▄    █ ♥ Mumtaz ♥ █    ▄  

╠ •HADEES E PAAK• ╣

Dhul-Hijjah Ke Shuru Ke 9 Din Roze Rakhne Ki Fazilat *
--------------
" Bismillahhirrahmanirrahim*

Dhul Hijjah ISLAMI Saal Ka Aakhiri Mahina Hai Aur HURMAT Waale 4 MAHINO Mese Ek,..

DHUL HIJJAH Mahine Ke 10we DIN EID UL ADHA Ka Pahla Din Hota Hai In 10 Dino Ka Bayan Qur’an Me Khaas Taur Se Huwa Hai.. (SURAH HAJJ)

In 10 Dino Ki Ahmiyat Isse Bhi Wajeh Hoti Hai Ki "ALLAH TAALA" Ne Dhul Hajj Ke 10 Dino Ki Qasam Uthaai Hai or har Rat ki Qasam Uthai HAi..
{see-more}
(SURAH FAZR)

DHUL HIJJAH ke 10 dino mese
ek din 9 DHUL HIJJAH aisa hai Ki 
"ALLAH TAALA" Ne isme deen-e islam ko muqammal hone ki khush khabri sunaayi thi.. – (SAHIH BUKHARI)

In Fazilaton Ki Wajah Yah Hai Ki In Dino Me Tamam Buniyaadi Ibaadaten Jama Hoti Hain, Yani NAMAZ, ROZA, HAJJ ,SADQA In Dino Ke Elawa Aur Kisi Din Yah Ibadaten Jama Nahi Hoti.. – (FATH UL BARI)

Kuch SAHABA(RA) In Dino Me Takbeeraat Kahte They Yaha Tak Ki Bazaar Me Bhi Inka Wird Karte Aur Inki Takbiraat Shuru Kar Dete..
– (SAHIH BUKHARI)

9 DHUL HIJJAH ka ROZA Rakhne Se Pichle Ek Saal Ke Gunah Maaf Ho Jaate Hain..
– (SAHIH MUSLIM)

HAJJ Karne Waale Ke Liye Mustahab Hai Ki 9 Dhul Hijjah K Din Roza Na Rakhe
..
– (TOHFATUL AHWAZI)

jo SHAKHS KURBANI Karna Chahta Hai Wah In 10 Dino Me Qurbani Karne Tak Apne Jism Ke Baal Aur Naakhun(Nails) Etc Nahi Kaat Sakta..
– (SAHIH MUSLIM)
*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●

0 comments:

Post a Comment