▄    █ ♥ Mumtaz ♥ █    ▄  
╠ •HADEES E PAAK• ╣
Imam Abu Hanifa R.A Ka Aqidah
--------------
»1.»Yahud wa nasara apne maulvi aur darweshon ka kaha mante the is liyae Allah inhe Mushrik kharar diya.
Aur momino ko hukm diya ki Bado ka Qual mat pooch bal ki yeh poocho Allaha aur is ke Rasool ka ky Hukm hai…
– (Ref from Hanafai Fiqh: Alamgiri Jild-1 page No : 12)

»2.» Wali ki Qabr Buland makan Banana aur chiraj jalana Biddat wa Haram Hai.
– (Ref from Hanafai Fiqh : Durani Jild-4 page No :123&Hidiya Jild-4 Page No : 52)

»3.» Qabr ko Bosa dena(Choom na) Haram hai yeh nasara ki adat hai.
– (Ref from Hanafai Fiqh : Durr E Mukthar Jild-4 page No : 230)

»4.» Ambiya wa Awaliya ke Qabron ko Sajda karna,Tawa f karna, Nazrane chadana Haram wa Kufr hai.
– (Ref from Hanafai Fiqh : Durr E Mukthar Jild-1 page No : 53)

»5.» Jo Wali ki Qabr ki Ziyarat ke liyae Safar karta hai woh Jahel wa Kafir hai.
– (Ref from Hanafai Fiqh : Durr E Mukthar Jild-2 page No : 529)

»6.»Gairullah ki Mannat manana shirk hai aur is Mannat ka khana Haram Hai….
– (Ref from Hanafai Fiqh : Bahesti Zaver baab-3 page No :65)

»7.» Jis Jaanwar per Gairullah ka naam pukara gaya ho aur zubah kie waqt Bismillah Allaha hu Akbar kaha ho toh who zabah Haraam hai.
– (Ref from Hanafai Fiqh : Durr E Mukthar Jild-1 page No : 249&273)

»8.» Duaa,ba haq Nabi aur Wali (Bashoor Wasila) Mangna makroo hai is liyae ki Makluq ka kuch haq Allah per nahi.
– (Ref from Hanafai Fiqh : Hidaya page No : 226).
===========================2===========================
Dua Ek Ibadat
--------------
Dua ek ibadat hai aur har ibadat waise hi karna chaiye jaisa Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Sikhaya. Allah ya Rasool ne dua me wasila lagana kis ayat ya hadith me sikhaya. Ap dalail de!

Jaha tak duao me waseela ka maslah hai toh ye jaan le ki Quran ya sunnah me kahi bhi nahi likha hai ki dua me Nek logo ka wasilah lagana chaiye ya Nek logo ka wasila lagane se duae jaldi qubul hoti hai. Balki Quran aur sunnat me jitni bhi duae Allah aur uske Rasool ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne hame sikhai hai wo sab bina wasile ki dua sikhayi hai.

Hame Islam ko dekhne ke liye musalmano ko nai balki Quran aur Sunnah ko dekhna chaiye

Hazrath Arbaaz bin sariyah (r.a) se riwayat hai ke, Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne hume ek din subah ki namaz ke baad aise andaaz me nasihat farmayee jisse aankhon se aansu jari ho gaye, aur dil me khouf paida ho gaya, ek shakhs ne arz kiya, yeh to ruksati(farewell) ki nasihat maloom hoti hai, phir aap hume kis chiz ki wasihat farmate hai??, Aap (s.a.w)ne irshaad farmaya, main tumhe Allah se darte rehne ki wasihat karta hon, tumme jo mere baad zinda rahega, wo deen mey bohat se ikhtelaf dekhega,Tum par lazim hai ki deen me nayi-nayi nikali huwi chizon se bachna, kyunki har nayi chiz deen me gumrahi hai, lihaza tum aisa zamana pao to, meri aur hidayat-yaftah, khalifa-e-rashe deen ki sunnat ko masbooti se thame rehna.– (Sunan Abu Dawud, Model Behavior of the Prophet (Kitab Al-Sunnah) [40:4590] .

*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●

0 comments:

Post a Comment