╠ •HADEES E PAAK• ╣
♥ Mahfum-e-Hadees: Peer (Monday) Aur Jumairat (Thursday ) Ko »* Roza Rakhna Sunnat Hai»*

».  Hazrat Abu Qatada Ansari Radi Allahu Anhu Se Rivayat Hai Ki Rasool (Sallallahu Alaihi Wasallam) Se Pucha Peer Ke Din ( Yani Monday) Ke Roze Ke Bare Mein (Yani Aap Us Din Roza Kyun Rakhte Ho) To Aap Sallalalahu Alalhi Wasallam Ne Farmaya Ki Main Us Din Paida Hua Tha Aur Us Din Mujh Par Wahi Nazil Huyee Thi.
– (Sahih Muslim, Vol 3, 2747)

♥ Mahfum-e-Hadees:  Hazrat Aisha Radhi Allahu Anha Se Rivayat Hai Ki Rasool (Sallallahu Alaihi Wasallam) Peer (Monday) Aur Jumairat (Thursday) Ko Khas Taur Se Roza Rakhte They.
– (Jamia Tirmidhi , Vol 1, 723 – Hasan)

♥ Mahfum-e-Hadees:  Abu Hurairah Radi Allahu Anhu Se Rivayat Hai Ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Peer (Monday) Aur Jumairat (Thursday ) Ko Bande Ke Aamal Allah Ki Baargah Mein Pesh Kiye Jate Hain , Aur Mujhe Ye Pasand Hai Ki Mere Aamal Jab Allah Ki Baargah Mein Pesh Ho To Main Roze Se Hu.
– (Jamia Tirmidhi , Vol 1, 725 – Hasan)

 Mahfum-e-Hadees: Jisme Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Irshad Farmaya - Roza Dhaal hai. Jab tumme se koi Roze Se Ho to Behayai Ki Baten Na Kare  or Shor na kare. Agar koi Use Gaali de ya usse Ladai Jhagda kare to kehde ME ROZE DAR HU.
– (BUKHARI)

Sabaq:
 Jaise Roza Nafs Ko Tornay Ka Zeriya Hai, Nafs Toot Janay Per Insaan Bohut Si Naikiyan Ker Sakta Hai, Kyun K Rokna Wala Nafs He Hai.
*********
Jis Ki Barkat Say Rozedar Tak Gunnahon Ka Teer Nahi Pohanchta, Aur Shaitan Ka Rasta Band Ho Jata Hai.

*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●

╠ •HADEES E PAAK• ╣

Kaya Ab Bhi Dua Me Kisi Aur Waseele Ki Zaroort Hai
--------------
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Irshaad Farmaya –Rozana raat k aakhir hisse me “ALLAH” (“Subhanahu Wa Ta'ala,” )    aasmane duniya ki taraf nazil hokar Farmata Hai-:

1✦ Kon h jo mujhse dua mange me iski dua qabool karun,
2✦ kon jo mujhse sawal kare to me ise ata karun,
3✦ kon hai jo mujhse bakhshish mange to me ise bakhsh dun.
(Sunan Darimi – Jild Awwal, Hadith: 1442)

*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●

  ▄    █ ♥ Mumtaz ♥ █    ▄  

╠ •HADEES E PAAK• ╣

Islam Me 3 Tarah Ke Waseele Se Dua Mangna
--------------
“Quraan aur Hadees” ki dalil se ye baat sabit ho rahi hai ke Quraan-Majid jo Qurb(yani wasila) talaash karne ka hukum deta hai wo“Emaan aur Neek” aamal ka wasila hai, jo qayamat ke roz Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam)si sifaat aur bila-aakhir nijat ka zarya banega.

AllahTaala - ne apne momin bando ko ye hukum diya ke wo iske taqwa ko ikhtiyaar kare, Taqwa ko jab Etaat-E-Elaahi ke sath mila liya jaye to phir iska matlab ye hota hai ke in tamaam kamo ko nahi kiya jaye jinse "Allah-Taala" Ne manaa kiya aur jinhe isne haraam qarar diya hai aur uske baad farmaya:-

(WABTAGOOO’ILAYHIL-WASEELATA) 
aur iske “Qurb(yani wasila)” talaash karte raho-
Surah-Tul-Mayedah ki Aayat-no—35 ki puri tafsir ke liye dekhe
(Tafseer-ibne-kaseer)

Wasila ka Matlab(meaning) kya hota hai.?
Imaam-Sufyaan-Sori(r.a) farmate hain ke mujhe mere walid(father) ne, unhone Talhah(r.a) se, unhone Ataa(r.a) se rawayat biyaan ki hai ke Wasila ke matlab “Qurbat” hai.
(Tabsir-Tibriyai: 308/6)

Mojahid, Abu-Wail, Hazrat-Hussan, Abdullah-Bin-Kaseer, Imam-Siddi, Ibne-Zayed aur kai “Aaimah-e-Tafseer” ka bhi yahi qauool hai ke wasila ke matlab hi “Qurbat” hain, yani "Allah-Taala" ki Etaat aur iski pasandidah aamalon ke zarya se “Qurb(yani wasila)” hansil karna.
(Tafsir-Tibriyai: 308,309/6)

Hafiz-Ibne-Kaseer(r.a) farmate hain:- In “Aaimah-e-Tafseer” ne jo kuch kaha hai iske bare me Mofasareen ke darmiyaan koi ikhtilaaf nahi hai, “Qurb(yani wasila)” aise hi chiz ko kahte hain jiske zarya se Maqsood tak pahun sake,
(Tahseel-e-Maqsood, Tafseer-Surah-Tul-Mayedah, Jilad-no---03, Safa-no---97* )

Imaam-Qataadah farmate hain “Qurb(yani wasila)” ke maane(yani meaning) ye hain ke "Allah-Taala" ki Etaat baja kar aur "Allah-Taala" ke khushnodi ke aamal ko sar-anjaam de kar iska “Qurb (yani wasila)” hansil karo.
(Tafseer-Tibriyai: 309/6)

Ibne-Zayed ne iski tayed me is Aayat-e-karima ko padha:
Tarjoma:-Ye log jinko "Allah"ke siwa pukarte hain, wo khud apne Parwardigar ke yahan zarya(Qurb) talaash karte rahte hain….
(Surah-tul-baniisrail, aayat-no---57)
( Tafseer-Tibriyai: 309/6)

Zahir baat hai ke "Allah" ka “Qurb” hansil karne ka wahid zarya “Amaal-e-Saalah” hai, isliye “Amaal-e-Saalah” hi "Allah" tak pahunchne ka wasila hain, naa ke wo jise “Qabar-Parast” biyaan karte hain ke Faut-Shodah(yani death kiye hue) logon ke naam ki “NAZRO-NYAAZ” do inke Qabar par gilaaf(yani chadar) chadao aur mela-thela jamao aurinse Dua karo….kyon ke ye “Qurb(yani wasila)” nahi inki ibaadat hai jo Shirk hai.


*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●
  ▄    █ ♥ Mumtaz ♥ █    ▄  

╠ •HADEES E PAAK• ╣

Apne Nek Aamaal Ke Waseele Se Dua Mangna
--------------
Abdullah-Bin-Umar{Ra} se rawayat hai, Ke Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya -

Teen(3) Aadmi ja rahe the, itne me barish hone lagi to wo pahad me ek GAAR tha isme ghoos gaye, Pahad par se ek pather gira aur GAAR ke monh par aagaya aur monh band ho gaya, Ek ne dosre se kaha:- apne apne neak Aamaal ka khayal karo jo ALLAH ke liye ho aur DUA maango in Aamaal ke WASILE se shayed Allah-Taala is pather ko khool de tumhare liye.

TO INME SE EK NE KAHA:- Mere MAA-BAAP budhe zayef the aur meri Biwi(wife) aur mere chote chote ladke the, ke main inke waste Bhed, Bakriyan charaya karta tha, to inka Dodh(milk) duhta tha aur sabse pahele apne MAA_BAAP se suru karta tha, to inko apne ladko se pahele pilata tha, albatta ek din mujhko bakriyon ka chara bahut door mila so main ghar na aaya yahan tak ke mujhko aane me shaam ho gai to maine apne MAA-BAAP ko sota hua paya, phir maine doodh(milk) duha jis tarah duha karta tha, phir main doodh(milk) laya aur apne MAA-BAAP ke sar ke pass khada hua, mujhko bura laga ke main inko neend se jagaon aur bura laga ke inse pahele ladko ko pilaon aur ladke bhook ke mare shoor kar rahe the mere dono pairo(legs) ke pass, so issi tarah barabar mera aur inka haal raha subah tak(yani main apne MAA-BAAP ke intejar me doodh liye raat bhar khada raha) aur ladke rote chillate rahe, na maine piya aur na ladko ko pilaya, so Elaahi agar tu janta hai ke aisi Mahnat aur Moshaqqat teri razamandi ke waste tha to Aye Allah is musibat se hamko nikal de,is chattan ko hata de, to patthar apni jagah se thora sa hat gaya,

DOSRE NE KAHA:- Elaahi majra ye hai ke mere chacha(Uncle) ki ek Beti thi, jis se main mohabbat karta tha jis tarah Mard-Aurat karte hain (main iska kamaal Ashiq tha) so iski taraf mayel ho kar maine iski zaat ko chaha(magar usne hamesha apne aap ko mujhse door rakha) isne na mana or mana kar diya:-- yahan tak ke ek aisa waqt aaya, kahat Sali aayi, wo mohtaji me mere pass kuchh deenar k liye aayi, to mene ek shart par usko majboor kiya, ke me 120 deenar tujhe dunga, lkn iske badle me kaya hai - ke tu apne silsile me mujhko Ikhtyaar de de, wo majboori me tayyar ho gayi, Lekin wo taqwe wali thi, Jab main ne usse galat irada kiya (apna matlab chaha) to usne kaha:- Aye Allah ke bande! dar ALLAH se aur mat tood mahar ko magar haq se(begair Nikah ke Izzat mat zayel kar) to main uth khada hua or me usse alag ho gaya - me aise waqt me usse alag hua jabke wo mujhe bohot mehboob thi, or jo mene usko deenar diye the wo bhi usi pe chhor diye:- Elaahi agar tu janta hai ke ye kaam maine teri razamandi ke liye kiya to Aye Allah is musibat se hamko nikal de,patthar or thora sa hat gaya, lekin abhi bhi wo bahar nai nikal sakte the, 

TEESRE NE KAHA:- Elaahi maine ek saks se mazdoori li, ek Farq chawal par(yani wo bartan jisme 16 ratal aanaj aata hai) jab wo kaam kar chuka isne kaha: mera haq de maine ek Farq bhar chawal iske samne rakhi, isne na liya phir maine in chawalon ko bota raha, isme barkat hui yahan tak ke maine is maal se Gaaye aur Bael(cow & bull) aur inke charane wale gulaam ikhatta kiya, phir wo majdoor mere pass aaya aur kahne laga: Allah se dar aur mera haq mat maar, maine kaha ja aur Gaaye Bael(Cow-Bull) aur iske charane wale sab tu lele---wo bola: Allah Jabbar se dar aur mujhse mazak mat kar, maine kaha main mazak nahi karta, wo Gaaye Bael(Cow-Bull) aur charane wale ko tu lele isne le liya, phir agar tu janta hai ke maine teri razamandi ke liye tha to Aye Allah is musibat se hamko nikal de, to Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmate han ke wo patthar apni jagah se hat gaya aur wo log GAAR se bahar nikal gaye.
-
 ( *Sahih-Muslim, Hadees-no---6939* / *Sahih-Bukhari, Hadees-no---2333,2215*)

Tashrih:- IS hadees se jo baat samne aati hai wo ye hai,

1✦ Sakht mosibat me aur nehayat pareshani me jiski koi tabdir na ho sake to apne khalis Aamaal ko WASILA bana kar Allah se DUA kare Allah isko nijad de.

2✦ MAA-BAAP ka haq apni jaan aur biwi, ladko ke haq me muqaddam hai aur neakiyon me dakhil hai.

3✦ Qadir ho kar gunnah se bachna aur sirf Allah ke Dar-wa-Khauf se shawat ko dabana aur khawash-e-nafs ko mitana bede kamala ki baat hai, aur Allah ko nihayat pasand hai.

4✦ Haq walon ka haq adda karna Raza-e-Elaahi ka umdaa wasila hai.

5✦ Maalik ke ijazat ke bina koi aanaj bo de to iska hasilaat ka maalik asal maalik hi hoga


*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●
  ▄    █ ♥ Mumtaz ♥ █    ▄  

╠ •HADEES E PAAK• ╣

Wasile Se Dua Mangna Kesa Hai
--------------
1✦Allah Ke -99 Naam Hai Uske Naam Ka Waseela - Laga Kar Usse Maango

2✦Zinda Nek Logo Ka Waseela lagao - Aap Main Se Jo Zinda Neak Log Hain Unke Paas Jaake Unse Kaho Ki Mere Liye Dua Karen Zinda Ka Hukum Hai Murdon Ka Nahi.

3✦Apne Koi Neak Aamal Ka Waseela Lagao - Jaise Ke Deen Main Jo Tumne Paisa Kharach Kiya Hai Ya Aur Koi Nek Amal

Note:-Aur Murdon ka wasila Quraan aur Hadees se kahin bhi sabit nahi hai, agar hai to iski Sahih-Dalil de hum manne ke liye taiyar hain

Hz umar bin khattab (ra) se riwayat hai jab jab log kahat(drought) me mubtala ho jaate they, to hz abbas bin abdul muttalib ke tufail se baarish talab karte they aur kahte they, " aiy illahi! Ham tere paas apne nabi ka wasila laate they, to tu hamen baarish deta tha, ab tere paas apne Nabi (S.A.W) ke chacha(uncle) ka waseela laate hain, ham ko baarish ata farma, logon ke liye baarish ho jaati thi""
– (sahih bukhari v2 book 17 hadith no 123)


*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●


  ▄    █ ♥ Mumtaz ♥ █    ▄  

╠ •Allah Is One• ╣

Muhammad (ﷺ )Is The Messenger of Allah)
--------------
Naqsh-e Qadam Nabi Ke Hain Jannat Ke Raaste,
Allah Se Milate Hain Sunnat Ke Raaste
☼ "Mumtaz":  Zaat-e-Nabi()) Buland Hai,
     Zaat-e-Khuda Ke Baad.
-------
 ----------
Duniya Me Ehtaram Ke Qabil Han Jitne Log,
Ham Mante Han Sabko Mgr Mustafa () Ke Baad:
------   ----------
------   ----------------   ----------
*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●