▄    █ ♥ Mumtaz ♥ █    ▄  

╠ •HADEES E PAAK• ╣

Bahut Zyada Durud Padhne Ki Fazilat
--------------
Ubai Ibn Kaab (Radi Allahu Anhu) Kahte Hain Ki Maine Arz Kiya Ya Rasool’allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Main Aap Par Bahut Zyada Durud Padha Karta Hu , Aap Mujhe Bata Dijiye Ki Main Durud Padhne Ke Liye Kitna Waqt Muqarrar Kar Lu Aap (ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм) Ne Farmaya - Jitna Tum Chaho ,

Maine Arz Kiya Ek Chothayee (1/4)Aap (ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм) Ne Farmaya - Jitna Tum Chaho Magar Is Se Zyada Padhoge To Tumhare Haq Mein Behtar Hoga,

Maine Arz Kiya Aadha Waqt (1/2)Aap (ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм) Ne Farmaya - Jitna Tum Chaho, Magar Is Se Zyada Padhoge To Tumhare Haq Mein Behtar Hoga,

Maine Arz Kiya Do Tihayee (2/3)Aap (ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм) Ne Farmaya - Jitna Tum Chaho, Magar Is Se Zyada Padhoge To Tumhare Haq Mein Behtar Hoga,

Maine Arz Kiya To Phir Main Har Waqt Aap Par Durud Padha Karunga To Aap (ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм) Ne Farmaya - Phir To Ye Durud Tumhare Sare Gamo Ko Dur Karne Ke Liye Kaafi Hoga Aur Iski Wajah Se Tumhare Gunah Bakhsh Diye Jayenge.

*Imam Tirimizi ne is hadith ko Hasan Sahih kaha hai*
-----------
– (Jamia Tirmizi, Jild 2, 347-Hasan)
– (Masnad Ahmad -20736-Hasan)
– (Al-Baihiqi- 1416-Hasan)
– (Saheeh At-Targheeb ,1670-Sahih)


*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●


0 comments:

Post a Comment