Quraan Ki Fazilat
--------------
♥ Quraan-e-Kareem - Insaniyat Ke Liye Ye Sabse Badi Aur Sabse Azeem Neymat Hai ,.. Iski EK Sabse Badi Fazilat Yeh Bhi Hai Ke –

“Jis Raat Ye Kitab Nazil Hui Uss Raat Ki Ibadat Ko Allah Rabbul Izzat Ne Hazaar(1000) Mahino Raato Ki Ibadat Se Afzal Karar Diya,.. ”

» Jiski Gawahi Rabbul Izzat Ne Apni Kitab Me Di Aur Farmaya –
• Tarjuma:
* “Ke Humne Iss Quraan Ko Qadr Aur Manjilat Waali Raat Me Utaara” – (Ad-Dukhan (44) Aayat 4)

* “Aye Musalmano Kya Cheez Hai Ke Tumhe Bataye Lailatul Qadr Kya Hai ? Ke Lailatul Qadr Hazaar Mahino Se Jyada Afzal Hai.. (Hazar Mahine Yaani 83 Saal Aur 4 Mahine) ..”– (Surah-tul-Qadr (97) Ayat 1 se 3).

*Tou Andaza Lagayiye Ke Jiss Kitaab Ke Nazil Hone Ka Ye Sabab Ho Ke Jis Raat Ye Utari Jaye Agar Uss Raat Ki Ibadat Ka Ye Sawab Hai Tou Iss Kitab Ki Fazilate Kya Ho Sakti Hai Bus Andaza Hi Lagaya Ja Sakta Hai.. Sirf Gumaan Hi Kiya Ja Sakta Hai

* Aur Yeh Shabe Qadr Ki Raat Hum Sab Jaantey Hai Ke Ramzan Ke Aakhri Ashre Ki Taaq Raato Me Se Koi Ek Raat Hoti Hai. Yaani 21, 23, 25, 27 Ya 29

* Iss Kitab Ke Talluk Se Aahadees Me Itni Beshumar Fazilate Aayi Hai Ke Tamam Fazilato Ko Bayan Karna Humare Liye Mushkil Hai… Aayiye Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Chand Aahadees Ke Hawalo Se Iss Kitab Ki Fazilat Ko Jan’ne Ki Koshish Karte Hai

1). Hadees: “Tum Me Behtareen Log Wo Hai , Jo Quraan Sikhey Aur Dusro Ko Sikhaye” – (Sahih Bukhari H#545)
2). Hadees: “Quraan Sikhne Ke Liye Jo Shakhs Ghar Se Nikalta Hai , Allah Rabbul Izzat Uske Liye Jannat Ka Rasta Aasan Kar Deta Hai ,.” (Sahih Muslim)

3). Hadees: “Quraan Padhney-Padhaney Waale Allah Waale Hai,. Aur Ye Allah Ke Chahitey Bandey Hotey Hai,.” (Sunan Ibne Maja)

4). Hadees: “Quraan Ko Baqasarat Tialawat Karne Wala Kabile-Rashk Hai”. (Sahih Bukhari)

5). Hadees: “Quraan Ki Baqasarat Tilawat Karne Wala Qayamat Ke Roz Mukarrab (Khaas) Farishto Ke Saat Saff Me Khada Hoga,..” (Sahih Muslim)

6). Hadees: “Quraan Ke Padhney-Padhaaney Walo Par Allah Taala Sakinat Nazil Farmata Hai..(Sukun Aur Itminan Nazil Karta Hai),.. Farishtey Inki Majliso Ko Ahtraam Se Gher Letey Hai,.. Aur Allah Ta’ala In Logon Ka Zikr Faqr Ke Taur Par Farishto Ke Samney Karta Hai…” (Sahih Muslim)

7). Hadees: “Quraan Ka Ek Sira Allah Ke Haath Me Hai Aur Dusra Sira Ahle Imaan Ke Hath Me Hai,..Bus Jo Isey Thamey Rakhega Duniya Me Gumraah Nahi Ho Sakega Aur Aakhirat Me Halaq Nahi Hoga,..” (Tibrani)

8). Hadees: “Quran Ki Tilawat Karne Wale Ko Har Harf Ke Tilawat Par 10-10 Nekiya Milti Hai,..” (Jame Tirmiji)
*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●

0 comments:

Post a Comment