▄    █ ♥ Mumtaz ♥ █    ▄  

╠ •HADEES E PAAK• ╣

Farz Namaz Ke Baad Aayatal-Kursi Padhne Ki Fazilat!....
--------------
✦  Hadith 1: Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya – Jo Koi Isko (Ayat Al Kursi Ko) Subha Padh Lega To Sham Tak Shaitan Se Mehfooz Rahega Aur Jo Sham Ko Padh Lega Wo Subah Tak Shaitan Se Mehfooz Rahega. 
– (Al-Hakim , Al Targeeb Wa Al Tarheeb, 1/273- Sahih) 

 Hadith 2: Ek Aur Hadith Ka Mafhum Hai Ki Jab Bistar Par Leto To Aayat Al Kursi ( Allahu La Ilaha Illa Huwa Alhayyu Al Qauul Aakhir Tak ) Poori Padh Lena. (Iske Padhne Se) "Allah Subhanahu" Ki Taraf Se Tum Par Ek Nigaran Farishta Muqarrar Rahega. Aur Subah Tak Shaitan Tumare Qareeb Bhi Nahi Aa Sakega.
– (Sahih Bukhari: 2311) 

Is Hadees 
Se Raat Mein Sone Se Pahle Ayat Al Kursi Ki Fazeelat Maloom Hue Lekin Yaad Rahe Is Riwayat Me Ye Qaid Nai Hai Ki Teen Baar Padhen.
 Hadith 3: Hazrat Abu Umamah (Radi Allahu Anhu) se rivayat hai ki Rasool Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya - Jis Shakhs Ne Har Farz Namaz Ke Baad Aayat Al Kursi Padhi To Jannat Aur Uske Darmiyan Maut Ke Siwa Koi Aur Cheez Rukawat Nahi
(Yani Maut Ke Baad Usko Jannat Naseeb Hogi)
– (Al-Silsila-As-Sahiha Hadees – 749-Sahih)
– (Sunan Al Kubra , 9848-sahih)
– (Tabrani Al Kabeer, 6532-Hasan)
– (Sahih Al Jame , 6464-Sahih)

 Hadith 4: Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya – Surah Baqarah Mein Ek Aisee Aayat Hai Jo Ki Quran Ki Sari Aayato Ki Sardar Hai Wo Jis Ghar Mein Bhi Padhi Jati Hai Usmein Se Shaitan Nikal Jata Hai , Wo Aayat Al Kursi Hai.
– (Al Mustadrak Sahihain , 2652-Sahih)

*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●


0 comments:

Post a Comment