╠ •HADEES E PAAK• ╣

Miswak Karne Ki Sunnate
--------------
" Miswak krna bhi aik aisi azeem sunnat hai k aik Musalman aik din aur aik raat me 15,20 martaba kam as kam miswak krskta hai, is tarah 15 Se 20 Martaba is sunnat k ada krne ka sawab is k naame aamal me likha jaye ga jo Zakhiraye Aakhirat ban jaye ga.

Sayyadna Abu Huraira (ra) Se Riwayat Hai Ke Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya -: ‘Agar main apni ummat ke liey mushkil na jaanta to har namaz se pehle miswak karne ka hukam deta.’
– (Bukhari: al Jumua’a 887 – Muslim: al Tahaara, Baabas Siwak 252)

Sayyadna Huzaifa (ra) Farmate Hain: ‘Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) jab raat ko tahajjud ke liey uthte to miswak karte.’
– (Bukhari: al Wuzu 245 – Muslim: al Tahaara 255)

Sayyadna Ibne Abbas (r.a) Farmate Hain: ‘Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) raat ko har do raka’at ke ba’ad miswak karte.’
– (Muslim: al Tahaara, Baab as Siwak 256)

Hazrat Ayesha (ra) Farmati Han Ke Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Jab ghrme Dakhil hote to sub se pehla kam ye hota tha k Aap sallaallahu alaihi wasallam Miswak Farmaya karte the. 
– (Muslim)

Quran Majid ki tilawat k waqt, Muh me badbo k ehsas k waqt, Neend se bedar hote waqt, aur wazu karte waqt in tamam Mawaqe pr Miswak krte huwe Aadmi apne Muh ko saaf bhi rakh skta hai aur apne Rub ko razi bhi kr skta hai, Aur bisiyoon martaba isi sunnat per amalkrte huwe Ajr-o-Sawab ka Zakhira bhi kr skta hai, Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Irshad Farmaya - “ Miswak Muh Ki Pakizgi Ka Zariya Aur Rub Ki Khushnudi Ka Sabab Hai”.
– (Ahmed)
*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●




0 comments:

Post a Comment