╠ •HADEES E PAAK• ╣
Shohar Ke Huqooq Biwi Par
---------------
✦ Ummulmomenin Hazrat Aayesha siddiqa Aur Hazrat Abuhuraira radiallahu anhu se riwayat he ki Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Irshad Farmaya - Agar me kisi ke liye Sajde ka hukm deta to Aurato ko hukm deta ki apne shohar ko sajda kare.
– (Tirmizi sharif Jild 1,Bab 788,Hadees 1158,Safa 594)

Sarkare Madina Sallalaho Alayhi Wasallam se daryaft kiya kiBehtarin Aurat ki pehchan kya he? Aapne farmaya"Jo Aurat apne Shauhar ki ita'at wa farmabardari kare."
– (Nisaai sharif Jild 2,Safa 364)

Hazrat Abu said radiallahu anhu seriwayat he ke Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Irshad Farmaya - Shauhar ki Na shukri karna ek tarah ka Kufra he aur ek kufra dusre se kam hota he.
– (Bukhari sharif Jild 1,Bab 21,Hadees 28,Safa 109)

Hazrat Abdullah ibne Abbas se riwayat he ki Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam)  Ne Irshad Farmaya - Muze dozakh dikhai gayi maine waha Aurato ko jyada paya wajah ye he ki wah Kufra karti he.Sahaba-E-Kiram ne arz kiyaKya wo Allah ke sath Kufra karti he?Pyare Aaqa ne farmayaNahi ! wo shauhar ki Na-shukri karti he.Jo ke ek tarah ka kufra he aur Ehsan nahi manti agar tu kisi aurat se umar bhar ehsan aur neki ka sulook kare lekin 1 bat bhi khilafe tabiyat ho jaye to zat kah dengi"Maine tuzse kabhi aaram aur sukoon nahi paya"
– (Bukhari sharif Jild 1,Bab 21,Hadees 28,Safa 109)

Hazrat Umar Radiallahu anhu se riwayat he ki Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam)  Ne Irshad Farmaya - "Tumko nahi malum Aurat ke liye Shirk ke bad subse bada gunah Shauhar ki Na-farmani he"
 (Gunyatuttalebin Safa 114)

Hazrat Abuhuraira radiallahu anhu se riwayat he ki Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Irshad Farmaya - Shauhar apni biwi ko jis waqt bistar par bulaye aur wo aane se mana karde to us aurat par khuda ke farishte subah tak La'ant karte rehte he.
– 
(Bukhari sharif Jild 3,Bab 115,Hadees 178,Safa 96)

"Allah Ta'ala" Irshad Farmata Hai - Wo tumhari libas he aur Tum unke libas.
– 
(Kanzul iman Para 2,Surah Bakar,Aayat 187)

Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam)  Ne Irshad Farmaya - Jab shauhar apni Hajat ke liye biwi ko bulaye to biwi agar roti paka rahi ho to usko lazim he ki sub kamchod kar shauhar ke pas hazir ho jaye.
– 
(Tirmizi sharif Jild 1,Bab 788,Hadees 1159,Safa 595)

Hazrat Aayesha radiallahu anha se marwi he Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki khidmat me 1 jawan aurat hazir hui aur arz kiyaYa Rasoolallah ! Me jawan aurat hu.Muze nikah ke paigam aate he magar me shadi ko bura samazti hu.Aap muze bataiye biwi par shauhar ka kya haq he!Pyare Aaqa ne farmaya Agar shauhar ki choti se edi tak peep ho aur woh use jaban se chate to bhi shauhar ka haq ada nahi kar payegi.Usne pucha:To me shadi na karu?Aapne farmaya Tum shadi karo kyunki isme bhalai he.
 – (Mukashefatul Kuloob Bab 95,Safa 617)

*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●


*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●

╠ •HADEES E PAAK• ╣
Preshaani Se Bachne Ki Dua
---------------

Hazrat Umar Radi Allah
 
 Se Riwayat He Ke Rasul Allah (Sallallaho Alayhi Wasllam) Ne Farmaya Ke Jo Shakhs Kisi Musibat Me Mubtala Aadmi Ko Dekh Kar Ye Duwa Parhe

“Allhamdulillahi Llazee Aafaani Mimma Ibtalaak Bihee
Waffzzalani Ala Kasirinmm Miman Khalaq Tafzeela”
 

To
Parhne Wala us Musibat Se Zindagi Bhar Mahfooz Rahega, Chahe Wo Pareshani Kisi Hi ho
(Jame-ul-Tirmizi: Vol 2)

Allah Sab Ke Sath “Mumtaz” Ko Bhi Tamaam Musibato Se Mahfooz Rakkhe, Aameen, Summa Aameen 
*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●


*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●
  ▄    █ ♥ Mumtaz ♥ █    ▄  

                                   1. Ek Ye Ke Wo Tumse Phle Nek Logo Ki Sunnat Hai

                                   2. Taqar-Rube Khudawandi Ka Bohot Bara Zariya Hai

                                   3. Isse Gunahon Ka Kaffara Hota Hai

                                   4. Gunahon Se Rokta Hai

                                   5. Jism Se Beemari Ko Dafa Karta Hai

╠ •HADEES E PAAK• ╣

Tahajjud Parhne Ke 5 Fawaid
--------------
Hazrat Abu Umama (radi allahu anhu) se riwayat karte hai ki Hazrat Muhammad (Sallallahu Alayhi Wasallam) Ne Irshad Farmaya - “Tahajjud zarur padha karo, kyuyki woh tumse pahle ke logo ki ravish hai aur tumhare liye apne Rab ki nazdiki ka zariya, gunaho ke mitane ka saadhan (aur zyada) gunaho se bachne ka sabab hai.”{Click-More..}
(Ibn Khuzaima, hadith-1135)

Kasrat Se "Allah" Ka Zikr Karne Wale:
♥ Hazrat Abu Huraira Raziallahu Anhu Se Rivayat Hai Ke Rasool 'Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Fermaya:” Jab Aadmi Raat Ko Uthey Aur Apni Biwi Ko Bhi Uthae Aur Dono 2 Rak’at Namaz AdaaKarain To Allah Ta’la Inka Naam Kasrat Se (Zikar) Kerney Waley Mardon Aur Aurton Main Likh Deta Hai.
(Abu Dawood , Ibn-E-Maj) 

Tahajjud Rab Se Mulaqaat Ka Bhetreen Waqt Hai - Tahajjud Or Fajar Ke Beech Me Sona "Sunnah"

*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●


1
2
3
4
5
6
7

*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●






  
                                             1. Peene Se Pehle Bismillah Kehna

                                             2. Dahine Hath Se Peena

                                             3. Pani Baith Ker Peena

                                             4. Pani Daikh Ker Peena

                                             5. Teen Sans Me Peena

                                             6. Peene K Baad Alhumdulillah Kehna

╠ •HADEES E PAAK• ╣

DAAE HATH SE PINA
Yahya riwayat karte hai Abdullah ibn Umar se ki Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya –  “Jab tum khao to dahine hath se khao aur daye hath se piyo . Shaytaan baye hath se khata hai aur baae haath se pita hai.
[Al-Muwatta Hadith 49.6]

Abdullah ibn Umar riwayat karte hai ki 
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya –  jab tum maise koi (Khana) khane ki nayat kare, use daai hath se khana chaiye aur jab wo pine ka iradah kare toh use daai hath se pina chaiye , kyuki shaytaan baae hath se khata aur pita hai. 
[Sahih Muslim Hadith 5008.]

SONE-CHANDI KE BARTAN ME PINA KA HUKM
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya – “Jo sone chandi ke bartan me khata ya pita hai wo to beshak apna pet jahannam ki aag se bharta hai.
[Bukhari :: Book 3 :: Volume 69 :: Hadith 778 ]

PINE WALE BARTAN ME SAAS LENA KA HUKM
Abu Qatada riwayat karte hai: Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya – Jab kuch piyo to us bartan me saas mat lo.
[Bukhari :: Book 7 :: Volume 69 :: Hadith 534 ]

ZAM-ZAM KA PANI KHADE HOKAR PINE KA HUKM
Ibn Abbas riwayat karte hai: Maine Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ko Zamzam ka pani pesh kiya aur unhone khade ho kar piya.
[Muslim :: Book 23 : Hadith 5023]

TEEN SAAS ME PINA
Anas riwayat karte hai ki Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) teen saas me pani pite the.
[Muslim :: Book 23 : Hadith 5029]

PINE KE BAAD ALHAMDULILAH KAHNA
Ibn Abbas riwayat karte hai ki Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya –, Unto(camel) ki tarha Ek ghut me mat piyo, lekin teen ghuto me piyo. Allah ke naam ke sath(bismillah kahkar) piyo aur peene ke baad uski taareef karo(alhamdulilah kaho).
[At- Tirmidhi, Book 3, Hadith 758].  

DUSRO KO PILATE WAQT KHUD AAKHIR ME PINA
Abu Qatadah r.a. riwayat karte hai ki Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya – “ jo dusro ko pani pilata hai usko khud aakhir me pina chaiye.
[At-Tirmidhi, Book 3, Hadith 773].

*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬● 

*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●


*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●


*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●


*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●

  ▄    █ ♥ Mumtaz ♥ █    ▄  

╠ •Al-QURAAN• ╣

“Quraani DUaRozi Me Barkat Ke Liye! ….
--------------
Al Quran:  (Innallaaha Huwarrazzaaqu Dzul Quwwatil Matiin)"Beshak Allah Hi Rozi Dene Wala, Quwwat Wala or Zabardast Hai.
 (Al Quran, Surah Az-Zariyat (51), Aayah (58) 

*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●