▄    █ ♥ Mumtaz ♥ █    ▄  

╠ •HADEES E PAAK• ╣

Aapas Mein Salam Ko Phailao (Yani Zyada Se Zyada Salam Karo)*
--------------
As Salamu Alaikum Warahmatullahi Wabarkatahu*

✦ Abu Hurairah Radi Allahu Anhu Se Rivayat Hai Ki Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya - Tum Log Us Waqt Tak Jannat Mein Dakhil Nahi Ho Sakte Jab Tak Ki Momeen Na Ban Jao Aur Tum Tab Tak Momeen Nahi Ho Sakte Jab Tak Ki Aapas Mein Muhabbat Karne Na Lag Jao Kya Main Tumhe Wo Baat Na Batauu Jiske Karne Se Tum Aapas Mein Muhabbat Karne Lagoge, Wo Ye Hai Ki Tum Aapas Mein Salam Ko Phailao (Yani Zyada Se Zyada Salam Karo)
– (Jamia Tirmizi, Jild 2, 584-Sahih)

Imran Bin Hussain Radi Allahu Anhu Se Rivayat Hai Ki
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ke Pass Ek Shaks Aaya Aur Usne Kaha "Assalamu Alaikum"
Aap ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Ne Uska Jawab Diya Aur Wo Baith Gaya Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya - Das (10 Nekiyan Mil Gayee)

Phir Ek Aur Shaks Aaya Aur Usne Kaha "Assalamu Alaikum Warahmatullah"
Aap ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Ne Usko Bhi Jawab Diya Aur Wo Baith Gaya Phir Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Bees (20 Nekiyan Mil Gayee)

Phir Ek Aur Shakhs Aaya Aur Usne Kaha "Assalamu Alaikum Warahmatullah Wabarkatahu",
Aap ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Ne Usko Bhi Jawab Diya Aur Wo Baith Gaya Phir Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Tees (30 Nekiyan Mil Gayee) {Read-More..}
– (Sunan Abu Dawud, Vol 3, 1752 –Sahih)

Ghair-Muslim Ko Salam Ke Jawaab Me (Wa-alaikum) Kaahen....
Anas Bin Malik Radhi Allahu Anhu Se Rivayat Hai Ki Ek Yahudi Rasool (Sallallahu Alaihi Wasallam)  Ke Pass Se Guzra Aur Kahne Laga “al-saam-alaik” Yani Aap Ko Maut Aa Jaye To Aap Sal-allahu Alaihi Wasallam Ne Jawab Mein Sirf Wa-alaika Kaha Sahaba Ne Arz Kiya Ya Rasool-allah Sal-allahu Alaihi Wasallam Kya Isko Hum Maar Daale Aapne Farmaya Nahi Aur Jab Kitab Wale (yahud Aur Nasara) Tumhe Salam Kare To Tum Bhi Wa-alaikum Kaha Karo
– (Sahih Bukhari,vol8, 6926)

*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●

0 comments:

Post a Comment