▄    █ ♥ Mumtaz ♥ █    ▄  

╠ •HADEES E PAAK• ╣

Namaz Ki Niyyat Zaban Se Karna Zaroori Hai Ya Dil Se
--------------
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya – Aamal Ka Daromadar Niyat Par Hai
 (bukhari,1,54,2529,3898,5070,2520, MUSLIM 1907)

Namaz me Niyyat karna zaruri hai isliye ke Namazi ko malum rahe ke wo konsi Namaz padh raha hai. Namaz e Zohar ya Asar aur konsi rakat farz ya Sunnah.

Lekin Aksar Log Niyyat ke Alfaz zaban se ada karte hain jaise “Iss Imam ke pichhe me Namaz padh raha hun,itni rakat sunnat ya farz,falan Namaz ki.Munh mera kaabe tarf wagera.”

ye tariqa durust nahi hai kiyuke “Niyyat karna Dil ke Irade ke naam hai. 
[Kitab ul Fiqah.ali ul mazahib ul arbah:209/1 w sharah w qayah wagera]

Isi ke sath aksar Ulma ne zaban ke sath Niyyat karne ko Bidat shumar kiya hai,kiyuke Nabi(S.A.W) aur Sahaba Ikram se iska kOi subut nahi hai.

Allama Ibne Tahmiya(RahimUllah) farmate hain: “Zaban se Niyyat karna Deen aur aqal dono ke khilaf hai, Deen ke khilaf isliye ke ye Bidat hai aur aqal ke khilaf isliye ke iski missal aise hi hai jaise kOi khana tanawul karna chahta ho to kahe: “Main Niyyat karta hun apne hath ko iss bartan me rakhne ki,isme se luqma lunga phir isko munh me rakhunga,phir isko chabaunga,akhir isko nigal lunga take main ser hosakun.”

kOi aqalmand iss qism ki harkat nahi karega kiyuke jab aadmi ko ilm hai ke wO kya kar rha hai to usne uss baat ki Niyyat bhi zarur ki hogi.

Aur charo Imamo ka iss baat per ittefaq hai ke zaban se Niyyat krna mashru nahi.”–  [fatawa Ibne Tahmiya 232/1] Imam Ibne Qaim(RahimUllah) farmate hain: “Nabi(S.A.W) jab Namaz ke liye khade hOte to ALLAHU AKBAR kahte aur isse pahle kuch na kahte aur na inn marwajah alfaz ke sath Namaz ki Niyyat karte the.

Kisi ne iske muttaliq ba sanad kOi chiz naqal nahi ki,hatta ke kisi zaeef wa Mursal riwayat me bhi inme se ek lafz bhi marwi nahi hai,balke Sahabi se bhi ye alfaz sabit nahi aur nahi Taba’een aur charO Imamo me se kisi ne zaban ke sath Niyyat karne ko Mustahsin qarar diya hai.
–  [Zaad ul ma’ad ul Ibne Qaim:201]

Allama Muhammad Nasir Uddin Albani(RahimUllah) farmate hain: “Nabi(S.A.W) apni Namaz ko Takbeer Tahrima se shuru karte the.” [see: Sahi Muslim-1110] Iss Hadees me iss baat ki tarf ishara hai ke Aap(S.A.W) “Niyyat karta hun waste Namaz ke wagera” alfaz se Namaz shuru nahi karte the,lehaza ye bil ittefaq Bidat hai,Baaz ne Hasnah aur Saiyyah ka farq bayan kiya hai.

Lekin hum kahte hain ke Ibadat ke mamle me har Bidat Gumrahi hai.kiyukeNabi(S.A.W) ka irshad hai ke: “( كل بدعة ضلالة وكل ضلالة في النار ) “-kullu bid’atin dalalatun wa-kullu dalalatin fi’l-nari-“ iss baat ka taqaza karta hai.” 
–  [Safat ul Salat ul Nabi(S.A.W),page-76]

Iss Hadees ke mayeni ye hain ke “Har Bidat Gumrahi hai aur Gumrahi Dozakh me lejane wali hai.” [Sanan Nisai]Niyyat chuki Dil se talluq rakhti hai,isliye zaruri hai ki ham apne tamaan(jayez) kamon me(sabse) pahle niyyat kar liya karen kyonki jaisi niyat hogi waisa hi phal milega.In shaa ALLAH

ALLAH SW Hume shirk wa Bidat se mahfuz farmaye aur Sunnato per sahi tariqe se Amal karne ki toufiq ata farmaye.Ameen

*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●

0 comments:

Post a Comment