▄    █ ♥ Mumtaz ♥ █    ▄  

╠ •HADEES E PAAK• ╣

Subah Ke Sare Azkars Mein Se Meezan Par Sabse Bhari Azkar
--------------
Ummul Momineen Juwairiyah (Radi Allahu Anha) se rivayat hai ki Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) subah ko unke pass se nikle , wo apni namaz ki jagah mein subah ki namaz ada kar rahi thi, Aap (ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм) wapas chasht ke waqt laute to dekha ki wo wahi baithee huyee hai, Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne pucha ki jab se main tumhe chorh kar gaya tha tabse kya tum isee haal mein rahi ?Unhone kaha Ji Haan
Aap (ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм) Ne Farmaya - maine tumhare baad chaar kalme 3 baar padhe , agar in kalmo ka wajan kiya jaye un kalmo ke saath jo tumne aaj abhi tak padhe hain to yahi bhari rahnege wo kalimat ye hain.
‎*سُبْحـانَ اللهِ وَبِحَمْـدِهِ عَدَدَ خَلْـقِه*
‎*وَرِضـا نَفْسِـه*
‎*وَزِنَـةَ عَـرْشِـه*
‎*وَمِـدادَ كَلِمـاتِـه*
Subhaanallaahi wa bihamdihi Adada khalqihi 
Wa ridhaa nafsihi, Wa zinata Arshihi
 

Wa Midaada Kalimaatihi


Tarjuma : Main Allah subhanahu ki paaki bayan karta hu uski makhluqat ki tadad ke barabar, aur uski khushi ke barabar, Aur uske Arsh ke wazan ke barabar, aur uske kalimat ki siyahi(ink) ke barabar.
– (Sahih Muslim, Jild 6, 6913)


*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●
  ▄    █ ♥ Mumtaz ♥ █    ▄  

╠ •HADEES E PAAK• ╣

Ek baar Surah Al-ikhlas padho aur ek tihaii Quran padhne ka sawab kama lo kyunki.....
--------------
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya - kya tum mein se koi is baat se thak jata hai ki har raat Ek Teehaii Quran parh le ? Sahaba Radi Allahu Anhu ma ne arz kiya ki Teehaii Quran ( Ek raat mein ) kaisey parh saktey hain ? Aap (ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм) Ne Farmaya - Qul Huwallahu Ahad ( Surah ikhlas) Ek teehaii Quran ke barabar hai. 
– (Sahih Muslim, 1886
)

*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●
▄    █ ♥ Mumtaz ♥ █    ▄  

╠ •HADEES E PAAK• ╣

Wazu Ke Baad Ki Dua - Jannat Ke 8 (Aath) Darwaze
--------------
Bismillahirrahmanirrahim

 Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya - Jo Shaksh Achchi Tarah Wudhu Karey Aur Phir Kahe Ki

*أَشْهَدُ أَنْ لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَأَشْهَدُ أَنَّ مُحَمَّدًا عَبْدُهُ وَرَسُولُهُ*
Ashhadu Alla Ilaha Il-Allahu, Wa Ash-Hadu Anna Muhammadan Abduhu Wa Rasuluh

------------
(Main Gawahii Deta Hu Ki Allah Ke Siwa Koi Maabood Nahi Aur Muhammad (Sallallahualaihi Wasallam) Allah Ke Bande Aur Rasool Hain)
------------
Aise Shaksh Ke Liye
Jannat Ke 8 (Aath) Darwaze Khol Diye Janyege Aur Wo Shaksh Jannat Ke Jis Darwaze Se Chahe Dakhil Ho Jaye.
(Sunan Nasaii, Vol1, 150-Sahih)

اللَّهُمَّ اجْعَلْنِي مِنَ التَّوَّابِينَ وَاجْعَلْنِي مِنَ الْمُتَطَهِّرِينَ
Allahummaj 'Alni Minat-Tawwabina Waj'alni Minal-Mutatahhirin.

[Aye Allah Tu Mujhe Baar Baar Toba Karne Walo Me Shamil Kar De, Or Baar Baar Pakeeza Rehne Walo Me Shamil Kar De]
(Hadees - Nasa'i)

*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●
  ▄    █ ♥ Mumtaz ♥ █    ▄  
╠ •Al-QURAAN & Hadees• ╣
 "Jhoot Bolne Waalo Par Allah Ki Lanat ..!.....
--------------
 Al-Quraan:“Beshak Jhoot Bolne Waale Par Allah ki Lanat”.
– (Sureh Aal-e-Imran, Ayat 61)

 Mahfum-e-Hadees: Jhoot Se Bacho! Bilashuba Jhoot Gunaah Ki Taraf Le Jaata Hai
Aur Gunaah Jahannam Me Pahunchane Wala Hai
– 
(Abu Dawood)

 Mahfum-e-Hadees: Bahut Saare Log Muh Ke Bal Jahannam Me Phenk Diye Jayenge,
Sirf Apni Zubaan 
(Yaani Jhoot) Ki Wajah Se. !!
– 
(Tirmizi Sharif)

 Mahfum-e-Hadees: “Mai Zamanat Deta Hun Jannat Ke Darmiyan 1 Ghar Ki,
Uss Shakhs Ko Jo Mazaq Me Bhi Jhoot Na Boley.”
– 
(Abu Dawod)

 Mahfum-e-Hadees: Apni Jhooti Taarif Pasand Karna Sharike Haraam Hai,
aur Uss Me Aakhirat Ki Barbadi Ka Andesha Hai.
– 
(Bukhari Sharif, Muslim Sharif)

 Mahfum-e-Hadees: Uss Shakhs Ke Liye Kharaabi Hai
Jo Baat Karte Huwe Logo Ko Hasane Ke Liye Jhoot Bolta Hai.

– (Mishkatul Masaabih)

 Mahfum-e-Hadees: Ye Bohot Badi Khayanat Hai Ke Tum Apne Bhai Se Koi
Jhooth Baat Bayan Karo, Halanke Wo Tumhari Baat Ko Saccha Samjhta Ho.
– 
(Abu Dowood)

* Hamesha Sach Bolo Aur Jhoot Se Bachte Raho

 Mahfum-e-Hadees: Hazrate Abdullah Bin Masood (Razi’Allahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki,
Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –*Tum Sachhayi Ko Laazim Pakdo Aur Hamesha Sach Bolo,Kyun Ki Sach Bolna Neki Ke Raaste Par Daal Deta Hai Aur Neki Jannat Tak Pahuncha Deti Hai. Aur Jab Aadmi Hamesha Hi Sach Bolta Hai Aur Sachhayi Hi Ko Ikhtiyaar Kar Leta Hai Tou Wo Muqaam-e-Siddiqat Tak Pahunch Jaata Hai Aur Allah Ke Yaha Siddiqeen Me Likh Liya Jaata Hai.

*Aur Jhooth Se Hamesha Bachte Raho –
Kyu Ki Jhooth Bolne Ki Aadat Aadmi Ko Badkari Ke Raaste Par Daal Deti Hai
Aur Aadmi Jhooth Bolne Ka Aadi Ho Jata Hai Aur Wo Jhooth Ko Ikhtiyaar Kar Leta Hai
Tou Anjaam Ye Hota Hai Ki Wo Allah Ke Yaha Kajjabi Me Likh Diya Jaata Hai”.

– 
(Sahih Bukhari, Muslim Shareef)

Sacchayi Neki Ki Taraf Rahnumai Karati Hai …..

 Mahfum-e-Hadees: Hazrate Ibne Mas’ood (Razi’Allahu Anhu) Se Riwayat Hai Ke,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –“Yaqeenan Sacchayi Neki Ki Taraf Rehnumayi Karaati Hai Aur Neki Jannat Ki Taraf Le Jaati Hai.
– Aadmi Sach Bolta Rahta Hai, Yaha’n Tak Ke Usse Allah Ke Yahan Bahot Sachcha Likh Diya Jaata Hai.

Jhoot Nafarmani Ki Taraf Rehnumayi Karata Hai


 Mahfum-e-Hadees: Aur Jhoot Nafarmani Ki Taraf Rehnumayi Karata Hai Aur Nafarmani Jahannum Ki Taraf Le Jaati Hai.
– Aur Aadmi Yaqeenan Jhoot Bolta Rehta Hai, Yaha’n Tak Ke Allah Ke Yahaan Usse Bohot Jhoota Likh Diya Jaata Hai” ” {Click-More..}
– 
(Sahih Bukhari; Kitaab Ul Adab Volume 3 ; Hadees 1027, Sahih Muslim Kitaab Ul Barr, Volume:6, Page:232) 

Dua by “Mumtaz” !!!
Ya 
"Allah" Hame Har Haal Me Jhoot Se Parhez Karne Ki Toufiq Ata Farmaye……
Aur Humesha Sach Bolne Wala Bana De!! Ameen !!

*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●
  ▄    █ ♥ Mumtaz ♥ █    ▄  

╠ •HADEES E PAAK• ╣

Jab Wadaa Karo Tou Poora Karo
--------------
♥ Mahfum-e-Hadees: Huzoor (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
“Tum Apni Taraf Se Mujhe 
Chhe (6) Baato Ki Zamanat De Do, Mai Tumhe Jannat Ki Zamanat Deta Hoon”.

(1).
 Jab Baat Karo Tou Sach Bolo.
(2). 
Jab Wadaa Karo Tou Poora Karo.
(3).
 Jab Tumhare Paas Koi Amanat Rakhe Tou Uske Maangne Par Wapas Do.
(4).
 Apni Sharmgaaho Ki Hifaazat Karo. (Zinaa/Adultory Se Bacho)
(5).
 Apni Aankho Ko Niche Rakho. (Parayi Aurto/Ladkiyo Ko Dekhne Se Parhez Karo)
(6).
 Apne Haatho Ko Roke Raho. (Kisi Par Zulm Na Karo) 
{Click-More..}
 (Ibn Habban : 271 ~ Ahmad : 5/323 ~ Haakim : 4/358’359)

♥ Dua by “Mumtaz” !!!
Ya Allah Hame Har Haal Me Jhoot Se Parhez Karne Ki Toufiq Ata Farmaye……
Aur Humesha Sach Bolne Wala Bana De!! Ameen !!



*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●
  ▄    █ ♥ Mumtaz ♥ █    ▄  

╠ •Al-QURAAN• ╣

"Adab Wale (Yani-Mohtram) 4 (Chaar-For) Four Mahine :-
--------------
✦ Al Quran: Beshak Allah ke yahan mahino ki ginti barah mahine hai , Allah ki kitab mein jis din se Allah ne zameen aur aasman paida kiye unmein se char hurmat wale hain (Dhul Qaida, Dhul Hijja,Muharram,Rajab) yahi seedah deen hai isliye inmein ( in mahino mein) apne upar zulm na karo ( yani gunah ke kaam na karo)
 [ Surah E Tawba : Ayaat No. 36 ]

✦ Hadith:
 Abu Bakra Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah (Sal-Allahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya - Saal barah mahine ka hota hai , unmein chaar hurmat ke mahine hain , teen to ek ke baad ek Dhul Qaida, Dhul Hijja aur Muharram aur ek Rajab jo jamadil aakhir aur shaban ke darmiyan hota hai
 [ Sahih Bukhari, Vol 6, 5550 ]

Hurmat Wale Mahine Chaar Hain aur Inmein ( khas karke) Apne Upar Zulm Na Karo (yani Gunah Na Karo) :-
11-Zul-Qa’dah
12-Zul-Hijjah

1-Muharram
7-Rajab

[ Tafsir ibne Kasir, Vol : 10, Page : 465 ]

***********
 7-Rajab (Rajab Ke Roze)
----------
Uthman Bin Hakim Ansari Radi Allahu Anhu Se Rivayat Hai Ki Unhone Saeed Bin Zuber Radi Allahu Anhu Se Rajab Ke Rozo Ke Bare Mein Pucha Aur Ye Sawal Rajab Ke Mahine Mein Hi Kiya To Unhone Kaha Ki Maine Ibn Abbas Radi Allahu Anhu Se Suna Ki Rasool-Allah (Sal-Allahu Alaihi Wasallam) (Lagatar) Roze Rakhte They Aur Itne Rakhte They Ki Hum Samajhte They Ki Ab Iftar Nahi Karenge , Aur Iftar Karte They Yaha Tak Ki Hum Samajhte Ab Roze Nahi Rakhenge.
 (Sahih Muslim , Jild 3 , 2726

*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●