*ROZEDAAR AUR TAHAJJUD GUZAR JAISA MAQAAM –
» Mahfum-e-HadeesAmmi Ayesha (Razi’Allahu Anha) Farmati Hai Ke,
Maine Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ko Ye Farmate Huwe Suna –
“Momin Apne Achche Akhlaaq Se Rozedar Aur Tahajjud Guzar Ka Darja Hasil Kar Leta Hai.
– (Abu Dawood #4798) – @[156344474474186:]
* * * * *
*NEKI ACHCHE AKHLAQ KA NAAM HAI –
» Mahfum-e-HadeesNawas Bin Samaan Ansari (Razi’Allahu Anhu) Se Riwayat Hai Ke,
Maine Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Se
Neki Aur Gunaah Ke Baare Me Poocha Tou Aap Ne Farmaya –
“Neki Ache Akhlaaq Ka Naam Hai Aur Gunah Jo Tere Seeney Me Khatke
Aur Tujhe Pasand Na Ho Ke Log Usey Jaaney.”
– (Sahi Muslim #2553)
* * * * *
*KAAMIL IMAN KI ALAMAT 
» Mahfum-e-HadeesAbu Huraira (Razi’Allahu Anhu) Farmate Hai Ke,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya –
“Momino Me Iman Ke Aitbar Se Sabse Kamil Shakhs Wo Hai Jiske Akhlaaq Sabse Acche Hai.”
– (Abu Dawood #4682)
* * * * *
*MEEZAN (TARAZU) MEIN WAZNI CHEEZ –
» Mahfum-e-HadeesAbu Darda (Razi’Allahu Anhu) Se Riwayat Hai Ke,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya –
“Meezan Me Achche Akhlaaq Se Zyada Bhari Cheez Koi Nahi.”
– (Abu Dawood #4799)
* * * * *
*JANNAT KI ZAMANAT –
» Mahfum-e-HadeesAbu Umama (Razi’Allahu Anhu) Farmate Hai Ke,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya –
*Main Jannat Ke Atraf Me Ek Ghar Ka Zaamin Hoon Uss Shakhs Ke Liye Jo Haq Pe Hone Ke Bawjood Jhagda Chod Dey !!
*Aur Jannat Ke Darmiyan Me Ek Ghar Ka Zaamin Hoon Uss Shakhs Ke Liye Jo Mazaaq Me Bhi Jhoot Bolna Chod Dey !!
*Aur Aala Jannat Me Ek Makan Ka Zaamin Hoon Uss Shakhs Ke Liye Jisne Apna Akhlaq Acha Kiya.
– (Abu Dawood #4800)
*JANNAT ME DAKHIL KA SABAB –
» Mahfum-e-HadeesAbu Huraira (Razi’Allahu Anhu) Se Riwayat Hai Ke,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Se Pucha Gaya Ke –
“Kis Amal Ki Wajah Se Log Zyada Jannat Me Dakhil Honge ?”
*Aap Ne Farmaya – “Allah Ka Khauf(Taqwa) Aur Husn-e-Akhlaq Se,..”
*Phir Pocha Gaya – “Zyada Tar Log Jahannam Me Kin Aamal Ki Wajah Se Jayenge ?”
*Aap Ne Farmaya – “Monh (Yani Zubaan) Aur Sharmgah Ki Wajah Se.”
– (Tirmizi #2004)
* * * * *
*RASOOL’ALLAH SE NAZDEEKI KA SABAB –
» Mahfum-e-HadeesJabir (Razi’Allahu Anhu) Se Riwayat Hai Ke,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya –
“Qayamat Ke Din Mere Nazdeek Tum Me Se Sab Se Zyada Mehboob Aur Kareeb Baitne Waley Log Wo Hongey Jo Behtreen Akhlaaq Waley Hain.”
– (Tirmizi #2018)
*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●

0 comments:

Post a Comment