▄    █ ♥ Mumtaz ♥ █    ▄  

╠ •HADEES E PAAK• ╣

"Aap (S.A.W) Ki Aaakhri 2 Wasiyat.,!...
--------------
"♥ Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya - Yahood or Nasara Par Allah Ki Lanat, Ke Unhone Apne Ambiya Or Buzurgo Ki Qabron Ko Sazda-gaah Banaya

♥ Mahfum-e-Hadees:–  Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya –: Allah ki LAANAT ho Yahudiyon Aur Isaiyon Ke Upar, Jinho Ne Apne Ambiya Ki Qabron Ko Sajda-Gaah Banaa Liya.
– (Bukhari:435)
oR PHIR FARMAYA
Tum Log Qabron Ko Sazda-gaah Na Banana, Me Tumhe Isse Mana Karta Hun. Mazeed Farmaya Tum Log Meri Qabar Ko But Na Banana, 

Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne - Namaz, Londiyon or Gulaamo Ke Bare Me Bhi Irshaad Farmaya - Ke Meri Ummat Ki  Londiyon, Gulaamo or Gareebon Pe Reham Karna. 

Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ki Aakhri Do (2) Wasiyat - Main Tum-me Do (2) Cheezen Chhor Raha Hun, Jab Tak In Dono Cheezon Ko Mazbooti Se Thame Rahoge, Hargiz Gumraah Nahi Honge.

(1) Kitabullah - (Quraane-Kareem) Ki Tilawat
(2) Meri Sunnat - (Yani- Sunnate- Nabawi) Sunnat Pe Chalna Or Uski Perwi Karna,

****************Hadees 2**********************

╠ •HADEES E PAAK• ╣

Aap () Ki Aaakhri Wasiyat
--------------

Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya Aur Kaha:

» Fa-Inna Khairal Hadeesi Kitabullahi-(Sabse Behtareen Baat! Allah Ke Kitaab (Ki Baat) Hai)

» Wa Khairal Hadyi-Hadyu Muhammadin-(Sabse Behtareen Tareeka Mohammad() Ka Hai)
» Wa-Shar-Al Umoori Muh-Dasaa-Tuha-(Sabse Badtareen Kaam “Deen Me Ijad Karda) Cheeze Hai”

» Wa kullu mohdasatin Bidah-(Aur Har Ijad Karda Cheez Biddat Hai)

» Wa kullu bidatun Zalala -(Aur Har Biddat Gumrahi Hai)

» Wa kullu Zala-La-Tin Fin-Naar -(Aur Har Gumrahi Ka Thikana Jahannum Ki Aag Hai)

– (Bukhari; 3197: Muslim; 4822: Ahmad; 11372)
– (Sunan Ibn Majah, Vol-1, Hadees-43)
– (Tirmizhi; 2565: Hakim Mustadrak; 1/218)

Ya Allah Ham Sab Ko or Sath Me""Mumtaz" Ko Bhi Quran aur Sunnat Pe Chalne Ki Tofeeq Ata farma. Aameen

*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●

  ▄    █ ♥ Mumtaz ♥ █    ▄  

╠ •HADEES E PAAK• ╣

Naye Saal Par Khushi Manana Kesa Hai
--------------
Angrezi new year manana aur wish karna ye dono haram hai.... aj musalman is bimari me mubtila hai ise islam k naye sal ka pata nahi hota lkn ye musalman angrezi new year badi dhoom se manate hai (Astagfirullah ) ...aisa karne wale musalman k liye sakht wayidhai aise musalman ko ALLAH uske pyare Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam)  pasand nhi karte...
– 
(Sunan Abu-Dawood Hadith 4020 ...Abdullah ibn)

Umar riwayat karte hai Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Irshad Farmaya - jo jis kaum ki chezon ko apnayega wo usi mese hai....Yahan musalman gaur kare ye new year wishkarna ya manana kis kaum k tarika hai issayun ka hai agar hum inpe amal karenge to hamara ashar kya hoga..kal kayamat hume in kafiron k sat uthaya jayega. ALLAH HU AKBAR
– (Tirmidhi Hadith 4649)

Abdullah ibn Amr ibn al-'As se riwayat hi Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya - jo shaks gair kaum ki amal ko ikhtiyar karega wo hum me se nahi hai "’ALLAH quran me irshad farmata hai ...Waman yabtaghi ghayra alisla mi deenan falan yuqbala minhu wahuwa fee ala khirati mina alkha sireena

(Tarjuma ) agar koi islam k alawa dusre mazhab ko pasand karta hai to use qubool nhi kiya jayega aur wo kal kayamat ne unhi mazhab klogon k sat uska ashar hoga jo kafir hai ...Pyare islami dosto ye angrezi new year wish krna ya manana hamara tarika nhi hi.....aisa amal na karo jisse ALLAH aur uske Rasool (S.A.W) humse naraz hojaye ..... Ye angrezi cheezen chodke hum apne islami tarike ko apna le....

Sab islami dosto ye niyat karle is bar koi new year ka post ya status nhi dalega nhi zuban se kahega.......
In shaa ALLAH....


*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●
  ▄    █ ♥ Mumtaz ♥ █    ▄  

Shaykh Muhammad Salih Al Munajjid farmate hai  Witr ki namaz ka shuru ka waqt tab hota hai jab ek shaks Isha padh chuka hota hai agarche isha  ko magrib ke sath hi kyu na padha gaya ho magrib ke waqt. Aur is namaz ka khatm hone ka waqt fajr se pahle hai. Rasullullah  ne farmaya, “Allah ne tumpar ek namaz Mukarrar ki hai jo Witr hai; Allah ne tumpar ye namaz Isha ki namaz aur Fajr ki shuruat ke bich mukarrar ki hai.”

Narrated by al-Tirmidhi, 425; classed as saheeh by al-Albaani in Saheeh al-Tirmidhi. 

2 - WITR KYA SHURU KE WAQT ME PADHA JAYE YA AKHIR KE WAQT ME:

Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya“Jo shaks aakhir raat me na uth sake toh wo shuru raat me witr padh le aur jo aakhir raat me uth sake wo aakhir raat witr padhe kyuki aakhri raat ki namaz behtreen hai.”{more}
Sahih Muslim, hadith-755 .

3 - WITR KI NIYAT:

Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya “Tamaam Amal ka daromadar niyat pe hai”
Sahih al Bukhari, hadith-1.

Wazahat: Kisi bhi Namaz ke liye niyat karna zaruri hai lekin Namaz ki Niyat dil se na ke Zuban se ki jati hai.

4 - WITR KI RAKAT:

Rasullullah  ne farmaya,”Witr har musalman ka haq hai. To jo shaks paanch rakat witr padhna chahe to wo (paanch) rakat padhe aur jo teen rakat witr padhna chahe to (teen rakat) padhe aur jo koi ek rakat witr padhna chahe to (ek rakat witr) padhe.”
Sunan Abu Daud, hadith-1422, Sahih (Al-Albani).

NOTE: Rasullullah  ne farmaya, “Witr, Aakhir raat me ek rakat hai”. Sahih Muslim, hadith-752 .

5 - TEEN RAKAT WITR PADHNE KA TAREEKA

Teen rakat witr padhne ke do (2) tarike hai:

Pahla Tarika:

Ek ye hai ki Teen rakat ke witr me kisi rakat me na baithe siwae aakhri rakat me. Iska matlab dusre rakat me tashahudd ke liye bina baithe hi uth jana hai ya aesa kah sakte hai ki dusri rakat ke sajde ke baad hi uth jana hai.
Hazrat Ayesha r.a. farmati hai ki Rasullullah  teen rakat witr padhte the aur wo aakhri rakat ke alawa kisi rakat me nahi baithte the.
Narrated by al-Nasaa’i, 3/234; al-Bayhaqi, 3/31. al-Nawawi said in al-Majmoo’ (4/7): it was narrated by al-Nasaa’i with a hasan isnaad, and by al-Bayhaqi with a saheeh isnaad. 

Dusra Tarika 

Dusra tarika ye hai ki 2 rakat padh kar salaam fere hai aur fir ek rakat alag se padhna ha.
Ibn Umar r.a. riwayat karte hai ki wo do rakat ko ek rakat se Tasleem (Salaam) ke sath alag kiya karte the, aur wo farmate hai ki aesa Rasullullah  kiya karte the.
Narrated by Ibn Hibbaan (2435); Ibn Hajar said in al-Fath (2/482): its isnaad is qawiy (strong). 

6 - PAANCH YA SAAT RAKAT WITR

Lekin agar koi panch ya saat rakat witr padhe to wo musalsal honi chaiye aur sirf akhri rakat me Tashahudd padhe aur fir Tasleem (salaam) kahe. Kyuki:
Hazrat Ayesha r.a. riwayat karti hai ki Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) raat ko terah (13) rakat padha karte the jisme wo paanch rakat witr padhte the jisme wo akhri rakat ke alawa kisi rakat me na baithte the. 
Narrated by Muslim, 737. 

Umm Salamah r.a. riwayat karti hai ki Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) panch ya sath rakat witr padhte the aur wo  uske bich koi salam ya alfaz se alag nahi karte the.
Narrated by Ahmad, 6/290; al-Nasaa’i, 1714. al-Nawawi said: Its isnaad is jayyid. Al-Fath al-Rabbaani, 2/297. and it was classed as saheeh by al-Albaani in Saheeh al-Nasaa’i. 

7 - NAU (9) RAKAT WITR

Agar wo nau (9) rakat witr padhna chahe to kisi bhi rakat me na baith siwae aathwe rakat me. Aantwe rakat me baith kar sirf tashahud kahe aur salaam na kahe aur fir wo khada ho jaye. Fir 9 rakat me tashahud aur salaam dono padh kar namaz khatm kare.

8 - GYARA RAKAT WITR

Agar wo 11 rakat witr padhna chahe to har 2 rakat me salaam fere aur fir akhir me 1 rakat padhe.

9 - WITR KO MAGRIB KI TARHA NA BANANA

Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ki Witr ko teen rakat magrib ke tarha na banao.
Narrated by al-Haakim, 1/403; al-Bayhaqi, 3/31; al-Daaraqutni, p. 172. Al-Haafiz ibn Hajar said in Fath al-Baari (4/301): Its isnaad fulfils the conditions of the two Shaykhs (al-Bukhaari and Muslim). 
Aur is hadith ka jawab dusri hadith deti hai ki witr ko kaise magrib ke tarha na banaya jaye.
Hazrat Ayesha r.a. farmati hai ki Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) teen rakat witr padhte the aur wo aakhri rakat ke alawa kisi rakat me nahi baithte the.
Narrated by al-Nasaa’i, 3/234; al-Bayhaqi, 3/31. al-Nawawi said in al-Majmoo’ (4/7): it was narrated by al-Nasaa’i with a hasan isnaad, and by al-Bayhaqi with a saheeh isnaad. 

Is hadith se pata chala ki Witr ko kaise magrib ke tarha na banaya jaye jisse Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne mana farmaya hai.

10 - KYA DUA E QUNUT ME HATH UTHAYA JAYE ?

Dua e Qunoot witr mein hath uthane ke bare mein koi marfoo riwayat nahi hai lekin Hadiths ke kitabo me Baaz Sahaaba Ikraam r.a. ke asaar milte hain. Islamic shariah me jab koi baat Rasullullah  se na mile aur sahaba se wo amal mil jaye bina kisi dusre sahaba ka aetraz kiya to us amal ko apnane me koi harj nahi. Lekin behtar yahi hoga ki Hath bandh ke Dua e Qunut padhi jaye. 

Ibn Masood kahte hai ki wo Witr me apne hath uthate the aur us ke baad use niche kar lete the.
Abdur Razzaq (4/325), Sanad Hasan.
Qunut me hath uthana Umar r.a. se bhi sabit hai.
Al-Bayhaqi in a report which he classed as saheeh (2/210).


*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●
  ▄    █ ♥ Mumtaz ♥ █    ▄  

Rasullullah  Ne Farmaaya:
Jahannamiyon ke 2 group aise hain jin ko main ne abhi tak nahin dekha hai, yaani is ka wujood baad mein hoga. Ek group to un logon ka hai jin ke haathon mein dum ki tarah kode honge jin se woh logon ko naahaq maarenge aur doosra group un aurton ka hoga jo bazaahir kapde pehne huwe hongi magar woh dar haqeeqat nangi hongi, mardon ko apni taraf maail karengi aur khud bhi maail hongi, un ke sar (ke baal) bakhti oont ke kohaan ki tarah honge, aisi aurtein na to jannat mein jaaengi aur na khushbu paaengi, haalaanke Jannat ki khushbu itni itni itni masaafat yaani bahot door se mehsoos hone lagti hai.
–  (Muslim: 5704)
* * * * *

Ek aurat libaas pahen kar bhi nangi ho, is ki kai sooratein ho sakti hain, ek yeh ke woh libaas itna baareek ho ke badan ka androoni hissa nazar aaraha ho, doosri soorat yeh ho sakti hai ke libaas itna chust ho ke us se badan ki banaawat zaahir ho rahi ho, teesri soorat yeh ho sakti hai ke badan ke kuchh hissa par kapda ho aur kuchh hissa khula ho. Hadees mein bayaan karda sooraton mein teenon sooratein daakhil hain. Is liye har soorat se tamaam aurton ko bachana chaahiye.

Isi tarah aurton ko libaas mein kaafiron aur faasiqon ki naqqaali aur un ki mushaabehat ikhtiyaar karne se bachna chaahiye aur mardon jaisa libaas bhi nahin pahenna chaahiye. kyun ke Rasullullah  ne aisi aurton par laanat farmaai hai jo mardon ki mushaabehat ikhtiyaar karti hain.–  (Bukhaari :5885)
* * * * *

Neez aurton ko chaahiye ke apni isteta’at se ziyaada qeemat ke kapde ka ehtemaam bhi na karein aur libaas pahen kar fakhr wa numaaish aur takalluf se parhez karein. Kyun ke Allah ke Rasullullah  ne farmaaya: Jis ne shohrat ka kapda pehna, #Allah Ta’ala us ko qayaamat ke din zillat wa ruswaai ka kapda pehnaaeinge.
–  (Ibne Maaja : 3606)
* * * * *
*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●
  ▄    █ ♥ Mumtaz ♥ █    ▄  

Marne Se Phle Mar Jao

Aala Darje Ka Akhlaaq ….
[Man Salimal-Muslimuna Min Lisanihi Wa Yadi Hi]

Jo Tore Tum Usse Joro
Jo Mehroom Kare Use Ata Karo
Jo Zayadti Kare Use Ata Karo


*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●