╠ •HADEES E PAAK• ╣
★10 Muharram Ke 3 Kaam
--------------
Jab Rasool'allah
Sallallahu Alaihi Wasallam Madiney
Main Tashreef Laye To Yahud Ko Dekha Ki Aashurey Ke Din Ka Roza Rakhte
Hain,Logo Ne Un Se Pucha Ki Kyon Roza Rakte Hain To Unhoney Kaha Ki Ye Wo Din
Hai Jab Allah Taala Ne Musa Alaihi Salam Aur Banee Israeel Ko Firoun Par Galba
(Victory) Diya Isliye Aaj Hum Rozedar Hain, Iski Taazaim Ke Liye ,To Nabee
Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Hum Tum Se Jyada Dost Hain Aur
Kareeb Hain Musa Alaihi Salam Ke, Phir Huqm Diya Aap Sallallahu Alaihi Wasallam
Ne Is (10 Muharram) Roze Ka.
– (Sahih-Muslim, Vol-no: 3, Book: 6(Roze kaMasayel),
Hadees-no: 2656*)
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne
Aashurey Ke Din (10 Muharram) Ka Aur Huqm Kiya Is Rozey Ka, To Logo Ne Arz Kiya
Ya Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ye
Din To Aisa Hai Ki Iski Taazim Karte Hain Yahud Aur Nasara,To Aap Sallallahu
Alaihi Wasallam Ne Farmaya Ki Jab Agla Saal Aayega To Inshallah Hum 9 Ka Roza
Bhi Rakhege, Aakhir Agla Saal Na Aane Paya Ki Aap Sallallahu Alaihi Wasallam
Duniya Se Parda Farma Gae.(Isliye Hum Musalman 9 and 10 Dono Ka Roza Rakhte
Hain)
– (Sahih-Muslim, Vol-no: 3, Book: 6(Roze kaMasayel),
Hadees-no: 2666*)
Abu Qatada Al-Ansari Radi Allahu Anhu Se Rivata Hai Ki Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Se Asura (10 Muharram) Ke Din Ke Rozey Ke Bare Mein Pucha To Aap (S.A.W) Ne Faramaya Ye Guzrey Huye Saalke Gunahon Ka Kaffara Hai.
– (Sahih-Muslim, Vol-no: 3, Book: 6(Roze kaMasayel),
Hadees-no: 2747*)
Abu Qatada Al-Ansari Radi Allahu Anhu Se Rivata Hai Ki Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Se Asura (10 Muharram) Ke Din Ke Rozey Ke Bare Mein Pucha To Aap (S.A.W) Ne Faramaya Ye Guzrey Huye Saalke Gunahon Ka Kaffara Hai.
*~*--ஜ۩۞۩ஜ----Mumtaz Parveen-----ஜ۩۞۩ஜ---*~*-
●▬▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬▬●
0 comments:
Post a Comment