Pyare Islami Bhaiyo,ALLAH TA’ALA Ne Jis Tarah Aurato Par Shohar Ke Huqooq Farz Kiye Hai Usi Tarah Shohar Par Bhi Aurato Ke Huqooq Farz Hai.

In Huqooq Ko Ada Na Karnewala Sakht Gunaahgar Hai

ALLAH TA’ALA irshad Farmata Hai -
“Aur Unse (Aurato Se) Acha Bartaw Karo”.  (Tarzuma: Kanzul Imaan Para 4, Sure Nisa, Aayat 19)

Rasool’Allah (Sallallaho Alaihi Wasallam) Ne Irshad Farmaya 
“Tum Me Ache Log Wah Hai Jo Aurato Ke Sath Achi Tarah Pesh Aaye”.  
(Mishkat Sharif Part 2, Safa 282)

Sarkar-E-Madina (Sallallaho Alaihi Wasallam) Ne Irsad Farmaya 
“Aurat Ko Kisi Bade Kasoor Ke Kabhi Hargiz Hargiz Na Mare Jis Tarah Apne Gulaam Ko Mara Karta Hai, Fir Dusre Waqt Usse Sohbat Bhi Kare”. (Mishkat Sharif Jild 2, Safa 280)

Afsos! Aaj Ke Kuch Jahil Naujawan Apni Biwi Ko Marte Hai.Ya ALLAH Subko Apni Biwi Ki Izzat Karne Ki Taufiq Ata Farma Aameen

Habib-E-Khuda (Sallallaho Alaihi Wasallam) Ne Irshad Farmaya 
“Koi Momin Mard Kisi Momin Aurat Se Bugz Wa Nafrat Na Rakhe Kyunki Agar Aurat Ki Koi Aadat Buri Malum Hoti To Uski Koi Dusri Aadat Pasandida Bhi Hogi”. (Mishkat Sharif Jild 2, Safa 280)

Mehboob-E-Khuda Khatmunn Nabiyyin Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya 
“Tum Me Woh Behtar Hai Jo Apni Biwi Ke Sath Behtar Hai Aur Me Apni Biwiyo Ke Sath Tum Subse Jyada Behtar Hu”.
(Ibne Maja Jild 1, Safa 551, Hadees No 2047, Tirmizi Sharif Jild 1, Safa 595)

Apni Biwi Ke Sath Acha Sulooq Karo. Uske Sath Muhabbat Se Pesh Aao. Biwi Ke Sath Narmi Aur Khushmijaji Se Bartaw Karo.Apne Biwi Se Ladai Jhagda Na Karo Pyare Aaqa Alahissalam Ki Sunnato Par Amal Karo

Madani Aaqa (Sallallaho Alaihi Wasallam) Ka Farmane Aalishan Hai
“Sabse Bura Aadmi Wah Hai Jo Apni Biwi Ko Sataye”.
(Tabrani Sharif)

Pyare Islami Bahiyo Apni Biwi Par Julm Karna, Use Satana, Gaali Galoch Karna Bad Tarin Gunah Hai

Hazrat Abu Huraira Radiallaho Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Ki Rasool-E-Akram (Sallallaho Alaihi Wasallam) Ne Irshad Farmaya “Jab Kisi Ke Nikah Me Do Biwiya Ho Aur Wo Ek Hi Ki Taraf Mayel Ho To Woh Qayamat Ke Din Jab Aayega To Uska Aadha Dhad Gira Hua Hoga”.  (Tirmizi Sharif Jild 1, Safa 584, Hadees No 1137, Ibne Maaja Jild 1, Safa 549)

Habib-E-Khuda (Sallallaho Alaihi Wasallam) Ne Irshad Farmaya
“Aurato Ke Sath Neki Ka Bartaw Karo Ki Unki Paidaish Tedhi Pasli Se Hui Hai Wah Tere Liye Kabhi Sidhi Nahi Ho Sakti

Agar Tu Use Baratna Chahe To Har Haalat Me Barat Sakta Hai Aur Sidha Karna Chahega To Tod Dega Aur Todna Talaaq Dena Hai
(Muslim Sharif)

Hajjatul Wida Ke Mash’hur Khutbe Me
Huzoor-E-Akram (Sallallaho Alaihi Wasallam) Ka Irshade Girami Hai Ki
Aye Logo! “Aurato Ke Baare Me Neki Aur Bhalaai Karne Ki Wasiat Farmata Hu Tum Meri Wasiat Qubool Karo

Beshaq Aurato Ka Tumhare Upar Haq Hai Tum Unke Pehnaane Aur Khilaane Me Neki Ikhtiyar Karo
(Ibne Maja)

Madani Aaqa (Sallallaho Alaihi Wasallam) Ne Irshad Farmaya
“Nikah Ki Shart Yani Mehar Ada Karne Ka Sabse Jyada Khayal Rakho”.
(Bukhari Sharif Jild 3, Safa 80)

Haq Mahar Ada Karna Shohar Par Wazib Hai Aur Ise Ada Karne Me Kotahi Karnewala Sakht Gunahgar Hai

Ya ALLAH Subhi Islami Bhaiyon Ko Apni Biwi Ka Haq Ada Karne Ki Taufiq Ata Farma Aur Biwi Ke Sath Muhabbat Se Zindagi Basar Karne Ki Taufiq Ata Farma Aameen.

*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●

0 comments:

Post a Comment