▄    █ ♥ Mumtaz ♥ █    ▄  

╠ •HADEES E PAAK• ╣

"Raat Me "1 baar" Surah ikhlas ,Falaq aur An-Naas Ki Fazilat..!..
--------------
"Bismilahirrahmanirrahim
 Mahfum-e-Hadees:– Hazrat Ammi Aayesha Radi Allahu Anha Se Rivayat Hai Ki Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Har Raat Jab Bistar Par Aaram Farmate To Apni Dono Hatheliyon Ko Mila Kar -

Qul Huwaallahu Ahad (surat Al-ikhlas),
Qul Aauzu Birabbil Falaq (surat Al-falaq)
Aur Qul Aauzu Birabbin Naas (surat An-nas)


(teeno Surtein Mukammal) Padh Kar Un Par Phoonkte Aur Phir Dono Hatheliyon Ko Jahan Tak Mumkin Hota Apne Jism Par Phairte The, Pehle Sir Aur Chehra Par Hath Phairte Aur Samne Ke Badan Par, Ye Amal Aap Teen(3) Dafa Karte The.
– (Sahih Bukari: Vol 6, 5017)

2nd
*Subah aur sham Ko "3 baar" Surah ikhlas ,Surah Falaq aur surah An-Nas Padha Karo* (Yani 9 baar)
 Mahfum-e-Hadees:– Hazrat Abdullah Bin Khubayb Radi Allahu Anhu Se Rivayat Hai Ki Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya – Subah Aur Sham 3 Baar 

Q
ulhuwallahu Ahad (surah Ikhlas)
Aur Muauwazatain
 -
(surah Al-falaq Aur Surah An-nas) Padh Liya Karo , 
Ye Tumhe (har Tarah Ki Pareshaniyo Se Bachao Ke Liye) Kaafi Ho Jayegi.– (Sunan Abu Dawud,jild-3,1643-hasan
)

*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●

0 comments:

Post a Comment