╠ •HADEES E PAAK• ╣
♥ Mahfum-e-Hadees: Peer (Monday) Aur Jumairat (Thursday ) Ko »* Roza Rakhna Sunnat Hai»*

».  Hazrat Abu Qatada Ansari Radi Allahu Anhu Se Rivayat Hai Ki Rasool (Sallallahu Alaihi Wasallam) Se Pucha Peer Ke Din ( Yani Monday) Ke Roze Ke Bare Mein (Yani Aap Us Din Roza Kyun Rakhte Ho) To Aap Sallalalahu Alalhi Wasallam Ne Farmaya Ki Main Us Din Paida Hua Tha Aur Us Din Mujh Par Wahi Nazil Huyee Thi.
– (Sahih Muslim, Vol 3, 2747)

♥ Mahfum-e-Hadees:  Hazrat Aisha Radhi Allahu Anha Se Rivayat Hai Ki Rasool (Sallallahu Alaihi Wasallam) Peer (Monday) Aur Jumairat (Thursday) Ko Khas Taur Se Roza Rakhte They.
– (Jamia Tirmidhi , Vol 1, 723 – Hasan)

♥ Mahfum-e-Hadees:  Abu Hurairah Radi Allahu Anhu Se Rivayat Hai Ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Peer (Monday) Aur Jumairat (Thursday ) Ko Bande Ke Aamal Allah Ki Baargah Mein Pesh Kiye Jate Hain , Aur Mujhe Ye Pasand Hai Ki Mere Aamal Jab Allah Ki Baargah Mein Pesh Ho To Main Roze Se Hu.
– (Jamia Tirmidhi , Vol 1, 725 – Hasan)

 Mahfum-e-Hadees: Jisme Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Irshad Farmaya - Roza Dhaal hai. Jab tumme se koi Roze Se Ho to Behayai Ki Baten Na Kare  or Shor na kare. Agar koi Use Gaali de ya usse Ladai Jhagda kare to kehde ME ROZE DAR HU.
– (BUKHARI)

Sabaq:
 Jaise Roza Nafs Ko Tornay Ka Zeriya Hai, Nafs Toot Janay Per Insaan Bohut Si Naikiyan Ker Sakta Hai, Kyun K Rokna Wala Nafs He Hai.
*********
Jis Ki Barkat Say Rozedar Tak Gunnahon Ka Teer Nahi Pohanchta, Aur Shaitan Ka Rasta Band Ho Jata Hai.

*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●

0 comments:

Post a Comment