╠ •HADEES E PAAK• ╣

Hadees-e-Nabvi "S.A.W"
--------------
Ek Shakhs ne arz kiya “Ya Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam)! Mere baaz rishtedar hai, Mai unsey taalluq jodta hoon wo Mujh se taalluq todtey hai, Mai unke Saath accha Salook karta hoon, wo mere Saath badsalooki karte hai. aur Mai unki ziyadtio ko bardasht karta hoon, Wo mere Saath jahalat se pesh aate hai.

 Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne irshad farmaya “Jaisa tum keh rahe ho agar aisa hi hai tou goya tum unke mooh me garam garam raakh jhonk rahe ho aur jab tak tum iss khoobi par qayam rahoge tumhare saath har waqt Allah Ta’ala ki taraf se ek madadgaar rahega.”(Sahih Muslim- 6525)

*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●
Bismillahirrahmanirrahim 

╠ •HADEES E PAAK• ╣
 Khane Se Pahle Ki Dua
----------

 Umar bin abu Salmah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki main ek baar Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki khidmat mein hazir hua to aapke samne khana rakha hua tha Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya beta qareeb ho jao aur "Bismillah" kah kar apne dahine haath se aur apne samne se khao
(Jamia Tirmidhi, Vol 1, 1915-Sahi)

 Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya – agar tum mein se koi khana khane lage to Bismillah kahe aur agar shuru mein kahna bhul jaye to ye kahe Bismillah Fi Awwalihi Wa Akhirihi ( Allah ke naam ke saath is ke shuru mein aur aakhir mein)- (Jamia Tirmidhi, Vol 1, 1917-Sahih)

 Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) se Sahaba Radi Allahu Anhu ne pucha ki Ya Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam hum khana khate hain lekin pet nahi bharta to Hadiye Barhaq Rasool-e Akram () ne farmaya shayad tum alag alag khate ho unhone kaha ki ji haan , to Rasool’Allah () ne farmaya tum log apne khane ko saath milkar aur Allah ka naam lekar khaya karo , tumhare khane mein barkat hogi.- (Sunan Abu Dawud, Vol 3, 364 – Hasan)

 Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya – jab aadmi apne ghar mein jata hai aur ghar mein dakhil hote waqt aur khate waqt Allah Subhanahu ka naam leta hai to shaitan kahta hai yaha na tumhare rahne ka thikana hai aur na khane ka.

Aur jab ghar mein dakhil hote waqt Allah ka naam nahi leta to shaitan kahta hai tumhare rahne ka thikana mil gaya aur jab khate waqt bhi Allah ka naam nahi leta hai to shaitan kahta hai tumhare rahne ka bhi thikana mil gaya aur tumhare khane ka bhi.- 
(Sahih Muslim, Jild 5, 5262)

*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●
Naqsh-e Qadam Nabi Ke Hain Jannat Ke Raaste,
Allah Se Milate Hain Sunnat Ke Raaste

╠ •HADEES E PAAK• ╣

SUnnat-e Nabawi
--------------
Hadees mai hai ke Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya -
Jis Shakhs ne Meri Sunnat ki Hifazat ki 
(Dil o Jaan se isko mazboot pakda aur ispar amal kiya) to ALLAH Ta'ala 4 Baaton se iska ikraam karega.

Sunnat-e Nabawi KE 4 (Four) In-Aamaat
--------------
1) Nek Logo Ke Dilo Me Iski Mohabbat Paida Karega.
2) Fajir Aur Badkar Logo Ke Dilo Me Haibat Daal Dega.
3) Rizq Me Wus'at Aur Barkat Ataa Karega.
4) Deen Me Pukhtagi Naseeb Farmayega.

- (Sharah Sharatul Islam: Page:8, Syed Ali Zadah)


Sunnat-e-Nabavi
Rasool’Allah [S.A.W]
[1]~Sunnatein Nabawi Ke 4 (Four) In-Aamaat~ [2]~Nabi (S.A.W) Ki Adaten or Mutfarriq Sunnatein~
[3]~Salatul Hajat~ [4]~Salat-al Istikhara and Dua~
[5]~Chand Deeni Taleemaat~ [6]~Waswase Ke Waqt Ki Sunnatein~
[7]~Muaashrat Ki Chand Sunnatein~ [8]~Sone Ki Sunnatein~
[9]~Mout Or Iske Baad Ki Sunnatein~ [10]~Bachay Ki Paidaish Ki Sunnatein~
[11]~ Walima (Reception) Ki Sunnatein~ [12]~Nikaah Ki Sunnatein~
[13]~Safar Ki Sunnatein~ [14]~Bimari Ilaaj or Iyadat (Timardari) Ki Sunnatein~
[15]~Balon Ki Sunnatein~ [16]~Libaas Ki Sunnatein~
[17]~Pani Peene Ki Sunnatein~ [18]~Khana Khane Ki Chand Sunnatein~
[19]~Juma Ki Sunnatein~[2] Aap (S.A.W) Ne Farmaya Meri Azimush-shaan Sunnat~Imp [20]~Namaz Ke Wo Aadaab Jo Sabke Liye Yaksan Han~
[21]~Aurton Ki Namaz Me Khaas Fark~ [22]~Namaz Ke Faraiz~
[23]~Namaz Ki 51 Sunnate~ [24]~Azan or Iqamat Ki Sunnate~
[25]~Gusal Karne Ka Masnoon Tareeqa~ [26]~Wuzu Ke Faraiz~
[27]~Wuzu KI 18 Sunnate~ [28]~Miswak Karne Ki Sunnate~
[29]~Masjid Se Bahar Aane Ki Sunnate~ [30]~Masjid Me Dakhil Hone Ki Sunnate~
[31]~Ghar Se Nikalne or Dakhil Hone Ki Sunnate~ [32]~Baitul Khala Aane Jane Ki Sunnate~
[33]~So-kar Uthne Ki Sunnate~ [34]~It-tabaye Sunnat~
[35]~Mehman Nawazi Ki Fazilat aur Sunnat~ [36]~Adaab-e M-aashrat Se Mutaliq Sunnatain~
[37]~Pani Peene Ki Sunnatain~

*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●
  ▄    █ ♥ Mumtaz ♥ █    ▄  

╠ •HADEES E PAAK• ╣

Mahe Rajab Ki Haqeeqat Aur Hamari Bidatain
--------------
Biddat:
Rajab ke mahine me kasrat se Umrah karna.
 Hazrat Aisha r.a. farmati hai: Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam ne mahe Rajab me kabhi Umrah nahi kiya.
(Sahih al Bukhari, baab-3, Hadith- 1776.
*********
Pahle Rajab ko Hazari namaz padhna.
“Pandrahwi (15) Rajab ko Umme Dawood ki namaz padhna.
» Salaat al-raghaa’ib padhna
» Maahe Rajab ki 22 tarikh ko Imam Zafar Siddique ke niyaz ke taur par Kheer pakana.
» 22 Rajab ko kunde bharna
» Maahe Rajab ki 27 ki raat ko jagna
» Is khaas din Murde ke Rooho ko sadaqat wa khairaat karna
» Bilkhusus Is maah ko kabro ki ziyarat karna khaas kar Nabi ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ki kabr ki ziyarat karna.
» Makhsus Duae padhna.

In biddato se door rahe. In kaamo ko na Aap ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм na hi sahaba na hi khulfa e Rashedeen na hi tabaeen aur na hi Tabe-Tabaeen ne kiya. In biddat se hame jihad karna hai apne hath se apne zuban se apne Dil se aur yahi Rasool Allah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ka farman hai.

Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya - ki Jab bhi Kabhi ek Rasool bheja jata tha to uske kuch hawari aur sahaba hote the, wo sahabi , apne nabi ki sunnato(tariko) ko mazbuti se pakad lete the aur usi pe jame rahte the. Fir hamesha aisa hua hai ki unke baad kuch aise log paida hue hai JO KAHTE WO THE JO KARTE NA THE, AUR KARTE WO THE JISKA HUKM BHI NAI HUA THA. To sunlo jo unse JIHAD KAREGA APNE HATHO SE, APNE ZUBAN SE, APNE DIL SE WO MOMIN HOGA, aur iske baad EEMAN TO RAAI KE DANE KE BARABAR BHI NAHI HAI.
(Sahih Muslim,The Book of Faith (Kitab Al-Iman) [001:0081].


 *~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●






*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●

*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●
"Salatul Hajaat Namaz Ka Tarika.."

*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●