▄    █ ♥ Mumtaz ♥ █    ▄   

╠ •Al-QURAAN• ╣

Jahannum Me Sabse Pahle Jhoke (Dale) Jane Wale 3 Log (Shakash! ….
--------------
♥ Mafhoome-Hadees:Imam Tirmizi Ne Ek Tabi Hazrat Shafi Ashabi (Rh) Ka Waqeya Bayan Farmaya Hai - Ki Wah Madeena Pahunche To Dekha Ki Bahut Se Log Ek Buzurg Ke Aas Paas Jama Hain, Unhone Poocha Yah Buzurg Kaun Hain? To Logon Ne Bataya Ye Sahabi-E-Rasool Abu Hurairah Ra Hain, Iske Baad We Apna Waqeya Bayan Karte Hue Farmate Hain:-
*************
" Wah Logon Ko Hadees E Nabi Suna Kar Dars De Rahe They, Main Ahista Ahista Qareeb Hote Hote Aap (hz Abu Huraira) Ke Saamne Ja Baitha, Jab Wah Dars Se Faarig Hue Aur Log Uthkar Jaane Lage:-
*************
To Maine Arz Kiya: Main Aap (ra) Ka Waasta Dekar Arz Karta Hun Ki Aap Mujhe Aisi Koi Hadith Sunaaye Jo Aapne Janab Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Se Barahe Raast Suni Aur Samjhi Ho Aur Aap Ko Acchi Tarah Yaad Ho,  

 Abu Hurairah (ra) Ne Farmaya: "*Haan Main Sunaunga, Main Aisi Hi Hadith Sunaounga»*Jo Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Mujhe Sunaayi, Aur Maine Use Samjha Aur Yaad Kiya",{Vdo-Lsn..}

»*Phir Achanak Unki Tabiyat Kharaab Ho Gayi (Gashi Tari Ho Gayi) –**Thodi Der Baad Hosh Theek Huwa To Farmaya:" Main Aapko Zaroor Wah Hadith Sunaoga»*Jo Rasool’Allah (ﷺ) Ne Mujhe Is Ghar Me Sunaayi Thi, Us Waqt Aap() Ke Paas Mere Elawa Koi Nahi Tha"  
*************
»* Phir Achanak Unki Tabiyat Kharaab Ho Gayi (Gashi Tari Ho Gayi) –*Jab Aaraam Huwa To Chehre Se Paseena Pochne Lage, Phir Farmaya: ":-*Haan, Main Aapko Zaroor Wah Hadith Sunaounga»*,,Jo Aap ﷺ Ne Mujhe Sunaayi Thi, Jabki Main Is Ghar Me Nabi Ke Hamraah Tha, Mere Siwa Aap Ke Saath Aur Koi Nahi Tha",  
*************
»* Iske Baad Abu Hurairah Ra Ki Haalat Phir Kharaab Ho Gayi (Gashi Tari Ho Gayi) Aur Aap(ra) *Chehre Ke Bal Jhuk Gaye, Maine Bahut Der Tak Aap (ra) Ko Sahara Diye»* Rakha, Tab Aap (ra) Ki Haalat Sambhli To Farmaya:

 Mujhe Janab Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Yah Hadith Sunayi Ki:- " Jab Qiyamat Ka Din Hoga Allah Taala Bandon Ke Darmiyaan Faisla Karne Ke Liye Zameen Par Tashreef Farma Hoga, Har Jamaat Ghutne Ke Bat Jhuki Hui Hogi,  
+++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++
*Sabse Pahle Allah Taala Jin Logon Ko Bulaayenge»*

∗(1).  Unme Se Ek Shakhs Wah Hoga Jisne Qur'an Paak Yaad Kiya Hoga,
**************
∗(2).  Aur Ek Wah Shakhs Hoga Jo Allah Ki Raah Me Jung Karta Raha Hoga,
*************
∗(3). Aur Ek Bahul Maaldaar Shakhs Hoga,

1. »* Allah Taala (Qur'an Ke Aalim) Se Farmayenge
Kya Maine Wah Kitab Nahi Sikhaayi Thi Jo Maine Rasool Par Naazil Ki Thi? Wah Kahega, Ji Haan Ya Rabb!,
Allah Taala Farmayega: Phir Tune Apne Ilm Par Kaise Amal Kiya? Wah Kahega, Main Raat Din Usme Mashgool Rahta Tha, Allah Taala Farmayega:*Toone Jhoot Kaha, »* Aur Farishte Usse Kahenge Toone Jhoot Kaha, Allah Taala Farmayenge: Teri Niyat To Yahi Thi Ki Kaha Jaaye Falan Shakhs (bada) Qaari Aur Aalim Hai, Wah (duniya Me) Kaha Ja Chuka,

2. »* Isi Tarah (Maaldaar Shaks) Ko Haazir Kiya Jaayega
Allah Taala Usse Farmayenge: Kya Maine Tujhe Maaldaari Nahi Bakshi Thi Yahan Tak Ki Maine Tujhe Kisi Ka Mohtaaj Na Rahne Diya ? Wah Kahega: Ji Haan, Ya Rab. Allah Taala Farmayenge: Phir Tune Mere Diye Hue Maal Ka Kya Kiya? Wah Kahega, Main Rishtedaaron Par Ahsaan Karta Tha Aur (sab Zaroorat Mando Par) Sadqa Karta Tha, Allah Taala Farmayega::*Toone Jhoot Kaha, »*Farishte Bhi Kahenge: Tu Jhoota Hai, Allah Taala Farmayenge: Tu Yah Chahta Tha Ki Log Yah Kahen: Falan Shakhs Bahut Daani Hai Wah(duniya Me) Kaha Ja Chuka,  

3. »* Isi Tarah (Allah Ki Raah Me Qatl Hone Waale) Ko Haazir Kiya Jaayega
Allah Taala Usse Farmayenge: Tujhe Kis Liye Qatl Kiya Gaya? Wah Kahega: Mujhe Teri Raah Me Jihaad Ka Huqm Mila, To Main Jung Karta Raha Yahan Tak Ki Main Qatal Kar Diya Gaya, Allah Taala Use Farmayenga:*Tu Jhoota Hai,»*  Farishte Bhi Use Kahenge: Tu Jhoota Hai, Allah Taala Farmayenge: Balki Teri Khwahish Sirf Yah Thi Ki Kaha Jaaye: Falan Bahut Bahadur Hai, Wah Kaha Ja Chuka",

Iske Baad Janab Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne *Mere Ghutne Par Haath Maar Kar Farmaya»*:- "Abu Hurairah! Ye Teen Log Hain, Jo Qiyamat Ke Din Tamam Makhlooq Me Sabse Pahle Jahannam Me Jhoke Jaayenge"
(Sunan Tirmizi, Kitaab Sift Qiyamat Baab 49, Wa Sunan Ibne Maaja, Kitaab Zuhud, Baab Zikr Tauba H 4251, Allama Albani Ne Hadith Ko Hasan Kaha Hai)
 To be Continue-Full Byaan...{Read-More..}

*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●
 ▄    █ ♥ Mumtaz ♥ █    ▄  

╠ •HADEES E PAAK• ╣

"100" Martaba Subhan Allah Kahne Ki Fazilat
--------------
Bismilahirrahmanirrahim
 Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya - Jo Shakhsh 100 Baar Subhanallah Kahey To Uske Liye 1000 Nekiyan Likhi Jayegi Aur 1000 Gunah Mita Diye Jayange.
– (Sahih Muslim , Jild 6, 6852)

 Request: Jo Bhi Ye Hadith Padhe Wo Abhi 100 Baar Subhanallah Jarur Parh Le, In Sha Allah Qayamat Ke Din Ye Sawab Bahut Kaam Aayega, Shaitan Aapko Rokne Ki Koshish Karega Lekin Aap Abhi Hi Padh Lijiyega – Jazak Allahu Khair.

*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●
  ▄    █ ♥ Mumtaz ♥ █    ▄  

╠ •HADEES E PAAK• ╣

"Raat Me "1 baar" Surah ikhlas ,Falaq aur An-Naas Ki Fazilat..!..
--------------
"Bismilahirrahmanirrahim
 Mahfum-e-Hadees:– Hazrat Ammi Aayesha Radi Allahu Anha Se Rivayat Hai Ki Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Har Raat Jab Bistar Par Aaram Farmate To Apni Dono Hatheliyon Ko Mila Kar -

Qul Huwaallahu Ahad (surat Al-ikhlas),
Qul Aauzu Birabbil Falaq (surat Al-falaq)
Aur Qul Aauzu Birabbin Naas (surat An-nas)


(teeno Surtein Mukammal) Padh Kar Un Par Phoonkte Aur Phir Dono Hatheliyon Ko Jahan Tak Mumkin Hota Apne Jism Par Phairte The, Pehle Sir Aur Chehra Par Hath Phairte Aur Samne Ke Badan Par, Ye Amal Aap Teen(3) Dafa Karte The.
– (Sahih Bukari: Vol 6, 5017)

2nd
*Subah aur sham Ko "3 baar" Surah ikhlas ,Surah Falaq aur surah An-Nas Padha Karo* (Yani 9 baar)
 Mahfum-e-Hadees:– Hazrat Abdullah Bin Khubayb Radi Allahu Anhu Se Rivayat Hai Ki Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya – Subah Aur Sham 3 Baar 

Q
ulhuwallahu Ahad (surah Ikhlas)
Aur Muauwazatain
 -
(surah Al-falaq Aur Surah An-nas) Padh Liya Karo , 
Ye Tumhe (har Tarah Ki Pareshaniyo Se Bachao Ke Liye) Kaafi Ho Jayegi.– (Sunan Abu Dawud,jild-3,1643-hasan
)

*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●
  ▄    █ ♥ Mumtaz ♥ █    ▄  

╠ •HADEES E PAAK• ╣

 Ek baar Surah Al-ikhlas (Qul) Parhne Ki Fazilat
--------------
 Ek baar Surah Al-ikhlas padho aur ek tihaii Quran padhne ka sawab kama lo kyunki.....

Rasool-Allah(Sall-Allahu-Alaihi-Wasallam) Ne Farmaya - Kya tum mein se koi is baat se thak jata hai ki har raat Ek Teehaii Quran parh le ? Sahaba Radi Allahu Anhu ma ne arz kiya ki Teehaii Quran ( Ek raat mein ) kaisey parh saktey hain ? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya - Qul Huwallahu Ahad ( Surah ikhlas) Ek teehaii Quran ke barabar hai.
– (Sahih Muslim, 1886)

Rasool’Allah(SalAllahu-Alaihi-Wasallam) Hamarey Pass Aaye aur Farmaya - Main tumhare samne Ek Tihaii Quran parhta hu , phir Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Qul Huwallahu Ahad (Surah Al-ikhlas) parhi yahan tak ki is surah ko poora kiya. – (Sahih Muslim, 1889)

 Qul Hu Wallahu Ahad, ALLAHus-Samad, Lam Yalid walam Yulad, Walam Yakul-lahu Kufuwan Ahad

 Al Quran: Kah do Wo ALLAH Ek hai, ALLAH beniyaz hai, Na uski koi Aulad hai aur na wo kisi ki Aulad hai, Aur uskey barabar ka koi nahi hai. Beshak!
(Surah Al-ikhlas (112)

*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●
  ▄    █ ♥ Mumtaz ♥ █    ▄  

╠ •HADEES E PAAK• ╣

Surah Al-Falaq Aur Surah An-Nas Ki Fazilat
--------------
*Bismillahirrahmanirrahim*
 Aisha Radi Allahu Anha se rivayat hai ki Jab Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Bister par let te to Mu'auwidhat ( yani Surah Al-Falaq Aur Surah An-Nas) padh kar apne haathon par phoonkte aur dono haath apne jism par phertey. 
(sahih Bukhari, Jild 7, 6319)

 Hadeese Mubarakah: Hazrat Aisha Radi Allahu Anha Se Rivayat Hai Ki Jab Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Jab Beemar Ho Jate To Mu'auwidhat (Yani Surah Al-Falaq Aur Surah An-Nas) Ki Suratein Padhkar Usko Apne Upar Dam Karte Phir Jab Aap (ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм) Ki Takleef Badh Gayee To Main Un Surato Ko Padhkar Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam Ke Haatho Se Barkat Ki Ummeed Mein Aapke Jism Mubarak Par Pherti Thi. {See-more}
(Sahih Bukhari, Jild 7, 5016)

 Abdullah bin khubayb Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya - Subah aur sham 3 baar Qul Huwallahu Ahad (Surah Ikhlas) aur Muauwazatain (Surah Al-Falaq Aur Surah An-Nas) padh liya karo , ye tumhe (har tarah ki pareshaniyo se bachao ke liye) kaafi ho jayengi.
– (Sunan Abu dawud, Jild 3, 1643-Hasan)

*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●