▄    █ ♥ Mumtaz ♥ █    ▄  

╠ •HADEES E PAAK• ╣

Allah" Ki Bandiyon, Aurato Ko Masjid Jane Se Mat Roko,Naa Roko ! ….
--------------
" Bismilahirrahmanirrahim"

1. Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Khawateen Ko Masjid Aane Ki Ijazat Di Hai Aur Mardo Ko Hukum Diya Hai K Wo Apni Biwiyon Ko Masjid Janay Se Na Roke.

Farmane
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Hai: 1. “Izas Taazantim Raata Ahdikum Falaa Yamna’haa.”

Tarjuma:- Agar Tum May Se Kisi Ki Biwi Is Se Masjid Jane Ki Ijazat Talab Kare To Wo Use Mat Roke, Ijazat De Do.
(SAHIH BUKHARI (Volume 1, Book 12, Hadith 824)

2. Hazrat Ibne Umar (Radi Alahu Anhu) Se Riwayat Hi K Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya –  “Izas Tazanakum Nisaawukum Bil Laili Ilal Masjidi Fazanoo Lahunna.”

Tarjuma:- Ager Tumhari Auraten Tum Say Raat Ke Waqt Masjid Me Jane Ki Ijazat Talab Karen To Tum Log Unhe Uski Ijazat De Diya Karo.
(SAHIH BUKHARI (Volume 2, Book 13, Hadith 22)

3. Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ka Farman Hai “Laa Tamnawoo Ima’a Allahi MasajidAllahi.”
Tarjuma:- "ALLAH" Ki Bandiyon Ko ALLAH K Gharon(Masajid) Say Mat Roko.
(SAHIH MUSLIM (Book 4, Hadith 886)


EIDGAH Jane Ka Masla

Hazrat Umme Atiya Radi-Allahu-Anha Se Riwayat Hain Ke
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Hame Hukm Diya Ke Eid-ul-fitr Aur Eid-ul-Adha Ke Din Kunwari, Haiza, Aur Pardah Nasheen Auraton Ko (Eid-gaah Ki Taraf) Nikalen. Haiza Namaz Se Alehada Rah Kar Bhalayi Aur Musalmanon Ki Dua Mein Hazir Ho. Maine Arz Kiya Ya RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam Hum Mein Se Jis Ke Paas Chadar Na Ho To ? Aapne Farmaya Ke Uski Behan Ko Chahiye Ke Apni Chadar Usko Pehna De.
(SAHIH MUSLIM/Kitab Ul Eid Ain, H.No. 431. SAHIH BUKHARI/324, 351, 971,974)
(ABU DAWUD/1136, 113 9. AL NASAI/180)

AURAT KA EID-GAAH JANA FITNA YA SUNNAT?

Aaj Zyadatar Logon Ne Ladkiyon Ka Eidgah, Or Masjid Jane Par Fitna Bata Kar Bilkul Ban Laga Diya Hai.

KYA FITNA US WAQT NAHIN JAB

LADKIYAN BE-PARDA SCHOOL, COLLEGE JAKAR LADKON KE SAATH TALIM LE? KYA FITNA US WAQT N AHIN JAB LADKIYAN SHOPPING MALL, BAZAAR’ON AUR SAFAR ME JAYE?
 Is Khas "Sunnat "Se Door Kar Khawateenon Ko Deen Se Pichhe Nahin Kiya Ja Raha?

AURTO KO MASJID JANE KE LIYE- KUCHH KHAAS SHARTE

1) Use Pure Hijab Me Hona Chaiye [for Details Refer To Al-Qur’an (SURAH AN NUR 24 VERSE 31)

2) Use Khushboo Laga Kar Nai Jana Chaiye.[for Details Refer To SAHIH MUSLIM (Book 4, Hadith 892, 893, 894)

3) Use Apne Shauhar Se Ijazat Lena Chaiye. Uske Bahar Nikalne Se Kisi Tarah Ki Mamnoo Chize Shamil Nai Honi Chaiye Jaise Na-mehram Driver Ke Sath Akele Car Me Hona Wagaira.

4) Aurto Ko Aadmiyo Se Pahle Masjid Se Nikalna Chaiye. [for Details Refer To SAHIH BUKHARI (Volume 1, Book #12, Hadith #799, 809, 825, 829)

5) Ek Doosra Darwaze Ka Intzam Hona Chaiye Masjid Me Sirf Aurto Ke Aane Aur Jaane Ke Liye.[for Details Refer To ABU DAWOOD ( Book 2, Hadith 484)

JazakAllahu Khairan

*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●

0 comments:

Post a Comment