▄    █ ♥ Mumtaz ♥ █    ▄  
                          Hain Dono Namazi, Lein, Nateeja Dono Ka Alag-Alag
Jo, Riyakaari Karte Hain- Baratne Ki Cheezen Mangne par Nahi Dete

╠ •Al-QURAAN• ╣

Dono Tarah Ke Namaziyon Ka Nateeja (Anjaam), ! ….
--------------
Al Quran: Besha Muraad Ko Phunche Imaan Wale (1),
    Jo Apni Namaz Me Gir-girate Hain (2)

  (Al Quran, Surah Al-Mu'minun (23), Aayah (1&2).

Al Quran: To In Namaziyon Ki Kharaabi Hai (4),
    Jo Apni Namaz Se Bhoole Beethe hain (
Yani Jo Apni Namaaz Ki Taraf Se Gafil Rehte Hain) (5)

    Jo Dikhawa Karte Hain (Riyakaari Karte Hain) (6)
    Jo Baratne Ki Cheezen Maangne Par Nahi Dete. (7)
  (Al Quran, Surah AL-MA'UN (107), Aayah (4 to7).

TarjumahKya Tumne Us Shakash Ko Dekha Jo Roze-jaza Ko Jhutlata Hai. Ye Vahi Badbaakhat Hai Jo Yateem Ko Dhakke Detea Hai. Or Nadaar Ko Khana Khilane Ke Liye Logo Ko Targeeb Nahi Deta. To Aise Namaziyon Ki Kharaabi Ha Jo Apni Namaaz Ki Taraf Se Gafil Rehte Hain. Jo Riyakaari Karte Hain Or Jo Baratne Ki Cheezen Maangne Par Nahi Dete.
(AL-MA'UN (1 to 7).

Quraane Paak Ki Dono Ayaat Ka Mafhoom Dekhen:
 Sabaq: Hain Dono Namazi, Nateeja Dono Ka Alag Hai, Yani Jannat Or Jahannum Hai.
 Nateeja , Yani Fark Jo Hai Zameen Or Aasmaan Se Bhi Zayada Hai.
Ek Traf Kaamyabi aur Falah
Or Doosri Taraf "wai-l" Kaha Ja Raha Hai, Yani Halakat Hai, Khasara Hai Or Jahannum Hai.

*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●

0 comments:

Post a Comment