▁ ▂ ▄ ▅ ▆ ▇ █ ♥ Mumtaz ♥ █ ▇ ▆ ▅ ▄ ▂ ▁

╠ •HADEES E PAAK• ╣

★"Sab Rozo Me Afzal Ramzan Ke Baad "Muharram" Ke Roze...,!...
--------------
Hazrate Abu Hurairah (Razi’Allahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya –
“Sab Rozo Me Afzal Ramzan Ke Baad Muharram Ke Roze Hain,
Jo Allah Ka Mahina Hai Aur Baad Namaz-e-Farz Ke Tahajjud Ki Namaz Hai”.
– (Sahih Muslim , Vol-3, 2755, Muslim Shareef 1163)

♥ Mafhoome Hadees ! Aashura 10vi Muharram Ka Roza Hai. Lekin Uske Liye Zaroori Hai Ke Uske Sath Navi (9-Muharram) Ya Gyarvi (11-Muharram) Ka Bhi Roza Rakhen.

 Mahfum-e-Hadees:– Hazrat Ibn Abbas Radi Allahu Anhu Se Rivayat Hai Ki Rasool’allah (Sallallahu Alaihi Wasallam)  Jab Madina Mein Tashreef Laye To Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam Ne Yahudiyo Ko Dekha Ki Wo Ashura Ke Din (10 Muharram) Ka Roza Rakhte Hain, Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Unse Iska Sabab Pucha To Unhone Kaha Ki Ye Ek Achcha Din Hai Is Din Allah Susbhanhu Ne Bani Israeel Ko Unke Dusman ( Firaun) Se Nijat Dilwayee Thi Isliye Musa Alaihi Salam Ne Us Din Ka Roza Rakha Tha To Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya – Musa Alaihi Salam Par Tumse Zyada Haq Hamara Hai, Phir Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam Ne Bhi Us Din Roza Rakha Aur Sahaba Radi Allahu Anhuma Ko Bhi Iska Hukm Diya.
– (Sahih Bukhari, Vol 3, 2004)


 Mahfum-e-Hadees:– Hazrat Abdullah Bin Abbas Radi Allahu Anhu Se Rivayat Hai Ki Jab Roza Rakha Rasool-Allah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Ne Aashurey Ke Din (10 Muharram) Ka Aur Huqm (Order) Kiya Is Rozey Ka, To Logo Ne Arz Ki Ya Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ye Din To Aisa Hai Ki Iski Taazim Karte Hain Yahud Aur Nasara,To Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya – Ki Jab Agla Saal Aayega To Insha-Allah Hum 9 Ka Roza Rakhege,Aakhir Agla Saal Na Aane Paya Ki Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Duniya Se Wafat Pa Gaye(Isliye Hum Musalman 9 Muharram Aur 10 Muharram Dono Ka Roza Rakhte Hain)
– (Sahih Muslim, Vol 3, 2666)

*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●

0 comments:

Post a Comment