10 Muharram
|
Day of Ashura, Shahadat of Imam Hussain (A.S.)
|
╠ •HADEES E PAAK• ╣
★Muharram Ki 10 Taarikh (Yom-e-Ashura) K Roze Ki Ahmiyat
--------------
✦ Sab Rozo Main Afzal Ramadan ka roza, aur oskey Baad Muharram
Ka Roza hain…
Abu Hurairah (Razi Allahu Ta’ala Anhu) Say Riwayat Hain Kay, Rasool’Allah ﷺ (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ney Farmaya -
“Sab Rozo Main Afzal Ramadan ka roza, aur oskey baad Muharram Ka Roza Hain, Jo Allah Ka Mahina Hain Aur Baad Namaz-e-Farz Kay Tahajjud Ki Namaz Hain”.
- (Sahih Muslim , Vol 3, 2755)
Abu Hurairah (Razi Allahu Ta’ala Anhu) Say Riwayat Hain Kay, Rasool’Allah ﷺ (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ney Farmaya -
“Sab Rozo Main Afzal Ramadan ka roza, aur oskey baad Muharram Ka Roza Hain, Jo Allah Ka Mahina Hain Aur Baad Namaz-e-Farz Kay Tahajjud Ki Namaz Hain”.
- (Sahih Muslim , Vol 3, 2755)
✦Abu
Hurairah (Razi Allahu Ta’ala Anhu) Say Riwayat Hain Kay, Ek Sahib Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam)
Kay Khidmat Main Hazir Hokar Arz Karney Lagey Kay, “Ramadan Kay Baad
Sabsey Ziyada Fazilat Kaun Say Rozey Ki Hain, Toh Aap
(Sallallahu-Alaihi-Wasallam) Nay Farmaya, “Allah tala Ka Mahina Jisey Tum
Muharram Kahtey Ho”.
– (Sunan Ibn Majah, Vol
1 , # 1742 ( Sahih)
✦ Muharram
Ke Roze ki shuruat aur iski Taarikhi pashmanzar..
Abdullah Bin Abbas(Radiallahu Taala Anhu) Sey Riwayat Hain Kay Jab Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Madiney Main ashreef Laye Toh Yahudiyon Ko Dekha Kay Aashurey Ka Din Ka Roza Rakhtey Hain, Logo Ney Unn Sey Pucha Ki Kyon Roza rakhtey Hain, Toh Unhoney Kaha Ki Ye Wo Din Hain Jab Allah Ta’ala Ney Musa (Alaihi Salaam) Aur Banee Israeel Ko Firoun Par Galba (Victory) Diya Isliye Aaj Hum Rozedar Hain, Iski Taazeem Kay Liye, Toh Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ney Farmaya: “Hum Tum Sey ziyada Dost Hain Aur Kareeb Hain Musa (Alaihi Salam) Kay, Phir Hukum Diya Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ney Iss (10 Muharram) Rozey Ka.”
– (Sahih-Muslim,
Vol-No: 3, Book:6 (Roze Ka Masayel), Hadees-No:2656)Abdullah Bin Abbas(Radiallahu Taala Anhu) Sey Riwayat Hain Kay Jab Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Madiney Main ashreef Laye Toh Yahudiyon Ko Dekha Kay Aashurey Ka Din Ka Roza Rakhtey Hain, Logo Ney Unn Sey Pucha Ki Kyon Roza rakhtey Hain, Toh Unhoney Kaha Ki Ye Wo Din Hain Jab Allah Ta’ala Ney Musa (Alaihi Salaam) Aur Banee Israeel Ko Firoun Par Galba (Victory) Diya Isliye Aaj Hum Rozedar Hain, Iski Taazeem Kay Liye, Toh Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ney Farmaya: “Hum Tum Sey ziyada Dost Hain Aur Kareeb Hain Musa (Alaihi Salam) Kay, Phir Hukum Diya Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ney Iss (10 Muharram) Rozey Ka.”
✦Aashura ke Roze ki fazilat
Abu Qatada al-Ansari radi Allahu Anhu se rivata hai ki Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) se Asura (10 Muharram) ke din ke rozey ke bare mein pucha to Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne faramaya ye Guzrey huye saal ke gunahon ka kaffara hai.
– (Sahih-Muslim, Vol-no: 3, Book: 6(Roze ka Masayel), Hadees-no: 2747))
★ Akser Logon ko ye Doubt rehta hai k Kiya 10 muharram ka ek hi Roza rakhna chahiye ya Do rakhna hai ?
Iska Jawab Hadees k mafhoom se maloom kartey hain …
Hazrath Abdullah Bin
Abbas Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Jab Roza rakha Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam)
Ne Aashurey ke din (10 Muharram) ka aur Huqm (Order) Kiya is Rozey ka, tou logo
ne Arz ki : “Ya Rasoolallah Sallallahu Alaihi wasallam ye din to aisa hai ki
iski Taazim karte hain Yahud aur Nasara”?
To Aap Sallallahu Alaihi wasallam Ne farmaya Ki : “Jab Agla Saal aayega to Inshallah Hum 9 ka Roza Rakhege” Aakhir Agla Saal na aane paya ki Aap Sallallahu Alaihi wasallam Ne Duniya se parda farma liya.
- ( (Sahih Muslim, Vol 3, 2666)
” Allah tala kahney sunney sey ziyada amal karney ki toufeeq aata farmaye ” aammeen
To Aap Sallallahu Alaihi wasallam Ne farmaya Ki : “Jab Agla Saal aayega to Inshallah Hum 9 ka Roza Rakhege” Aakhir Agla Saal na aane paya ki Aap Sallallahu Alaihi wasallam Ne Duniya se parda farma liya.
- ( (Sahih Muslim, Vol 3, 2666)
” Allah tala kahney sunney sey ziyada amal karney ki toufeeq aata farmaye ” aammeen
*~*--ஜ۩۞۩ஜ----Mumtaz Parveen-----ஜ۩۞۩ஜ---*~*-
●▬▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬▬●
0 comments:
Post a Comment