▄    █ ♥ Mumtaz ♥ █    ▄  

╠ •HADEES E PAAK• ╣

"Eid-ul-Adha Ki Sunnate!....
--------------
Bismillahirrahmanirrahim
ईदुल अज़हा की सुन्नतें...
1. 9 ज़िल हज्जा की फ़ज्र से 13 ज़िल हज्जा की अस्र तक तकबीरात कहना । [बैहक़ी: 3/314]
2. तकबीरात: अल्लाहु अकबर अल्लाहु अकबर ला इलाहा इल्लल्लाह, वल्लाहु अकबर अल्लाहु अकबर वलिल्लाहिल हम्द. [इब़्न अबी शैबा: 5652]
3. गुस्ल करना । [बैहक़ी: 3/278]
4. अच्छा कपड़ा पहनना । [बैहक़ी: 3/281]
5. खुशबू लगाना और मिसवाक करना । [इब्न माजह: 1098]
6. नमाज़ ए ईदुल अज़हा से पहले कुछ न खाना । [तिर्मिज़ी: 542]
7. नमाज़ ए ईदुल अज़हा के लिये ईद गाह जाना । [बुखारी: 956]
8. ईद गाह पैदल जाना । [तिर्मिज़ी: 530]
9. अपने दोस्तों और क़रीब वालों के साथ ईद गाह जाना । [इब़्न ख़ुज़ैमा: 1431]
10. घर से ईद गाह जाने तक तकबीरात कहना । [बैहक़ी: 3/669]
11. तकबीरात: अल्लाहु अकबर अल्लाहु अकबर ला इलाहा इल्लल्लाह, वल्लाहु अकबर अल्लाहु अकबर वलिल्लाहिल हम्द. [इब़्न अबी शैबा: 5652]
12. नमाज़ ए ईदुल अज़हा के लिये एक रास्ते से जाना और दुसरे रास्ते से वापीस आना । [बुखारी: 986]
13. नमाज़ ए ईदुल अज़हा के बाद क़ुर्बानी करना । [बुखारी: 5546]
14. नमाज़ ए ईदुल अज़हा के बाद क़ुर्बानी का गोश्त खाना । [दारक़ुत़नी: 1697]
15. ईद की मुबारक बाद इन अलफ़ाज़ मे दें: تَقَبَّلَ اللهُ مِنَّا وَمِنْكَ - अल्लाह हमारी और तुम्हारी तरफ़ से क़ुबूल फ़रमाए । [फ़तहुल बारी: 2/517]
[नोट: इस पोस्ट मे नबी करीम सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम और सहाबा किराम रज़ियल्लाहु अन्हुम की सुन्नतें बयान की गई हैं ।]
ज़्यादा से ज़्यादा शेअर करें और ईदुल अज़हा आने से पहले पहले तमाम मुसलमानों तक पहुँचाए...


*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●
  ▄    █ ♥ Mumtaz ♥ █    ▄  

╠ •HADEES E PAAK• ╣

Takbir Aur Talbiyah Kahne Walo Ke Liye Jannat Ki Khushkhabri Hai*
--------------
Bismillahirrahmanirrahim
----------

Hazrat Abu Hurairah Radi Allahu Anhu Se Rivayat Hai Ki Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya – Jab Bhi Koi Talbiya Kahne Wala Ba Aawaz E Buland Talbiya Kahta Hai To Usko Khushkhabri Di Jati Hai Aur Takbir Kahne Wala Jab Bhi Takbir Kahta Hai To Usko Bhi Khushkhabri Di Jati Hai , Logo Ne Pucha Ya Rasool-Allah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Kya Jannat Ki (Khushkhabri Di Jati Hai) Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Ji Haan
– (Al-Silsila-As-Sahiha-1569)– (Tabrani , 7987-Hasan)
-----------

✦ Talbiya :
 Labbaika Allahumma Labbaik, Labbaika la sharika Laka Labbaik, inna-l-hamda wan-ni'mata Laka walmulk, La sharika Laka
-----------

✦ Takbir :
 Allahu Akbar, Allahu Akbar, Allahu Akbar La ilaha illAllah Allahu Akbar, Allahu Akbar, Wa lillahil hamd

*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●

  ▄    █ ♥ Mumtaz ♥ █    ▄  

╠ •Al-QURAAN• ╣

Zil Hijjah Ke 10 Dino Me Chalte Phirte Zabaan Par Jaari Rakhne Wale 6 Kalimaat….
--------------
" Mahfum-e-Hadees: In 10 Dino Ke Aamal Ka Muqaabla Inhi Jaise Aamaal Se Hoga, Matlab Yah Hai Ki In Dino Ki Nafli Ibadat Dusre Dino Ki Nafli Ibadat Se Afzal Hai, In Dino Ki Farz Ibadat Dusre Dino Ki Farz Ibadat Se Afzal Hai, Yah Matlab Bhi Nahi Hai Ki In Dino Ki Nafli Ibadat Aam Dino Ki Farz Ibadat Se Bhi Afzal Hai (5 Aham Deeni Masail),
– (SAHIH BUKHARI)

9 DHUL HIJJAH Ke Din "ALLAH" SWT Saal Ke Baaki Dino Ke Mukaable Me Zyada Logon Ko Jahannum Ki Aag Se Aazaadi Deta Hai. – (MUSLIM)

*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●

  ▄    █ ♥ Mumtaz ♥ █    ▄  

╠ •Al-QURAAN• ╣

“Aye Mere Bando Jinhone Apni Jano Par Zulm Kiya! ….
--------------
Al Quran: Aye Nabi Keh Do Ke Aye Mere Bando Jinhone Apni Jano Par Zayadti Ki Hai "Allah" Ki Rehmat Se Mayoos Na Ho Jao, Yaqeenan Allah Sare Gunah Maaf Kar Deta Hai Wo To Ghafoor Ar-Raheem Hai. 
(Al Quran, Surah Az-Zumar (39), Aayah (53)

*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●
  ▄    █ ♥ Mumtaz ♥ █    ▄  

╠ •Al-QURAAN• ╣

“Aye Wo Logo Jo Iman Laye Ho! ….
--------------
Al Quran: Aye Wo Logo Jo Iman Laye Ho! Apne Aap Ko Aur Apne Ahlo Ayal Ko Jahannum Ki Us Aag Se Bachao Jiska Endhan Insan Aur Patthar Honge, Is Par Sakht Karra Farishte Muqarrir Hain Jo "Allah" Ka Hukm Nahi Talte Or Jo Inhe Hukm Ho Vahi Karte Hain ”
  (Al-Quran, Surah At-Tahrim( 66:6)

*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●
  ▄    █ ♥ Mumtaz ♥ █    ▄  

╠ •Al-QURAAN• ╣

Agar Tum Bade Badey Gunaahon Se Bachoge Tou ….
--------------
Al Quran: Agar Tum Un Bade Bade Gunaahon Se Bachoge Jinse Tumhe Mana Kiya Gaya To Hum Tumharey (Chotey) Gunaah Muaf Kar Dengey Aur Tumhe Ezzat Ke Maqam Mein Dakhil Karengey,..
(Surah Nisa (4) Aayah 31)

 Mahfum-e-Hadees: Hazrat Abu Bakr (RaziAllahu Anhu) Se Rivayat Hai Ki,Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya –
“Kya Main Tumhe Sabse Bada Gunaah Na Batauu,.? ?.” 
,..? ?

Humne Arz Kiya “Zarur Bataeeye ,…”
Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya:
»*Allah Ke Saath Shirk Aur Waldein Ki Nafarmani Karna (Bade Gunaah Hain),
»*Aur Farmaya Ki Aagah Ho Jao Jhoothi Baat Aur Jhoothi Gawahi Bhi,
********
»*Aagah Ho Jao Jhoothi Baat Aur Jhoothi Gawahi Bhi (Bade Gunaah Hain)
 Rasool ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Isey Baar Baar Dohrate Rahe Yahan Tak Ki Humne Socha Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam)Khamosh Nahi Honge ,..
– (Sahih Bukhari, Vol 7, 5976)

*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●
  ▄    █ ♥ Mumtaz ♥ █    ▄  

╠ •Al-QURAAN• ╣

Aksar Log Imaan Ke Dawe Ke Bawajud Siway Shirk Ke Aur Kuch Bhi Nahi Karte*
--------------
Mushrikane Makka Ki Asal Jo Kamjori Thi, Asal Jo Unka Shirk Tha Wo Tauhid Al-Ibada Thi, Ibadat Me Wo Allah Ke Siwa Dusro Ko Bhi Shareek Kiya Karte They..
Yahi Asal Tha Unka Jiske Liye Wo Qayamat Tak Ke Liye Mushrikeen Kehlaye.. Hala Ke Wo Bhi Allah Ko Rab Mantey They,,Aur Allah Ta’ala Ne -  Quraan Ki Chand Ayato Me Inka Akeeda Bayan Kiya Aur Farmaya Ke-*******

♥ Tumare RAB Ne Faisla Farmaya Hai Ke Uske Siwa Kisi Ki Ibadat Na Karo
– 
(Surah Isra-23)

-Baaz log Musibat me YA NABI, YA ALI, YA GHOUSE Keh Kar Pukarte Hai, Yeh SHIRK Hai.

DALEEL->
-Allah Farmata Hai Ke Jinko Tum Allah Ke Siwa Pukarte Ho, Woh Toh Tumari Tarah Ke Bande Hi Hain...!!!!
– 
(Surah Araaf-194)

 Al- Quraan: Aye Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ! Aap Puchiye Insey Ke Koun Hai Jo Aasman Se Barish Ko Barsata Hai Aur Fir Murda Zameen Ko Zinda Karta Hai Yeh Kahenge “Wo Allah!!!” 
– 
(Surah Ankabut Ayat 63)

Matlab Mushrikeene Makka Yeh Baat Jantey They Ke Wo Allah Hi Hai Jo Aasman Se Barish Barsata Hai, Murda Zameen Ko Zinda
Karta Hai, Tamam Ko Paida Karne Wala Hai Ye Sab Unke Akeede They, Lekin Asal Unka Jo Shirk Tha Wo Shirk Tha Allah Ke Ibadat Me..

Ke Wo Allah Ke Alawa Bhi Ibadat Karte, Aur Allah Ke Alawa Jin Cheezo Ki Iabdat Kyu Karte Ye Akeeda Bhi Allah Rabbul Izzat Ne Quran Me Bayan Kiya,.. Ke Yeh Allah Ke Alawa Kyu Dusre Mabudo Ki Ibadat Karte ?

Aur Unke Shirk Se Humare Shirk Ka Bhi InshaAllah Hum Mu’ajna Karenge Fir.. Ke Kya Unka Shirk Tha Aur Kya Humara Shirk Hai ?


Aayiye Iss Ayat Par Gaur Karte Hai –

 Al-Quraan: * “Alaa lillaahid deenul khaalis”
Aagah Ho Jao Ke Ibadat Tou Sirf Allah Hi Ke Liye Khalis Hai!!
* “wallazeenat takhazoo min dooniheee awliyaaa’a” 

Aur Jin Logon Ne Allah Ke Siwa Dusron Ko Apna Hajatrawa, Sarparast Bana Liya Hai
Jab Insey Pucha Jata Hai Ke Allah Ko Chodkar Dusro Ko Kyu Pukarte Ho ? Tou Wo Kahte Hai Ki 
* “maa na’buduhum illaa liyuqar riboonaaa ilal laahi zulfaa”.
Hum Tou Unki Parastish Sirf Isliye Karte Hai Ki Yeh Log Allah Ki Bargah Me Hamara Tarkab Badha Denge, Allah Se Hume Sirf
Nazdeek Kar Dey.
– 
(Surah Zumar Ayat 3)

 * Yahi Tou Shirk Tha Muhshreekine Makka Ka, Ke Wo Allah Ko Rab Mantey Inke 360 Buto Me Sabse Bada Boot Allah Tha Ya Sbase

Upar Afzal Allah Ko Mantey.. Chotey Chotey Kyu ? Tou Kehte Inki Ibadat Nahi Karte, Inko Razi Aur Khush Karte Taaki Allah Tak
Humari Muradey Pohcha Dey,..

* Yaha Tou Sirf Bich Me Rakhne Ki Vajah Se Yeh Qayamat Tak Ke Liye Mushrik Kehlaye
Aur Aajka Baaz Musalman Tou Yeh Akeeda Rakhta Hai Ke Allah Ke Siwa Dusre Bhi Detey Hai…

YE TOU APNE SHIRK ME INSEY BHI GAYA-GUJRA HAI ..
Aur Fir Tawheed Parast Apne Aap Ko, Fir Muslaman Apne Aap Ko, Aur Fir Apne Aapko Jannat Ka Mussthik Samjhta Hai..

* Agar Gunaah Ek Tou Saja Ek Hi Shariyat Me,.. Ek Gunaah Ke Do Sajha Nahi Ho Sakte.,..
Tou Gunaah Unka Wo Tha Ke Bich Me Bana Liye They Awliya.. Yeh Sochtey They Ke Inke Jarye Allah Tak Hum Pohoch Sakte Hai.,.

Aur Kehte Bhi They Ke Hum Inn Buto Ki Ibadat Nahi Karte Bus Yeh Jo Kuch Bhi Hum Kar Rahe Hai Sirf Allah Se Nazdeeki Ke Liye Ho Raha Hai…

AAJ KA AQEEDA
* Aur Aajka Humara Akeeda Kya Hai ? Hum Inki Ibadat Nahi Karte .. Inke Jarye Allah Tak Pohochtey Hai .. Yahi Tou Shirk Tha Mushrkin Ka *Fir Wo Mushrik Kehlaye Iss Amal Par Aur Hum Momin Kehlaye Usi Amal Par*

Yeh Kaise Ho Sakta Hai? Ek Kaam Par 2 Lable Kaise Diya Jayega? Ek Hi Diya Jayega..
Galat Tou Galat ! Sahi Tou Sahi ..
Kya Islam Me Aaney Ke Baad Yeh Sab Cheeze Jayaj Ho Gayi Humare Liye?
Nahi Bilkul Bhi Jayaj Nahi Hoti Yaad Rakhiye…

AUR ALLAH TA’ALA APNE KITAB ME VAZAHAT BHI KAR CHUKA HAI KE –
 Al-Quraan: Aye Nabi (Sallallahu Alaihay Wasallam) Aap Dekhoge Aksar Log Imaan Ke Dawe Ke Bawajud Siway Shirk Ke Aur Kuch Bhi Nahi Karte ..
– 
(Surah Yusuf: Ayat 106)

Fir Hume Gaur Karna Chahiye Ke Kahi Humara Muamla Tou Aisa Nahi Ke Hum Tawheed Ki Baat Kar Rahe Hai Aur Siway Shirk Ke Hum Kuch Bhi Nahi Kar Rahe.. 


» Please Note That:
 Lihaja Hum Tamam Ko Chahiye Ke Apne Amaal aur Akide Ka Muhasba Karey Aur Sahi Ilm Ke Jarye Apni Aur Apno Ki Islah Karey.
 Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam)  Ne Frmaya: “jisnay Allah Ke Siwwa Kisi Dosray Ki Qasam Uthaye, Usnay Shirk Kiya
– (Tirmizi,kitabul Emaan,Hadees no: 1535)

 Dua by "Mumtaz" !!!!!!
#
 Allah Hame Haq Sunne aur Samjhne Ki Taufiq Ata Farmaye..
#Jab Tak Hum Zinda Rahain Islaam Par Qayam Rahen aur Jab Hamari Mout Aaye To Hamara Khatma Imaan Par Farmaye…Aameen, Summa Aameen
*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●