▁ ▂ ▄ ▅ ▆ ▇ █ ♥ Mumtaz ♥ █ ▇ ▆ ▅ ▄ ▂ ▁

╠ •HADEES E PAAK• ╣

"Jahannum K 7 Darjay aur Un K Nam, Kis Me Kon Huga".,!...
--------------
♥ Ek Baar Jab Jibrail Alaihissalam
Nabi Kareem ? Ke Paas Aye To * Rasool Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) * Ne Dekha Ke Jibrail Kuch Pareshan Hain. Aapne Farmaya Jibrail Kya Mamla Hai Ke Aaj Mein Aapko Ghamzada Dekh Raha Hoon?

Jibrail Ne Arz Kiya Aye Mehboob-E-Kul Jahan, Aaj Mein “Allah” Paak Ke Hukm Se Jahannum Ka Nazara Karke Aaya Hoon Aur Isko Dekhne Se Mujh Par Yeh Gham Ke AasaarNamudar Huye Hain.
Rasool Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam)  Ne Farmaya - Mujhe Bhi Jahannum Ke Halaat Bataao. Jibrail Ne Arz Kiya Ke -
Jahannum Ke Kul Saat (7) Darje Hain:

1)
 ♥ Jahannam
2) Natta
3) Hutmaa
4) ♥ Saeer
5) Saqar
6) Jaheem
7) ♥ Haawiya
********************
7 Darje Me Jo Subse Neeche Wala Darja Hai “Allah” Isme  Munafiqon Ko Rakhega.
***************
6 Darje Me “Allah” Mushrik Logon Ko Dalega.
***************
5 Darje Me “Allah” Suraj Aur Chand Ki Parastish Karne Walon Ko Dalega.
***************
4 Darje Me “Allah” Aatish Parast Logon Ko Dalega.
***************
3 Darje Me “Allah” Yahudiyon Ko Dalega Aur
***************
2 Darje Me “Allah” Isaaiyon Ko Dalega.
*************
Yeh Kehkar Jibrail Alaihissalam Khamosh Ho Gaye.
To Huzoor (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Poochha - Aap Khamosh Kyon Ho Gaye, Mujhe   Bataaiye Ke Pehle Darje Me Kaun Hoga? Jibrail Ne Arz Kiya Aye Allah Ke Rasool,

Pehle Darje Me 
“Allah” Paak Aapki Ummat Ke Gunahgaron Ko Dalainge. Huzoor Ye Sunte Hi Behad Ghamgeen Ho Gaye Aur Allah Se Duayen Karni Shuru Keen.
Teen Din Aise Guzre Ke Allah Ke Mehboob Masjid Me Namaaz Padhne Ke Liye Tashreef Laate, Namaaz Padhkar Hujre Me Tashreef Le Jate Aur Darwaza Band Karke Allah Ke Huzoor Ro-rokar Fariyaad Karte. Sahaba Pareshan Thay Ke Huzoor Par Ye Kaisi Kaifiyat Taari Hui Hai, Masjid Se Hujre Jate Hai Ghar Bhi Tashreef Nahin Le Ja Rahe Hain?

Jab Teesra Din Hua To Syedna Hazrat Abu Bakr (r.a) Se Raha Nahi Gaya, Unhone Darwaze Par Dastak Di Aur Salaam Kiya Lekin Salaam Ka Jawaab Nahi Aaya. Aap Rote Hoye Syedna Omer (r.a) Paas Aaye Aur Farmaya Meine Salaam Kiya Lekin Salaam Ka Jawaab Na Paya Lihaza Aap Ko Ho Sakta He Salaam Ka Jawaab Mil Jaye. Aap Gaye Aur Teen Baar Salaam Kiya Lekin Jawaab Na Aaya. Hazrat Omer Ne Hazrat Salman Faarsi (r.a) Ko Bheja Lekin Phir   Bhi Jawaab Na Aaya.
Hazrat Salman Faarsi Ne Hazrat Ali (r.a) Ko Pura Waqiya Sunaya. Hazrat Ali (r.a) Ne Socha Ke Jab Itni Azeem Shakhsiyaat Ko Salaam Ka Jawaab Na Mila To Mujhe Bhi Khud Nahi Jana Chahiye Balki Mujhe Unki *noor-e-nazar Beti Hazrat Fatima (r.a) Anha* Ko Andar Bhejna Chahiye.
Lihaza Aapne Hazrat Fatima Ko Sab Ehwaal Bata Diya Aur Phir Woh Aap Hujre Ke Darwaze Par Aakar Boleen

*"Abba Jaan Assalamu Alaikum"*
Beti Ki Aawaz Sunkar *Mehboob-e-kaynaat* Uthe, Darwaza Khola Aur Salaam Ka Jawaab Diya.
Abba Jaan, Aap Par Kya Kaifiyat Hai Ke Teen Din Se Aap Yahan Tashreef Farma Hain?
Huzoor Ne Farmaya Ke Jibrail Ne Mujhe Aagaah Kiya He Ke Meri Ummat Bhi Jahannum Me Jayegi,
*Fatima Beti Mujhe Apni Ummat K Gunahgaron Ka Gham Khaye Ja Raha He*
aur Mein Apne Maalik Se Duayen Kar Raha Hoon Ke Allah Unko Muaaf Kar De Aur Jahannum Se Bari Kar De. 
Yeh Kehkar Sajde Me Chale Gaye -
***************
Aur Rona Shuru Kar Diya   Ya Allah Meri Ummat,   Ya Allah Meri Ummat, Ya Allah Meri Ummat* Ke Gunahgaron Par Rahem Kar, Unko Jahannum Se Azaad Kar, Ke Itne Me Wahi Nazil Huyi …
* وَلَسَوفَ یُعطِیکَ رَبُّکَ فَتَرضَی*
*Aye Mere Mehboob Gham Na Kare Mai Tum Ko Itna Ata Kar Doonga Ke Aap Raazi Ho Jayenge(Al Quran, Surah Ad-Duhaa (93), Aayah 5)

Huzoor (Sallallahu Alaihi Wasallam) Khushi Se Khil Uthe Aur Farmaya Logon, Allah Ne Mujhse Wada Kar Liya He Ke Wo Roz-e-qayamat Mujhe Meri Ummat Ke Maamle Me Khoob Raazi Karega Aur Mein Us Waqt Tak Raazi Nahi Hounga Jab Tak Mera Aakhri Ummati Bhi Jannat Me Na Chala Jaye...
*Hamarere Aaqa (Sallallahu Alaihi Wasallam) Hamare Liye Kitna Gham Karte The  Aankho Me Aansu Aa Gaye Ke Hamare Nabi Itne Shafeeq Aur Gham Mehsoos Karne Wale Aur Badle Me Hamne Unko Kya Diya?aapka Ek Second Is Tahreer Ko Doosre Logon Tak Pahunchane Ka Zariya He. Meri Aapse Guzarish He Ke Bekaar Aur Be-faiyda Post Hum Share Karte Hain, Aaj Apne Nabi Ki Rehmat Ka Pehlu Kyon Na Share Karen !!!*

*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●

▁ ▂ ▄ ▅ ▆ ▇ █ ♥ Mumtaz ♥ █ ▇ ▆ ▅ ▄ ▂ ▁

╠ •HADEES E PAAK• ╣

★"Sab Rozo Me Afzal Ramzan Ke Baad "Muharram" Ke Roze...,!...
--------------
Hazrate Abu Hurairah (Razi’Allahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya –
“Sab Rozo Me Afzal Ramzan Ke Baad Muharram Ke Roze Hain,
Jo Allah Ka Mahina Hai Aur Baad Namaz-e-Farz Ke Tahajjud Ki Namaz Hai”.
– (Sahih Muslim , Vol-3, 2755, Muslim Shareef 1163)

♥ Mafhoome Hadees ! Aashura 10vi Muharram Ka Roza Hai. Lekin Uske Liye Zaroori Hai Ke Uske Sath Navi (9-Muharram) Ya Gyarvi (11-Muharram) Ka Bhi Roza Rakhen.

 Mahfum-e-Hadees:– Hazrat Ibn Abbas Radi Allahu Anhu Se Rivayat Hai Ki Rasool’allah (Sallallahu Alaihi Wasallam)  Jab Madina Mein Tashreef Laye To Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam Ne Yahudiyo Ko Dekha Ki Wo Ashura Ke Din (10 Muharram) Ka Roza Rakhte Hain, Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Unse Iska Sabab Pucha To Unhone Kaha Ki Ye Ek Achcha Din Hai Is Din Allah Susbhanhu Ne Bani Israeel Ko Unke Dusman ( Firaun) Se Nijat Dilwayee Thi Isliye Musa Alaihi Salam Ne Us Din Ka Roza Rakha Tha To Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya – Musa Alaihi Salam Par Tumse Zyada Haq Hamara Hai, Phir Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam Ne Bhi Us Din Roza Rakha Aur Sahaba Radi Allahu Anhuma Ko Bhi Iska Hukm Diya.
– (Sahih Bukhari, Vol 3, 2004)


 Mahfum-e-Hadees:– Hazrat Abdullah Bin Abbas Radi Allahu Anhu Se Rivayat Hai Ki Jab Roza Rakha Rasool-Allah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Ne Aashurey Ke Din (10 Muharram) Ka Aur Huqm (Order) Kiya Is Rozey Ka, To Logo Ne Arz Ki Ya Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ye Din To Aisa Hai Ki Iski Taazim Karte Hain Yahud Aur Nasara,To Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya – Ki Jab Agla Saal Aayega To Insha-Allah Hum 9 Ka Roza Rakhege,Aakhir Agla Saal Na Aane Paya Ki Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Duniya Se Wafat Pa Gaye(Isliye Hum Musalman 9 Muharram Aur 10 Muharram Dono Ka Roza Rakhte Hain)
– (Sahih Muslim, Vol 3, 2666)

*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●

  ▄    █ ♥ Mumtaz ♥ █    ▄  

╠ •HADEES E PAAK• ╣

Allah Ke Bohot Pasandeeda 4 (Four) Kalme...,..!...
--------------
Bismillahirrahmanirrahim
----------
 SubhanAllah 
----------
✦ Alhamdulillah ✦

✦ La ilaha ilAllah ✦
----------
✦ Allahu Akbar ✦

----------
✦ Ek Baar
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ek Aise Darakht Ke Pass Se Guzre Jiske Patte Sukh Chuke They , Aap Sal-Allahu Alaihi wasallam Ne Us Par Laathi Maari To Uske Paththe Jhadne Lage , Phir Aap ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Ne Farmaya - Alhamdulillah wa SubhanAllah wa La ilaha illAllah wa Allahu Akbar Kahne Se Isee Tarah Gunah Jhad Jate Hain Jis Tarah Is Darakht Ke Patte Jhad Gaye.
– (jamia Tirmizi, Jild 2, 1456-Hasan)

Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya - Allah Subhanahu Ko Sabse Zyada Ye 4 Kalme Pasand Hain Subhanallah Wa Alhamdulillah Wa La Ilaha Ilallahu Wa Allahu Akbar.
– (Sahih Muslim, Jild 6, 5601)

Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya -

Aur 100 bar Subhanallah kaho ye tumhare liye Ismail Alaihi Salam ki aulad se 100 gardenein (Gulam) Aazad karne ke barabar hai,

Aur 100 bar Alhamdullilah kaho ye tumhare liye 100 zean aur lagam pehne huye (Tayyar Shuda) Ghode Ke Barabr Hoga Jo Tum Allah Subhanahu Ke Raste Mai Do,

Aur 100 bar Allah hu Akbar kaho ye tumhare liye Nakel dali maqbul Oontniyo ke barabr hoga,

Aur 100 bar La ilaha ilAllah kahao Ibn khalf ne kaha: Mere Khayal Mai Aap ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Ne Farmaya -  Ye Asman aur Zameen Ko Bhar Dega ,Us Din Kisi
Shaqs Ka ammal Itna Buland Nahi Hoga Siwaye Us Shaqs Ke Jo Us Tarah Kare.
– (At Tabrani , 298 , Hasan
)

*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●

  ▄    █ ♥ Mumtaz ♥ █    ▄  

╠ •HADEES E PAAK• ╣

"Allah Se Maafi Mangne Ki Dua,..!...
--------------
"Bismilahirrahmanirrahim
رَبَّنَا آمَنَّا فَاغْفِرْ لَنَا وَارْحَمْنَا وَأَنتَ خَيْرُ الرَّاحِمِينَ
------------
Rabbana Aamanna Faagfirlana Wa arhamna Wa anta Khairur-rahimeen
--------------
Eh Hamare "RABB" Hum Imaan Laye Tu Hamein Baksh De aur Hum Par Raham Kar Tu Bahut Bada Raham Karne Wala Hai.
(Al Quran, Surah Mumenoon (23): 109)

*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●

  ▄    █ ♥ Mumtaz ♥ █    ▄  

╠ •HADEES E PAAK• ╣

★"Sakhti Aur Pareshani Ke Waqt Ki Dua.,!....
--------------
Bismillahirrahmanirrahim
Anas Radi Allahu anhu se rivayat hai ki Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Par Jab Koi Sakhti Ya Pareshani Pesh Aa Jati to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam Ye Dua Farmate -
يَا حَىُّ يَا قَيُّومُ بِرَحْمَتِكَ أَسْتَغِيثُ
Ya Hayyu Ya Qayyum, Bi-Raḥmatika Astagith
Eh Zinda Hamesha Qayam Rahne Wale Tere Rahmat Ke Waseele Se Faryad Karta Hu
– (Jamia Tirmizi,Jild2,1451-Hasan)

*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●