▄    █ ♥ Mumtaz ♥ █    ▄  
╠ •HADEES E PAAK• ╣
Shab-E-Baraat Ki Haqeeqat Aur Hamari Biddatein
--------------
Khalifa Harun Rashid ke daur me Yahya Barmaki ne Shaban ki 15 tareeq ki Shab ko Masjid me charagaan ki Biddat ko ejaad kiya.

Aag jala ne ki aur charagaan ki Biddat ko Baramkha ne shuru kiya, kyu ke wo Majoosi tha (Aag ki pooja karne wala). Jab wo Musalman hua toh usne is Aatish parasti ko islam me dakhil kar diya, logo ko ye dhoka dete huye ke ye bhi Deeni tarika hai, halan ke inka maqsad aag ki pooja thi.
 – (Tohfatul Ahuzi kitabus sayaam (Tirmizi ki Arabi Sharah)

Aaj Musalman bhi 15 Shaban ko Aatish-bazi karte hai, Masjido aur Kabrastano ko charagaan karte hai. Ye sab Biddat hai.

15 Shaban ka Roza Rakhna, Masjido me Raat bhar ibadat karna, Halwa aur Aalishaan khane pakana, Masjido, Kabrastano ko sajana, Kabro ki zyarat karna Quran o Hadees se sabit nahi.

Logo ka ye Aqeeda hai ke 15 Shaban ko Taqdir ka faisla hota hai, ye jhoot hai. Ye logo ki bahoot badi galat-fehmi hai.

Taqdir ka yani Rozi, umr, Mout wagera aane wale saal ke liye faisla, Ramzan ki
Shab e Qadr (Taaq Raato) me hota hai.

DALEEL
Hum ne Quran ko Mubarak Raat (Shab-e-Qadr, Ramzan ki taaq Raato) me nazil kiya, usi Raat me Hum tamaam Hikmat (Taqdir) ke kaam faisal karte hai.
 (Al Quran, Surah Ad-Dukhan 44 Ayaah 4-5)

Osama bin Zaid (Radi Allahu anhu ) se Rivayat hai ki Mai ne Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ko kisi bhi Mahine me itne zyada roze rakhte huye nahi dekha, jitna Rasool Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Shaban me rakhte te.
Isi Mahine me Rasool Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ramzan ke baad sab se zyada roze rakhte the.

Ayesha Radi Allahu Anhu kehti hai: “Jitne nafil roze, Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Shaban me rakhte te, mai ne kisi aur Mahine me Rasool Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ko is se zyada roze rakhte huye nahi dekha.
 (Sahih Al Bukhari Hadis 1969)

Aaj ummat-e-Muslimah is Mahine me Sunnat par amal karne ke ba-jaye Shirk, Biddat aur Gunah me mubtila o mulawwis hai.

Jaisa ke Eid ka din samajh kar Mele ke Maanind; Dukano, Makano, Daraqto, Kabrastano, Gharo, Chhato, Masjido ko Sajana, Chiragaan karna, Qandile roshan karna, Barqi Qumqumey lagana, Aatish-bazi karna, halwe mande pakana, jalse munaqid karna, maqsoos dua-azhkaar karna, halqa lagana, qaas din (15 Shaban) ka roza rakhna, Salami roza rakhna, Qaza-e-Umri naam ki namaz padna, Kabro ki zyarat karna, ijtimayi duaein karna, Murdo ki Eid manana. Ye sab Biddat hai aur Sunnat ke qilaaf hai.

15 Shaban (Shab-e-Barat/Shab-e-Baraah)
15 Shaban ki raat ko Barr-e-Sagheer (india/pakistan) me Shab-e-Barat ko Shab-e-Qadr ke naam se manaya jaata hai.

Qaas 15 Shaban ki raat ki fazilat, Quran aur Sahih Hadees se sabit nahi hai.
15 Shaban ko lekar jitni bhi Hadeesein mashoor hai, wo sab Zaeef aur Mauzoo (Manghadat) hai.

Baaz log, Surah Dukhan ki ayat no.3 aur ayat no.4 se istidlaal karte hai ke is me jo “Laylat-ul-Mubaraka” ka tazkira hua hai, wo “Nisf-e-Shaban” (15 Shaban ki raat) hai, magar ye batil Qiyaas hai.

Aur un Zaeef aur Mauzoo Hadeeso ka sahara lete huye is raat ki fazilat bayan karne ki koshish ki hai aur is din khud-saakhta roza, nafil ibadaat, infiraadi ya ijtimayi taur par adaa karte hai, jo ke Sarasar Biddat hai.

Beshak! Hum ne is (Quran) ko Laylat-ul-Mubaraka me uthara hai. Beshak! Hum khabardaar karne wale hai, isi raat me har mamile ka Hakimana faisla kiya jaata hai. 
 (Al Quran, Surah Dukhan 44, Ayaah 3-4)

Baaz logo ne iska ghalat Qiyaas karte huye is raat se muraad 15 Shaban ki raat liya hai.

Ramzan wo mahina hai, jis me Quran nazil kiya gaya hai.
 (Al Quran, Surah Baqarah 2, Ayaah 185)

Is ayat me Allah ne Nuzool-e-Quran ke Mahine ki ta’ayyun farmayi hai, yani Laylat-ul-Mubaraka, Shaban ki nahi balki Ramzan ki raat hai.

Hum ne ye Quran ko Shab-e-Qadr me nazil farmaya hai.
 (Al Quran, Surah Qadr 97, Ayaah 1)

Laylat-ul-Mubaraka, Shab-e-Qadr hi ko kehte hai.
 Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya -
Shab-e-Qadr ko Ramzan ke aakhri ashrey ki taaq raato me talaash karo.
 (Sahih Al Bukhari, Hadis 2017)

1. Salaat-ul-Alfiyah/Salaat-ul-Bara’ah/Salaat-ul-Khair (Hazaari Namaz)
Ali(ra) se Manqool, “Jo shaks 15 Shaban ki raat ko 100 rakat Namaz padhe, Allah uski har hajat poori karta hai.”

imaam ibn Jawzi(rh) kehte hai: is Hadees ke Mauzoo hone ke bare me mujhe koi shak nahi aur is Hadees ke teeno tarq me Majhool aur intehayi darje ke Zaeef raawi hai.
 (Al-Mawdoo’aat:2/440-445)

imaam ibn Taymiyah(rh) kehte hai: 15 Shaban ki raat, 100 rakat wali Namaz, bad-tareen Biddato me se hai.
 – (Al-Fatawa al-Kubra:2/222-238)

Allamah Ash-Shawkani(r 0h) kehte hai: Ye Hadees Mauzoo hai.
 (Al-Fawaaid al-Majmu’ah; safa:1-2)

Mullah Ali Qaari Hanafi kehte hai: Salaat-ul-Alfiyah, Be-asal aur Mauzoo hai.
 – (Al-Masnoo fi Maa’rifat al-Hadith al-Maudoo; safa:259-260)

2. 12 rakat wali Namaz
Abu Hurairah(ra) se manqool, “Jo shaks 15 Shaban ki raat ko 12 rakat Namaz padhe, Jannat me apna ghar dekh lega.”
Allamah Suyooti(rh) kehte hai: Ye Hadees aur Khud-sakhta aur Mauzoo hai.
 (Al-Layli al-Masnoo’ah:2/59)

Allamah ibn Jawzi(rh) kehte hai: Ye Hadees Mauzoo hai, is me Majhool raawiyon ki ek poori jamat paayi jaati hai.
 (Al-Mawdoo’aat:2/440-445)

imaam ibn Qayyim Al-Jawziyyah(rh) kehte hai: Ye Hadees Mauzoo hai.  (Al-Manaar al-Muneef:177)

3. Qaza-e-Umri
Aisi koi Namaz kahin se bhi sabit nahi hai. 15 Shaban ki raat ko Ahle-Biddat is Namaz ko adaa karte hai aur daawa karte hai ke umr bhar ki tamaam chhuti huyi Namazo ki Qaza, sirf 2 rakat Namaz padne se poori hoti hai Nouzubillah. iska padna Biddat hai.

Imaam Nawawi kehte hai: Maah-e-Rajab me Salaat-ur-Raghaayib ke naam se M’aroof Namaz, jo ke pehle jumme ki raat ko Maghrib aur isha ke darmiyan 12 rakat padi jaati hai aur 15 Shaban ki raat ko 100 rakato par Mushtamil ek aur Namaz padi jaati hai. Ye dono Namazein Munkar-tareen Biddat hai.

Kitab ‘Quwwat-ul-Quloob’ aur ‘Ihya Uloom ad-Deen.’ in Namazo ka Mazkoora hone se dhoka nahi khana chahiye aur in Namazo ke bare me jo Hadeesein bayan ki gayi hai, in se bhi dhoka nahi khana chahiye. Ye sab batil hai.
 (Al-Majmoo Sharh al-Mahazzab:3/548)
  
Allamah Maqdisi kehte hai: 15 Shaban wali Namaz ko 448 Hijri me ibn Abi Hamraa ne ejaad kiya.
 – (Al-ibdaa fi Maddaar al-ibtidaa; safa:288)

448 Hijri se pehle zamana paak tha is Biddat se.
Allah Subhanahu wa ta’ala hum sabko Sahih Deen Seekhne aur samjhe ni taufeeq de aur hume Quran aur Sahih Hadees ke mutabik Amal ki taufeeq de Ameeen Ya Rabbal Almeen!

(NOTE :Beshak Allah subhanahu kisi Takabbaur
karne wale, itrane wale ko pasand nahi
karta.
 (Surah Luqman, (31), # 18)

Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya - wo shaksh Jannat mein dakhil nahi hoga jiske dil mein Rayee ke dane ke barabar bhi takabbur mojud hai. (Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 59 – Sahih)

Yaad Rakhiye Haq Ko Jaanker Bhi Qabul Na Kerna Takabur Ki Alamat Hai . Ye Jaanker Bhi Ke Ye Amal Ek Biddat Sabit Ho Chuka Hai ?).

*~*--
۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●

0 comments:

Post a Comment