Mahfum-e-Hadees: Nabi-e-Paak (Sallallahu Alaihay Wasallam) Irshad Farmate Hain –
“Rozi aur Barkat Uss Ghar Ki Taraf Tezi Se Doudhti Hai
Jis Me Mehmaan Ke Sath Khana Khaya Jata Hai..”
 (Ibne Majah)

Mahfum-e-Hadees:  “Ek Din-O-Raat Mehmaan Ki Khidmat Uska Jaaiz Haq Hai
Aur Uski Daawat-O-Mehmaan Nawaazi Teen(3) Din Hai,
Uskey Baad Ki Mezbaani Uske Liye Sadqa Hai Aur Mehmaan Ke Liye Zyaada Din Thehar Kar
Mezbaan Ko Tangi Me Mubtela Karna Jaaiz Nahi Hai..”
(Bukhari Sharif)

Mahfum-e-Hadees: Hazrate Abu Hurairah (Razi’Allahu Anhu) Ka Bayan Hai –
Nabi-e-kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
“(Mehman Nawazi Ke Mutabik) Sunnat Ye Hai Ki Adami Mehmaan Ko
Darwaze Tak Rukhsat Karne Jaye..”
 (Ibne Majah)
*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●

0 comments:

Post a Comment