Se Sajda Na Kya Or Zameen Pr Habeel O Qabeel Ka Waqya. Qabeel Ne Hasad Ki Waja Se Habeel Ko Qatal Kya.

#Hasad To * Hasad Karna To Goya Allah Se Jhagra Karna Hai»*  – Ke Ayen Allah Ye Nemat Use Kyoun De Di Nai Deni Chahiye Thi, Astagfirullah
--------
» Hasid Allah Ki Taqseem Par Raazi Nahi Hota Islye Dosre Ki Naimat Chin Janey Ki Tamana Karta Hay.

»♥ Hasad Ke Alfaaz Zaroori Nahi Zabaan Se Hi Ada Kiye Jayen, Balke Inamal Aamal O Bi'niyaat (Aamal Ka Dar O Madar Naiyaton Par Hay)

#
#Dua!!
Allah Azzawajal Ki Bargah Mai Sachhi Tauba Karen Allah Rabbul-Izzat Jis Say Razi Ho Jaiy Us Kay Gunaho Ko Bhee Apni Rahmat Say Naikiyo Mai Badal Daita Hai.…
Allah Ham Sab Ki Kahataon Ko Maaf Farmaye, 
*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●

  ▄    █ ♥ Mumtaz ♥ █    ▄  

╠ •HADEES E PAAK• ╣

"WITR KI NAMAAZ KA TAREEQA."...!...
--------------
 Mahfum-e-Hadees:  Hazrat aisha r.z yun bayaan farmati hai ke “Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) namaz e ishan se fajr tak gyara rakatein padhte, har do rakatoun par salaam pherte aur ek rakat witr padhte”
– (Sahih muslim, salah al musafireen 736)

Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne humei bhi yahi taleem di chunanche umar r.z se riwayat hai ke rasool allah (saw) ne farmaya “raat ki namaaz do-do rakatein hai, jab subha (sadiq) hone ka khatra ho tou ek rakat padhlo, ye (ek rakaat pehli saari) namaaz ko taaq banadegi”
– (Bukhari, baab maja al-witr, 990-993)

Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya ke “witr aakhir raat mei ek rakaat hai”
– 
(Sahih muslim, salah al musafireen, 756)

Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya “jab tum raat ko nawafeel padhna shuru karo tou pehle do halki rakatein ada karo”
– 
(Sahih muslim, salah al-musafireen, 768)

Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne raat ka qayaam kiya pehle do halki rakatein padhi, phr do taweel rakatein padhi, phr inse halki do taweel rakatein padhi, phr inse halki do taweel rakateon padhi, phr inse halki do taweel rakatein, phr inse halki do taweel rakatein, phr ek rakaat witr padhi. Ye terah(13) rakatein hui.(aapko har do rakatein pehli wali do rakatoun se halki hoti thi).
– 
(Sahih muslim, salah al-musafireen, 765)

Hazrat
aisha r.z riwayat karti hai ke Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ek rakaat witr padhte. (aakhri) do rakatoun aur ek rakaat ke darmiyaan(salaam pheer kar) baat cheet bhi karte.
– 
(Ibn abi sheba, 291/2. Ibn majja, 1177)

Hazrat ibn umar r.z riwayat karte hai ke rasool allah (saw) witr ki do aur ek rakaat mei salaam se fasl karte.
– 
(Ibn habaan, 678)

Yaani teen witr bhi is tarha padhte ke do rakaat padh kar salaam pherte aur phr uth kar teesri rakaat alag padhte.

Imaam
marozi r.h farmate hai ke fasl (witr ki do rakatoun ke baad salaam pheer kar ek rakat alag padhne) wali ahadees zyada sabit hai.

Hazrat
aisha farmati hai ke rasool allah (saw) raat ko kabhi saat(7), kabhi nou(9), kabhi gyara(11), rakatein padhte the.
– 
(Bukhari, al-tahajjud, 1139)

Is tafseel se maloom hua ke rasool allah (saw) ne qayaam-ul-lail(witr) saat(7) rakaat se terah rakaat tak farmaya.

PAANCH(5), TEEN(3) AUR EK WITR.

Hazrat
abu ayyub r.z riwayat karte hai ke Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya “witr har musalmaan par haq hai, pas jo shaqs paanch(5) rakaat witr padhna chahe tou paanch(5) rakaat padhe aur jo koi teen(3) rakaat witr padhna chahe tou teen(3) rakaat padhe, aur jo koi ek(1) rakaat witr padhna chahe, tou ek(1) rakaat witr padhe”.
– 
(Abu dawood, 1422. Nisai, 238,239/3. Ibn majja 1190)

Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam)  raat ko (kul) teerah rakaat padhte aur inmei paanch rakaat witr padhte the (aur in paanch witroun mei) kisi rakaat mei (tashahud ke liye) na baithte magar aakhir mei.
– 
(Sahih muslim, salah al musafireen, 737)

Maloom hua ke witroun ki paanch(5) rakatoun ke darmiyaan tashahud ke liye kahin nahi baithna chahiye. Balke paanchoun(5) rakatein padh kar qaide mei attahiyat, durood, aur dua padhkar salaam pheerdena chahiye.

TEEN (3) WITROUN KI QIRAAT.

Hazrat
aisha r.z se riwayat hei ke Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) 
»Pehli (1) rakaat witr mei “Sabbi hisma rabbikal aala”,
************
» Dusri (2) rakaat mei “khul ya ayyu hal kafiroon”,
*************
»Aur teesri (3) rakaat mei “khulhu allahu ahad”, padhte the.
– 
(Baihaqi, 37/3. Haakim, 35/1, 520/2)

Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya “, “ek raat mei do baar witr padhna jayez nahi”.
– 
(Abu dawood, 1439)

Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya, “teen(3) witr na padho, paanch ya saat witr padho, aur maghrib ki mushabihat na karo”.
– (Daar qatni, 25, 27/2)

Maloom hua ke witr mei namaaz maghrib ki mushabihat nahi honi chahiye. Goya teen(3) witr padhne ho tou ek tashahud aur ek salaam ke saath ya phr do tashahud aur do salaam ke saath padhe jaye, in dono tareeqoun mei maghrib ki namaaz se mushabihat nahi hoti.

Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya, “raat ko apni aakhri namaaz witr ko banao”
– 
(Sahih muslim, salah al-lail, 751)

Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya “witr aakhir raat mei ek rakaat hai”
– 
(Sahih muslim, salah al-musafireen, 752)

Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya, “jo shaqs aakhir raat mei na uth sake tou wo awwal shab witr padhle aur jo aakhir raat uth sake wo aakhir raat witr padhe kyunke aakhir raat ki namaaz afazl hai”
– 
(Sahih muslim, salah al-musafireen, 755)

WITROUN KE SALAAM KE BAAD.

Hazrat abi bin kaab r.z se riwayat hei ke rasool allah (saw) witroun se salaam pheerkar teen martaba ye padhte “Subhana malikil quddus” (paak hai baadhshah, nihaayat paak)
– 
(Abu dawood, 1430)

Note Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne hazrat abdullah bin umro bin al-aas ko farmaya “aye abdullah! Tu falan shaqs ki tarha na hojana jo raat a qayaam karta tha phr isne raat ka qayaam chod diya”.
– 
(Sahih bukhari, al-tahajjud, 1152)

DUA E QUNOOT.
 “Duae qunoot” witr ki namaaz mei mustahab hai.
– 
(Sanan abi dawood : 1425)

 “Qunoote nazila”, panch waqta namazon mei bhi kar sakte hai.
– 
(Sahih bukhari : 797, 798. Sanan abi dawood : 1443)

Duae qunoot aakhri raka’at mei ruku se qabl aur baad dono jayez hai. Balke qunoote nazila(jo kisi musibat ke waqt padhi jaati hai) ruku ke baad aur aam halaat mei duae qunoot ruku se qabl afzal hai.
– 
(Sahih bukhari : 1001, 1002. Sanan abi dawood : 1443. Ibn majja : 1182, 1183.)

Duae qunoot : “اللهم اهدنا فِيمن هدَيْت، و عافِنا فِيْمنْ عافَيت، و تَوَلَّنَا‪ فِيْمَنْ تَوَلَّيت، و بارك لَناَ فِيْما أعطَيْت، و قِنَا و اصْرِفْ عنّا‪ شَرَّ ما قَضَيْت، فَإنَّك تقضِى و لا يُقضِى‪ عَلَيْك، إنّهُ لا يذلُ مَنْ والَيْتَ و لا‪ يَعِزُ مَنْ عادَيْت، تبارَكْتَ رَبّنا و تَعالَيْت، لك الشُكْرُ عَلَى ما‪ أعْطَيْت، نَسْتَغْفِرُك اللهُم مِنْ جَمِيْعِ الذُنُوبِ و الخَطايا و نَتُوبُ‪ إلَيْك

“Allahumma ahdina fiman hadait, wa ‘afina fiman ‘afait, wa tawallana fiman tawallait, wa barik lana fima a’tait, wa qini sharrama qazait, innak taqzi wa la yuqza ‘alaik. Wa Innahu la yazillu man wa’alait wa la ya’izzu man ‘aadait , tabarakta Rabbana wa ta’alait.
– ( Sanan abi dawood : 1427. Sahih abi dawood : 1425). 
*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●