▄    █ ♥ Mumtaz ♥ █    ▄  

╠ •HADEES E PAAK• ╣

Sayyidul Istighfar aur Uski Fazilat
--------------
Bismillahirrahmanirrahim
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya - Sayyad-Al-Astigfar (Allah se maghfirat maangne ka sabse achcha tariqa ) ye hai,
jisne is dua ke alfaaz par yaqeen rakhte huye din mein inko padh liya aur usi din shaam hone se pahle uski maut ho gayee to wo jannati
hai, aur jisne is Dua ke alfaaz par yakeen rakhte huye Raat mein inko parh liya aur phir uska subah hone se pahle uski maut ho gayee
to wo jannati hai.
----------------------------
Allahumma anta Rabbi la ilaha illa anta,
Khalaqtani wa ana abduka,
wa ana 'ala ahdika wa wa'dika mastata'tu,
Awuzu bika min sharri ma sana'tu,
abu'u Laka bini'matika 'alaiya,
wa Abu'u bizambi
fagfirli fa innahu la Yagfiru-az-zunuba illa anta.

----------------------------
Tarjuma : Eh Allah Tu Mera RAB Hai, tere siwa koi mabud nahi, tune hi mujhe paida kiya hai aur main tera hi Banda hu, main apni
taqat ke mutabiq tujhse kiye huye Ahad aur wade par qayam hun, main tujhse us cheez ki shar ( burayee) se panah maangta hu jiska maine
irtaqab kiya ,main tere samne teri naimaton ka iqrar karta hu jo tune mujhe ata ki, Aur main apne gunahon ka bhi iqrar karta hun, tu
mujhe maaf kar de , beshak tere siwa gunahon ko koi maaf karne wala nahi)

– (Sahih Bukhari, Vol 7, 6306)

*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●

1 comments:

Abdur Rahman Shaikh said...

As'Salam Alaikum Warahmatullahi Wabarakathuhu
Frist of all compliments only for ALLAH AZ'ZAWAJAL IZZAT.
This Dua most / top powerful for Momineen.

Post a Comment