▄    █ ♥ Mumtaz ♥ █    ▄  

╠ •HADEES E PAAK• ╣

Namaz Me Shaitaan Ka Behkana Ki Dua
--------------
Bismilahirrahmanirrahim

Sulaiman Bin Sard Radi Allahu Anhu Ne Bayan Kiya Ki Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ki Khidmat Mein Baitha Hua Tha Aur Qareeb Hi Do Aadmi Aapas Mein Gaali Galoch Kar Rahe They Ki Ek Shakhs Ka Munh Surkh (Lal) Ho Gaya Aur Gardan Ki Ragein Phool Gayeen. Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya - Ki Mujhe Ek Aisa Kalima Malum Hai Ki Agar Ye (Ya Koi Aur) Shakhs Usko Parh Le To Is Ka Gussa Jata Rahe Ga.

أَعُوذُ بِاللَّهِ مِنَ الشَّيْطَانِ الرَّجِيمِ ‏
Auzubillahi Min Ash-Shaitanirrajeem
Tarjuma: Main Panah Mein Aata Hu Allah Ki Shaitan Mardud Se
– (Sahih Muslim Jild 6, 6648)

AL Quran: Jab Tum Quran Padhne Lago To Shaitan Mardood Se Allah Ki Panah Mein Aa Jaya Karo (Yani Pahle Auzubillahi-Minash-Shaitanirrajeem Padh Liya Karo)
(Surah An-Nahal (16), Aayat 98)

 Mahfum-e-Hadees: UM UTHMAN B. ABU AL-'AS (R.A) Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam)  KE PAAS Gaye Aur Farmaya - Ki Shaitan Meri Namaz Main Aur Quran Padhte Waqt Mujhe Waswase Daalta Hai…Tou Allah K Rasool-e Akram () Ne Farmaya - Ye Aik Qisam Ka Shaitan Hai Jis Ka Naam Khinzab Hai Agar Tumhe Waswase Aaye To Tum "A'uzu Billahi Minashaitanir Rajim" Padho - Aur Teen Baar Bayen Janib (Left Side) Thuko Aur Unhone Waise Hi Kiya Aur Allah Ki Marzi Se Unke Waswase Band Ho Gaye.
– (Sahih Muslim :: Book 026 :: Number 5463)

*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●

0 comments:

Post a Comment