▄    █ ♥ Mumtaz ♥ █    ▄  

*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●
  ▄    █ ♥ Mumtaz ♥ █    ▄  

*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●
Quraan Ki Fazilat
--------------
♥ Quraan-e-Kareem - Insaniyat Ke Liye Ye Sabse Badi Aur Sabse Azeem Neymat Hai ,.. Iski EK Sabse Badi Fazilat Yeh Bhi Hai Ke –

“Jis Raat Ye Kitab Nazil Hui Uss Raat Ki Ibadat Ko Allah Rabbul Izzat Ne Hazaar(1000) Mahino Raato Ki Ibadat Se Afzal Karar Diya,.. ”

» Jiski Gawahi Rabbul Izzat Ne Apni Kitab Me Di Aur Farmaya –
• Tarjuma:
* “Ke Humne Iss Quraan Ko Qadr Aur Manjilat Waali Raat Me Utaara” – (Ad-Dukhan (44) Aayat 4)

* “Aye Musalmano Kya Cheez Hai Ke Tumhe Bataye Lailatul Qadr Kya Hai ? Ke Lailatul Qadr Hazaar Mahino Se Jyada Afzal Hai.. (Hazar Mahine Yaani 83 Saal Aur 4 Mahine) ..”– (Surah-tul-Qadr (97) Ayat 1 se 3).

*Tou Andaza Lagayiye Ke Jiss Kitaab Ke Nazil Hone Ka Ye Sabab Ho Ke Jis Raat Ye Utari Jaye Agar Uss Raat Ki Ibadat Ka Ye Sawab Hai Tou Iss Kitab Ki Fazilate Kya Ho Sakti Hai Bus Andaza Hi Lagaya Ja Sakta Hai.. Sirf Gumaan Hi Kiya Ja Sakta Hai

* Aur Yeh Shabe Qadr Ki Raat Hum Sab Jaantey Hai Ke Ramzan Ke Aakhri Ashre Ki Taaq Raato Me Se Koi Ek Raat Hoti Hai. Yaani 21, 23, 25, 27 Ya 29

* Iss Kitab Ke Talluk Se Aahadees Me Itni Beshumar Fazilate Aayi Hai Ke Tamam Fazilato Ko Bayan Karna Humare Liye Mushkil Hai… Aayiye Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Chand Aahadees Ke Hawalo Se Iss Kitab Ki Fazilat Ko Jan’ne Ki Koshish Karte Hai

1). Hadees: “Tum Me Behtareen Log Wo Hai , Jo Quraan Sikhey Aur Dusro Ko Sikhaye” – (Sahih Bukhari H#545)
2). Hadees: “Quraan Sikhne Ke Liye Jo Shakhs Ghar Se Nikalta Hai , Allah Rabbul Izzat Uske Liye Jannat Ka Rasta Aasan Kar Deta Hai ,.” (Sahih Muslim)

3). Hadees: “Quraan Padhney-Padhaney Waale Allah Waale Hai,. Aur Ye Allah Ke Chahitey Bandey Hotey Hai,.” (Sunan Ibne Maja)

4). Hadees: “Quraan Ko Baqasarat Tialawat Karne Wala Kabile-Rashk Hai”. (Sahih Bukhari)

5). Hadees: “Quraan Ki Baqasarat Tilawat Karne Wala Qayamat Ke Roz Mukarrab (Khaas) Farishto Ke Saat Saff Me Khada Hoga,..” (Sahih Muslim)

6). Hadees: “Quraan Ke Padhney-Padhaaney Walo Par Allah Taala Sakinat Nazil Farmata Hai..(Sukun Aur Itminan Nazil Karta Hai),.. Farishtey Inki Majliso Ko Ahtraam Se Gher Letey Hai,.. Aur Allah Ta’ala In Logon Ka Zikr Faqr Ke Taur Par Farishto Ke Samney Karta Hai…” (Sahih Muslim)

7). Hadees: “Quraan Ka Ek Sira Allah Ke Haath Me Hai Aur Dusra Sira Ahle Imaan Ke Hath Me Hai,..Bus Jo Isey Thamey Rakhega Duniya Me Gumraah Nahi Ho Sakega Aur Aakhirat Me Halaq Nahi Hoga,..” (Tibrani)

8). Hadees: “Quran Ki Tilawat Karne Wale Ko Har Harf Ke Tilawat Par 10-10 Nekiya Milti Hai,..” (Jame Tirmiji)
*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●
Ummul mo’minin Hazrate Aayesha siddeeqa Wa Hazrat Abu Huraira radiAllahu anhuma se riwayat hai ki Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya –
‘Agar main kisi ke liye Sajde ka hukm deta to Aurto ko hukm deta ki apne shohar ko sajda kare.’(Tirmizi, Jild -1, Baab -788, Safa 594, Hadees -1158,Mishkat, al-Masabih, Hadees -7)

*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●

!!! Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!!
Allah Rabbul Izzat Quran-e-Kareem me farmata hai:
Al-Quraan: “Aur Biwiyo ke Saath Acchi Tarah Raho Saho”
[Surah(4) Nisa; Aayat 19]

Al-Quraan: “Aurto Ka Haq Mardo par waisa hee hai jaisa Dastoor ke Mutabiq (Mardo ka haq) Aurato par hai.., Al batta mardo ko unn par Fazeelat Hasil hai”
 
[Surah(2) Baqrah; Aayat 228]

Isi Tarha Allah Ke Rasool (S.A.W) Ki Aahadees me Aata hai ke:
Mahfum-e-Hadees: “Aurato se behtar Sulook karo kyunki Aurat Pasli se paida ki Gae hai aur pasli ka sab se zyada tedha hissa woh hai jo uska buland hissa hai.. Agar tu Usey Seedha karne lage ga tou Usey Thodh dega aur agar Chodh dega tou Tedhi hee Rahegi, Lihaza Aurto se Accha Sulooq karo”
(Bhukhari 3331)

Mahfum-e-Hadees: “Koi Momin Mard, Momina Aurat, Yaani Apni Biwi se Bhugz(nafrat) na rakkhe, kyunki agar Us sey uss ki koi Aadat Napasand hai tou koi dusri pasand bhi hogi,..”
(Muslim 1467)

Mahfum-e-Hadees: “Aur dastoor ke Mutabiq Tumhari Biwiyo ki khuraaq aur Phoshaaq tumhare Zimme hai”
(Abu Dawud 1905)

Mahfum-e-Hadees: Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) se phucha gaya ke biwi ka mard par kya haq hai tou aap ne farmaya ke “Jab tu khana khae tou Usey khana khila aur jab tu Pehne tou Usey bhi Pehnna aur uske Muuh par na Maar, Usey bura bhala Kahe na Uss se Qata Talluq kar magar yeh ke Ghar ke Andar Andar”
(Abu Dawud 2142)

*Wazahat: Yaani kisi baat par Naraaz ho tou Usey Ghar se Dusri jagah na bhagao

♥ Mahfum-e-Hadees: “Jis ki Do Biwiya ho aur woh Unn me se Ek ki taraf hi Mayeel(Atract) ho tou woh Qayamat ke Din is Haal me Aayega ke uska Ek Pehlu Jhuka hoga”
(Abu Dawud 2133)

*Albatta woh umoor jinn me adal mumkin na ho jaise Mohabbat aur Dil ki Khushi tou in par khawind par khuch gunah nhi.
Allah Ta’ala Quran me farmata hai ke:
“Agar tum chaaho bhi to apni Biwiyo ke Darmiyaan Adal na kar sakoge..”

[Surah(4) Nisa; Aayat 129]

♥ Mahfum-e-Hadees: Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke:
“Aye Allah! yeh meri Taqseem aise Muamle me hai jis me mera Ikhtyaar hai aur jiss baat me tera ikhtyaar hai, mera nahi uss par mujhey Malamat na farmana”
(Abu Dawud 2134)
*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●

Pyare Islami Bhaiyo,ALLAH TA’ALA Ne Jis Tarah Aurato Par Shohar Ke Huqooq Farz Kiye Hai Usi Tarah Shohar Par Bhi Aurato Ke Huqooq Farz Hai.

In Huqooq Ko Ada Na Karnewala Sakht Gunaahgar Hai

ALLAH TA’ALA irshad Farmata Hai -
“Aur Unse (Aurato Se) Acha Bartaw Karo”.  (Tarzuma: Kanzul Imaan Para 4, Sure Nisa, Aayat 19)

Rasool’Allah (Sallallaho Alaihi Wasallam) Ne Irshad Farmaya 
“Tum Me Ache Log Wah Hai Jo Aurato Ke Sath Achi Tarah Pesh Aaye”.  
(Mishkat Sharif Part 2, Safa 282)

Sarkar-E-Madina (Sallallaho Alaihi Wasallam) Ne Irsad Farmaya 
“Aurat Ko Kisi Bade Kasoor Ke Kabhi Hargiz Hargiz Na Mare Jis Tarah Apne Gulaam Ko Mara Karta Hai, Fir Dusre Waqt Usse Sohbat Bhi Kare”. (Mishkat Sharif Jild 2, Safa 280)

Afsos! Aaj Ke Kuch Jahil Naujawan Apni Biwi Ko Marte Hai.Ya ALLAH Subko Apni Biwi Ki Izzat Karne Ki Taufiq Ata Farma Aameen

Habib-E-Khuda (Sallallaho Alaihi Wasallam) Ne Irshad Farmaya 
“Koi Momin Mard Kisi Momin Aurat Se Bugz Wa Nafrat Na Rakhe Kyunki Agar Aurat Ki Koi Aadat Buri Malum Hoti To Uski Koi Dusri Aadat Pasandida Bhi Hogi”. (Mishkat Sharif Jild 2, Safa 280)

Mehboob-E-Khuda Khatmunn Nabiyyin Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya 
“Tum Me Woh Behtar Hai Jo Apni Biwi Ke Sath Behtar Hai Aur Me Apni Biwiyo Ke Sath Tum Subse Jyada Behtar Hu”.
(Ibne Maja Jild 1, Safa 551, Hadees No 2047, Tirmizi Sharif Jild 1, Safa 595)

Apni Biwi Ke Sath Acha Sulooq Karo. Uske Sath Muhabbat Se Pesh Aao. Biwi Ke Sath Narmi Aur Khushmijaji Se Bartaw Karo.Apne Biwi Se Ladai Jhagda Na Karo Pyare Aaqa Alahissalam Ki Sunnato Par Amal Karo

Madani Aaqa (Sallallaho Alaihi Wasallam) Ka Farmane Aalishan Hai
“Sabse Bura Aadmi Wah Hai Jo Apni Biwi Ko Sataye”.
(Tabrani Sharif)

Pyare Islami Bahiyo Apni Biwi Par Julm Karna, Use Satana, Gaali Galoch Karna Bad Tarin Gunah Hai

Hazrat Abu Huraira Radiallaho Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Ki Rasool-E-Akram (Sallallaho Alaihi Wasallam) Ne Irshad Farmaya “Jab Kisi Ke Nikah Me Do Biwiya Ho Aur Wo Ek Hi Ki Taraf Mayel Ho To Woh Qayamat Ke Din Jab Aayega To Uska Aadha Dhad Gira Hua Hoga”.  (Tirmizi Sharif Jild 1, Safa 584, Hadees No 1137, Ibne Maaja Jild 1, Safa 549)

Habib-E-Khuda (Sallallaho Alaihi Wasallam) Ne Irshad Farmaya
“Aurato Ke Sath Neki Ka Bartaw Karo Ki Unki Paidaish Tedhi Pasli Se Hui Hai Wah Tere Liye Kabhi Sidhi Nahi Ho Sakti

Agar Tu Use Baratna Chahe To Har Haalat Me Barat Sakta Hai Aur Sidha Karna Chahega To Tod Dega Aur Todna Talaaq Dena Hai
(Muslim Sharif)

Hajjatul Wida Ke Mash’hur Khutbe Me
Huzoor-E-Akram (Sallallaho Alaihi Wasallam) Ka Irshade Girami Hai Ki
Aye Logo! “Aurato Ke Baare Me Neki Aur Bhalaai Karne Ki Wasiat Farmata Hu Tum Meri Wasiat Qubool Karo

Beshaq Aurato Ka Tumhare Upar Haq Hai Tum Unke Pehnaane Aur Khilaane Me Neki Ikhtiyar Karo
(Ibne Maja)

Madani Aaqa (Sallallaho Alaihi Wasallam) Ne Irshad Farmaya
“Nikah Ki Shart Yani Mehar Ada Karne Ka Sabse Jyada Khayal Rakho”.
(Bukhari Sharif Jild 3, Safa 80)

Haq Mahar Ada Karna Shohar Par Wazib Hai Aur Ise Ada Karne Me Kotahi Karnewala Sakht Gunahgar Hai

Ya ALLAH Subhi Islami Bhaiyon Ko Apni Biwi Ka Haq Ada Karne Ki Taufiq Ata Farma Aur Biwi Ke Sath Muhabbat Se Zindagi Basar Karne Ki Taufiq Ata Farma Aameen.

*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●


*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●

*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●


*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●



*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●
Hadeese Nabawi :
***********
(1) Ummul mo’minin Hazrate Aayesha siddeeqa Wa Hazrat Abu Huraira radiAllahu anhuma se riwayat hai ki Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya –
‘Agar main kisi ke liye Sajde ka hukm deta to Aurto ko hukm deta ki apne shohar ko sajda kare.’(Tirmizi, Jild -1, Baab -788, Safa 594, Hadees -1158,Mishkat, al-Masabih, Hadees -7)
(2) Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) se daryaft kiya ki
‘Behtareen Aurat ki pehchan kya hai?’
Aap ne farmaya
‘Jo Aurat apne Shohar ki ita’at wa farman bardari kare.’
(Nisaai, Jild -2, Safa -364)
(3) Jo Aurat panjgaana namaaz padhe, Ramazaan ke roze rakhe, apni izzat –aabroo ki hifazat kare aur apne shohar ki farman bardar ho wo to jannat ke darwazo me se jis darwaze se chahe daakhil ho jaaye.
(4) Koi aurat bagair apne shohar ki ijazat ke nafli roza nahi rakh sakti.(Sahih Bukhari, Hadees -5192, Sahih Muslim, Hadees -1026)
(5) Agar kisi aurat ka shohar raat ko uske saath sona chaahe, aur biwi bina kisi jayaz wajah ke mana kar de, aur shohar naraz hokar so gaya to puri raat rahmat ke farishto se biwi mehroom rehti hain.(Bukhari shareef, Jild -3, Baab -115, Safa -96, Hadees -178)
***********
Shohar aur Biwi ke liye in baato ko apnana khas zaroori hai :
(1) Aapas me mohabbat rakhen aur itemaad (trust) rakhe aur narmi aur husne sulook ke saath paish aaye.(2) Ek dusre ki khubiyo par nazar rakhe aur aibo aur khaamiyo aur mamooli galtiyo ko nazar andaz kare.(3) Ek dusre ko nek sahi mashwara de aur deendaari wa shariat ki taakeed kare aur neki ki taraf rehnumai kare.(4) Haya aur adab aur husne akhlaq ikhtiyar kare aur aisa koi kaam na kare ke jis se dusre ki izzat kam ho aur ek dusre ki izzat ki hifazat kare.
Ek dusre ke aib poshida rakhe aur dusro ke saamne zaahir na kare.
(5) Ek dusre ki jaiz zaroorato ka khayal rakhe.
Mard halaal rizq kama kar laaye aur ghar ke akhrajaat ko pura kare
Aur Aurat uski halaal aamdani me se khaane ka aur dusri zaroorato ka khayal rakhe. Aur uske halal rizq par shukr aur sabr kare aur ghar ka, maal ka aur ahlo ayaal aur ghar walo ka khayal rakhe.
(6) Ek dusre ki jaiz khwahisho ko pura kare.(7) Ek dusre se wafadaari rakhe aur apne shareeke hayaat ke ilawa kisi gair aurat ya gair mard ke baare me na soche.(8) Ek dusre ke Rishtedaaro aur Dosto ya Saheliyo ki izzat kare aur un se husne sulook kare.(9) Ranjo gam, museebat aur beemari me ek dusre ke saath rahe aur ek dusre ko madad kare aur tasalli de aur hosla afzai kare.(10) Koi galti ho jaaye to narmi ke saath use sahi baat samjhaye aur galat fehmiyo aur shak ki wajah se paida hone wale ikhtelaf aur fitne fasaad se hamesha bachna chahiye.(11) ALLAH ta’ala se ek dusre ke liye dunya aur aakhirat me bhalai ki aur khairo barkat ki aur salaamati ki dua kare.
***********
Behtareen Shohar kaun hai? :
 Jo apni biwi ke saath narmi, khush akhlaaqi aur husne sulook ke saath paish aaye. Jo apni biwi ke huqooq ada karne me kisi qism ki gaflat aur kotahi na kare. Jo apni biwi ki khubiyo par nazar rakhe aur mamooli galatiyon ko nazar andaz kare. Jo apni biwi ka is tarah hokar rahe ke kisi ajnabi aurat par nigaah na daale. Jo apni biwi ko apne aish wa ishrat me barabar samjhe. Jo apni biwi par kabhi zulm aur kisi qism ki be ja zyadati na kare. Jo apni biwi ki tand mizaji aur bad-akhlaqi par sabr kare. Jo apni biwi ki museebato, beemariyo aur ranj o gam me dil-joi, timardari aur wafadari ka saboot de. Jo apni biwi ko parde me rakh kar izzat wa aabru ki hifazat kare. Jo apni biwi ko zillat wz ruswai se bachaye rakhe. Jo apni biwi ko deendari ki taakeed karta rahe aur shari’at ki raah per chalaye. Jo apni biwi ke akhrajaat me bakhili aur kanjoosi na kare. Jo apni biwi par is tarah qaboo rakhe ke wo kisi burai ki taraf rukh bhi na kar sake.
Behtareen Biwi kaun hai? :***********
 Jo deendaar aur pabande shariat ho aur huqooq-ullah aur huqooq-ul-ibaad ko ada karti ho. Jo apne shohar ki farman bardari aur khidmat guzari ko apna farz mansabi samjhe. Jo apne shohar ke tamam huqooq ada karne me kotahi na kare. Jo apne shohar ki khubiyon par nazar rakhe aur us ke aibo aur khaamiyon ko nazar andaz karti rahe. Jo khud takleef utha kar hamesha apne shohar ko aaram pahunchane ki koshish karti rahe. Jo apne shohar se us ki aamdani se zyada ka mutaliba na kare aur jo mil jaaye us par sabr o shukr ke saath zindagi basar kare. Jo apne shohar ke siwa kisi ajnabi mard par nigaah na daale aur kisi ki nigaah apne upar na padne de. Jo parde me rahe aur apne shohar ki izzat ki hifazat kare. Jo shohar ke maal aur makaan wa saaman aur khud apni zaat ko shohar ki amaanat samajh kar har cheez ki hifazat wa nigehbaani karti rahe. Jo apne shohar ki museebat me apni jaani wa maali qurbani ke saath wafadaari ka saboot de. Jo saas, nanand aur sasurali rishtedaar aur padosiyo aur milne jhulne wali aurto ke saath khush-akhlaqi aur sharaafat ka bartav kare. Jo maaika o sasural dono gharo me har dil azeez aur ba-izzat ho.

***********
ALLAH Ta’ala ham Sab ko dunya aur akhirat me bhalai aur kaamyabi ata farmae aur in baato ko yaad rakhkar amal karne ki aur dusro tak pahunchane ki taufiq ata farmae. Aameen.


*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●