▄    █ ♥ Mumtaz ♥ █    ▄  
╠ •Al-QURAAN & Hadees• ╣
 "Jhoot Bolne Waalo Par Allah Ki Lanat ..!.....
--------------
 Al-Quraan:“Beshak Jhoot Bolne Waale Par Allah ki Lanat”.
– (Sureh Aal-e-Imran, Ayat 61)

 Mahfum-e-Hadees: Jhoot Se Bacho! Bilashuba Jhoot Gunaah Ki Taraf Le Jaata Hai
Aur Gunaah Jahannam Me Pahunchane Wala Hai
– 
(Abu Dawood)

 Mahfum-e-Hadees: Bahut Saare Log Muh Ke Bal Jahannam Me Phenk Diye Jayenge,
Sirf Apni Zubaan 
(Yaani Jhoot) Ki Wajah Se. !!
– 
(Tirmizi Sharif)

 Mahfum-e-Hadees: “Mai Zamanat Deta Hun Jannat Ke Darmiyan 1 Ghar Ki,
Uss Shakhs Ko Jo Mazaq Me Bhi Jhoot Na Boley.”
– 
(Abu Dawod)

 Mahfum-e-Hadees: Apni Jhooti Taarif Pasand Karna Sharike Haraam Hai,
aur Uss Me Aakhirat Ki Barbadi Ka Andesha Hai.
– 
(Bukhari Sharif, Muslim Sharif)

 Mahfum-e-Hadees: Uss Shakhs Ke Liye Kharaabi Hai
Jo Baat Karte Huwe Logo Ko Hasane Ke Liye Jhoot Bolta Hai.

– (Mishkatul Masaabih)

 Mahfum-e-Hadees: Ye Bohot Badi Khayanat Hai Ke Tum Apne Bhai Se Koi
Jhooth Baat Bayan Karo, Halanke Wo Tumhari Baat Ko Saccha Samjhta Ho.
– 
(Abu Dowood)

* Hamesha Sach Bolo Aur Jhoot Se Bachte Raho

 Mahfum-e-Hadees: Hazrate Abdullah Bin Masood (Razi’Allahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki,
Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –*Tum Sachhayi Ko Laazim Pakdo Aur Hamesha Sach Bolo,Kyun Ki Sach Bolna Neki Ke Raaste Par Daal Deta Hai Aur Neki Jannat Tak Pahuncha Deti Hai. Aur Jab Aadmi Hamesha Hi Sach Bolta Hai Aur Sachhayi Hi Ko Ikhtiyaar Kar Leta Hai Tou Wo Muqaam-e-Siddiqat Tak Pahunch Jaata Hai Aur Allah Ke Yaha Siddiqeen Me Likh Liya Jaata Hai.

*Aur Jhooth Se Hamesha Bachte Raho –
Kyu Ki Jhooth Bolne Ki Aadat Aadmi Ko Badkari Ke Raaste Par Daal Deti Hai
Aur Aadmi Jhooth Bolne Ka Aadi Ho Jata Hai Aur Wo Jhooth Ko Ikhtiyaar Kar Leta Hai
Tou Anjaam Ye Hota Hai Ki Wo Allah Ke Yaha Kajjabi Me Likh Diya Jaata Hai”.

– 
(Sahih Bukhari, Muslim Shareef)

Sacchayi Neki Ki Taraf Rahnumai Karati Hai …..

 Mahfum-e-Hadees: Hazrate Ibne Mas’ood (Razi’Allahu Anhu) Se Riwayat Hai Ke,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –“Yaqeenan Sacchayi Neki Ki Taraf Rehnumayi Karaati Hai Aur Neki Jannat Ki Taraf Le Jaati Hai.
– Aadmi Sach Bolta Rahta Hai, Yaha’n Tak Ke Usse Allah Ke Yahan Bahot Sachcha Likh Diya Jaata Hai.

Jhoot Nafarmani Ki Taraf Rehnumayi Karata Hai


 Mahfum-e-Hadees: Aur Jhoot Nafarmani Ki Taraf Rehnumayi Karata Hai Aur Nafarmani Jahannum Ki Taraf Le Jaati Hai.
– Aur Aadmi Yaqeenan Jhoot Bolta Rehta Hai, Yaha’n Tak Ke Allah Ke Yahaan Usse Bohot Jhoota Likh Diya Jaata Hai” ” {Click-More..}
– 
(Sahih Bukhari; Kitaab Ul Adab Volume 3 ; Hadees 1027, Sahih Muslim Kitaab Ul Barr, Volume:6, Page:232) 

Dua by “Mumtaz” !!!
Ya 
"Allah" Hame Har Haal Me Jhoot Se Parhez Karne Ki Toufiq Ata Farmaye……
Aur Humesha Sach Bolne Wala Bana De!! Ameen !!

*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●

0 comments:

Post a Comment