Hadeese Nabawi :
***********
(1) Ummul mo’minin Hazrate Aayesha siddeeqa Wa Hazrat Abu Huraira radiAllahu anhuma se riwayat hai ki Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya –
‘Agar main kisi ke liye Sajde ka hukm deta to Aurto ko hukm deta ki apne shohar ko sajda kare.’(Tirmizi, Jild -1, Baab -788, Safa 594, Hadees -1158,Mishkat, al-Masabih, Hadees -7)
(2) Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) se daryaft kiya ki
‘Behtareen Aurat ki pehchan kya hai?’
Aap ne farmaya
‘Jo Aurat apne Shohar ki ita’at wa farman bardari kare.’
(Nisaai, Jild -2, Safa -364)
(3) Jo Aurat panjgaana namaaz padhe, Ramazaan ke roze rakhe, apni izzat –aabroo ki hifazat kare aur apne shohar ki farman bardar ho wo to jannat ke darwazo me se jis darwaze se chahe daakhil ho jaaye.
(4) Koi aurat bagair apne shohar ki ijazat ke nafli roza nahi rakh sakti.(Sahih Bukhari, Hadees -5192, Sahih Muslim, Hadees -1026)
(5) Agar kisi aurat ka shohar raat ko uske saath sona chaahe, aur biwi bina kisi jayaz wajah ke mana kar de, aur shohar naraz hokar so gaya to puri raat rahmat ke farishto se biwi mehroom rehti hain.(Bukhari shareef, Jild -3, Baab -115, Safa -96, Hadees -178)
***********
Shohar aur Biwi ke liye in baato ko apnana khas zaroori hai :
(1) Aapas me mohabbat rakhen aur itemaad (trust) rakhe aur narmi aur husne sulook ke saath paish aaye.(2) Ek dusre ki khubiyo par nazar rakhe aur aibo aur khaamiyo aur mamooli galtiyo ko nazar andaz kare.(3) Ek dusre ko nek sahi mashwara de aur deendaari wa shariat ki taakeed kare aur neki ki taraf rehnumai kare.(4) Haya aur adab aur husne akhlaq ikhtiyar kare aur aisa koi kaam na kare ke jis se dusre ki izzat kam ho aur ek dusre ki izzat ki hifazat kare.
Ek dusre ke aib poshida rakhe aur dusro ke saamne zaahir na kare.
(5) Ek dusre ki jaiz zaroorato ka khayal rakhe.
Mard halaal rizq kama kar laaye aur ghar ke akhrajaat ko pura kare
Aur Aurat uski halaal aamdani me se khaane ka aur dusri zaroorato ka khayal rakhe. Aur uske halal rizq par shukr aur sabr kare aur ghar ka, maal ka aur ahlo ayaal aur ghar walo ka khayal rakhe.
(6) Ek dusre ki jaiz khwahisho ko pura kare.(7) Ek dusre se wafadaari rakhe aur apne shareeke hayaat ke ilawa kisi gair aurat ya gair mard ke baare me na soche.(8) Ek dusre ke Rishtedaaro aur Dosto ya Saheliyo ki izzat kare aur un se husne sulook kare.(9) Ranjo gam, museebat aur beemari me ek dusre ke saath rahe aur ek dusre ko madad kare aur tasalli de aur hosla afzai kare.(10) Koi galti ho jaaye to narmi ke saath use sahi baat samjhaye aur galat fehmiyo aur shak ki wajah se paida hone wale ikhtelaf aur fitne fasaad se hamesha bachna chahiye.(11) ALLAH ta’ala se ek dusre ke liye dunya aur aakhirat me bhalai ki aur khairo barkat ki aur salaamati ki dua kare.
***********
Behtareen Shohar kaun hai? :
 Jo apni biwi ke saath narmi, khush akhlaaqi aur husne sulook ke saath paish aaye. Jo apni biwi ke huqooq ada karne me kisi qism ki gaflat aur kotahi na kare. Jo apni biwi ki khubiyo par nazar rakhe aur mamooli galatiyon ko nazar andaz kare. Jo apni biwi ka is tarah hokar rahe ke kisi ajnabi aurat par nigaah na daale. Jo apni biwi ko apne aish wa ishrat me barabar samjhe. Jo apni biwi par kabhi zulm aur kisi qism ki be ja zyadati na kare. Jo apni biwi ki tand mizaji aur bad-akhlaqi par sabr kare. Jo apni biwi ki museebato, beemariyo aur ranj o gam me dil-joi, timardari aur wafadari ka saboot de. Jo apni biwi ko parde me rakh kar izzat wa aabru ki hifazat kare. Jo apni biwi ko zillat wz ruswai se bachaye rakhe. Jo apni biwi ko deendari ki taakeed karta rahe aur shari’at ki raah per chalaye. Jo apni biwi ke akhrajaat me bakhili aur kanjoosi na kare. Jo apni biwi par is tarah qaboo rakhe ke wo kisi burai ki taraf rukh bhi na kar sake.
Behtareen Biwi kaun hai? :***********
 Jo deendaar aur pabande shariat ho aur huqooq-ullah aur huqooq-ul-ibaad ko ada karti ho. Jo apne shohar ki farman bardari aur khidmat guzari ko apna farz mansabi samjhe. Jo apne shohar ke tamam huqooq ada karne me kotahi na kare. Jo apne shohar ki khubiyon par nazar rakhe aur us ke aibo aur khaamiyon ko nazar andaz karti rahe. Jo khud takleef utha kar hamesha apne shohar ko aaram pahunchane ki koshish karti rahe. Jo apne shohar se us ki aamdani se zyada ka mutaliba na kare aur jo mil jaaye us par sabr o shukr ke saath zindagi basar kare. Jo apne shohar ke siwa kisi ajnabi mard par nigaah na daale aur kisi ki nigaah apne upar na padne de. Jo parde me rahe aur apne shohar ki izzat ki hifazat kare. Jo shohar ke maal aur makaan wa saaman aur khud apni zaat ko shohar ki amaanat samajh kar har cheez ki hifazat wa nigehbaani karti rahe. Jo apne shohar ki museebat me apni jaani wa maali qurbani ke saath wafadaari ka saboot de. Jo saas, nanand aur sasurali rishtedaar aur padosiyo aur milne jhulne wali aurto ke saath khush-akhlaqi aur sharaafat ka bartav kare. Jo maaika o sasural dono gharo me har dil azeez aur ba-izzat ho.

***********
ALLAH Ta’ala ham Sab ko dunya aur akhirat me bhalai aur kaamyabi ata farmae aur in baato ko yaad rakhkar amal karne ki aur dusro tak pahunchane ki taufiq ata farmae. Aameen.


*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●

0 comments:

Post a Comment