▄    █ ♥ Mumtaz ♥ █    ▄  

╠ •HADEES E PAAK• ╣

"Geebat (Burayi) Karne Badtareen Gunah aur Uski Saza."...!...
--------------
 Mahfum-e-Hadees:  Allah Ke Rasool (Sallallahu Alaihi Wasallam) Irshad Farmate Hain Ki –
“Apne Aapko Geebat Se Bachao, Yeh Zinaa Se Bhi Zyada Buri Hain!”
Pucha Gaya – “Yeh Zinaa Se Kaise Baddhter Hain?”

*Tou Aapne Farmaya – “Aadmi Zinaa Kerke Taubah Ker Leta Hai Tou
Allah Ta’ala Kabool Farmata Hain!
Magar Geebat Karne Wale Ko Jabtak Wo Shakhs Jiski Geebat Ki Gayi Ho,
Muaf Na Kare, Uski Taubah Kabul Nahi Hoti!

Lihaza Har Geebat Karne Wale Ke Liye Zaruri Hai Ki,
Wo Allah Ta’ala Ki Bargaah Me Sharminda Hokar Taubah Kare Taaki
Allah Ke Karam Se Kamiyaab Hokar Fir Uss Shakhs Se Muafi Maange Jiski Usne Geebat Ki Thi ,..
Taaki Geebat Ke Andhiyaron Se Rihayi Haasil Ho!”.
 (Al-Bayhaqi, Shu’ab Al-Eemaan, Dha’eef Al-Jaami) 
.
 Al-Quraan: Har Geebat Karne Wale (Aur) Taana Dene Wale Ke Liye Halakat Hai, Jo Maal Ko Jama Karta Hai Aur Usey Ginta Rahta Hai, Wo Khayal Karta Hai Ki Uska Maal Usko Hamesha Ki Zindagi Dega, Hargiz Nahi , Wo Zarur Hutama Mein Phenka Jayega, Aur Aapko Kya Malum Ki Hutama Kya Hai. Wo Allah Ki Bhadkayee Huyee Aag Hai. Jo Dilon Tak Ja Pahuchti Hai.Beshak Wo Un Par Charo Taraf Se Band Kar Di Jayegi.Lambe Lambe Sutono Mein
(*Al~Quran,Surah Al Humaza(104),Aayat-1-9*)

#G
heebat Kare Vale Ko Sazaa

 Mahfum-e-Hadees:  Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya – Me'raaj  Ki  Raat  Mujhe  Chand  Log  Aise  Dikhaye  Gaye,  Jin  Ke  Naakhun  Tambe  Ke  The,  Aur  Wo  Un  Nakhunon  Se  Apne  Chehron  Aur  Seenon  Ko  Nauch  Rahe  The,  Mene  Jibra'eeL  ALayhissaLasm  Se  Poochha  Ke  Ye  Kaun  Log  hein,  to  Jibra'eeL  ALayhissaLaam  Ne  Kaha  Ke  Ye  Wo  Log  Hein  Jo  Logon  Ki  Gheebat  Kiya  Karte  The.
 (Abu Daawood-4877)

Sabaq: Andaazah Lagaayen Ke AwwaL to Naakhun Se Apne Chehre Ko Nauchna Kis Qadar Aziyyat WaaLa Sabab hai  Aur Fir Mazeed Ya Ke Jab Wo Sakht Tanmbe Ka ho to Kis Qadar Aziyyatnaak hoga.

ALLaah Ham Sab Ki Hifaazat Farmaye. Aameen

 Mahfum-e-Hadees:  Nabi  Kareem  (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne  Frmaya
Jo  Log  Inteqal  Kar  Chuke  Hai
Unko  BURA-BHALA  Mat  Kaho
Es  Liye  Ke  Jo  Unho  Ne  Kiya  Wo  Unko  Mil Chuka...
 (Mishkat safa no/145)

*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●

0 comments:

Post a Comment