▄    █ ♥ Mumtaz ♥ █    ▄  

╠ •HADEES E PAAK• ╣

 Ek baar Surah Al-ikhlas (Qul) Parhne Ki Fazilat
--------------
 Ek baar Surah Al-ikhlas padho aur ek tihaii Quran padhne ka sawab kama lo kyunki.....

Rasool-Allah(Sall-Allahu-Alaihi-Wasallam) Ne Farmaya - Kya tum mein se koi is baat se thak jata hai ki har raat Ek Teehaii Quran parh le ? Sahaba Radi Allahu Anhu ma ne arz kiya ki Teehaii Quran ( Ek raat mein ) kaisey parh saktey hain ? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya - Qul Huwallahu Ahad ( Surah ikhlas) Ek teehaii Quran ke barabar hai.
– (Sahih Muslim, 1886)

Rasool’Allah(SalAllahu-Alaihi-Wasallam) Hamarey Pass Aaye aur Farmaya - Main tumhare samne Ek Tihaii Quran parhta hu , phir Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Qul Huwallahu Ahad (Surah Al-ikhlas) parhi yahan tak ki is surah ko poora kiya. – (Sahih Muslim, 1889)

 Qul Hu Wallahu Ahad, ALLAHus-Samad, Lam Yalid walam Yulad, Walam Yakul-lahu Kufuwan Ahad

 Al Quran: Kah do Wo ALLAH Ek hai, ALLAH beniyaz hai, Na uski koi Aulad hai aur na wo kisi ki Aulad hai, Aur uskey barabar ka koi nahi hai. Beshak!
(Surah Al-ikhlas (112)

*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●

1 comments:

MK kHAN said...

Listen 4 Qul Surah in Sweet Voice Here: https://www.youtube.com/watch?v=N-VhBIi5tpI

Post a Comment