▁ ▂ ▄ ▅ ▆ ▇ █ ♥ Mumtaz ♥ █ ▇ ▆ ▅ ▄ ▂ ▁
╠ •HADEES E PAAK• ╣
---------------
1. Masnoon Wuzu Se Gunaho’n Ki Baqhshish:
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya: ‘Jis waqt Banda-e-Momin Wuzu shuru karta hai, phir kulli karta hai tou is ke mun’h ke Gunah nikal (jhad) jate hain. Phir jis waqt Naak Jhaadta hai is ke Naak ke Gunah nikal jaate hain.
1. Masnoon Wuzu Se Gunaho’n Ki Baqhshish:
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya: ‘Jis waqt Banda-e-Momin Wuzu shuru karta hai, phir kulli karta hai tou is ke mun’h ke Gunah nikal (jhad) jate hain. Phir jis waqt Naak Jhaadta hai is ke Naak ke Gunah nikal jaate hain.
*Phir jis waqt Chehra dhota hai is ke Chehre ke Gunah nikal jaate hain. Yaha’n
tak ke is ki Aankho’n ki palko’n ke neeche se bhi Gunah nikal jaate hain.
*Chehra dhote waqt Guhan daadhi ke kinaro’n se bhi girte hain aur Jis waqt wo
haath dhota hai tou is ke dono’n hatho’n se Gunah nikal jate hain yaha’n tak ke
dono’n Hatho’n ke Naqhuno’n ke neche se bhi nikal jaate hain.
*Phir jis waqt Masah karta hai tou is ke Sir se Gunah nikal jaate hain, yaha’n
tak ke duno’n kano’n se bhi Gunah nikal jaate hain.
*Phir jis waqt pao’n Dhota hai to iske dono’n pao’n se gunah nikal jaate hain.
Yaha’n tak ke dono’n pao’n ke naqhuno’n ke neeche se bhi nikal jaate hain.
Yaha’n tak ke wo sab gunaho’n se paak saaf ho kar nikalta hai.’
– (Muslim: al Tahaara 244)
2. Wazu Se Hashr Me Ummat-e-Muhammadi (S.A.W) Ki Pahchan:
Ek Shaqs ne Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Se
poocha - Ke aap apni Ummat ko (Maidan-e-hashr me) doosri ummato’n ke (Beshumar
logo’n ke) darmiyan kis tarah pehchanenge ?
Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne
Farmaya - ‘Mere ummati Wuzu ke Asar se Safaid (Noorani) Chehre aur Safaid
(Noorani) Hath Paao’n wale ho’nge. Is tarha inke siwa aur koi nahi hoga”
– (Muslim: al
Tahaara 247)
3.
Wuzu Se Bulandi Darjaat:
* Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne
Farmaya: ‘Tahaarat Aadha Eman Hai.’ – (Muslim: al
Tahaara 223)
4.
‘(Jannat mein) Momin ka Zewar
*Sayyadna Abu Hurairah(Razi’Allahu Anhu)
se riwayat hai ke Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne
Farmaya: “(Jannat mein) Momin ka Zewar waha’n tak pho’nche ga jahaan tak Wazu
ka Paani pho’nchega.’
– (Muslim: al
Tahaara 250)
5.
Mushaqqat (Beemari Ya Sardi) ke waqt kaamil aur Sawaar kar Wuzu karna
* Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne
Farmaya: ‘Kya main tumhei’n wo cheez na batau’n ke jiske Sabab Allah Ta’ala
Tumhare gunaho’n ko door aur darjaat ko buland karta hai ?
Sahaaba ne a’arz kiya: Aye Allah ke Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Jarur
irshad farmaei’n.Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne
Farmaya: ‘Mushaqqat (Beemari Ya Sardi) ke waqt kaamil aur Sawaar kar Wuzu
karna, kasrat se masjido’n ki taraf jaana aur Namaz ke ba’ad Namaz ka intezar
karna Gunaho’n ko door aur darjaat ko buland karta hai.’ – (Muslim: al
Tahaara 251){Click-More..}
*~*--ஜ۩۞۩ஜ----Mumtaz Parveen-----ஜ۩۞۩ஜ---*~*-
●▬▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬▬●
0 comments:
Post a Comment