Witr Aur Tahajjud (Nabi S.A.W -Witr Ko Apni Aakhri Namaz Banao”).
Nabi S.A.W. Ne Farmaya,”Raat Ko Apni Aakhri Namaz Witr Ko Banao”
1- FAZILAT: 
Hajrat Abu Umama r.a. riwayat karte hai ki Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya “Tahajjud zarur padha karo, kyuyki woh tumse pahle bhale logo ki ravish hai aur tumhare liye apne Rab ki nazdiki ka zariya, gunaho ke mitane ka saadhan (aur zyada) gunaho se bachne ka sabab hai.”
 
(Ibn Khuzaima, hadith-1135)
* * * * *

2 - NIYAT:
Rasool’Allah (S.A.W) ne farmaya “Tamaam Amal ka daromadar niyat pe hai”
Sahih al Bukhari, hadith-1
Wazahat: Kisi bhi Namaz ke liye niyat karna zaruri hai lekin Namaz ki Niyat dil se na ke Zuban se ki jati hai.

3 - TAHAJJUD KE LIYE NEEND SE JAGTE WAQT PADHE:
Hajrat Ayesha r.a riwayat karti hai ki Rasool’Allah (S.A.W)  jab raat ko(bistar se tahajjud ke liye) uthte to (yeh ) padhte:
“Allahu Akbar” das baar, “Alhamdulilah” das baar “SubhanAllahi wa behamdihi” das baar, “Subhan al malikil quddus” das baar, “Astagfirullah” das baar, “La ilaha illallahu das baar, aur fir “Allahumma auzubik min zikid dunya wa ziki yaumal qiyamati das baar”. Fir kahte “Allahum magfirli wahdini warzukni wa aafini” fir (wazu wagaira karke) tahajjud shuru karte.
– 
(Sunan Abu Daud, hadith-766)
* * * * *
4 - TAHAJJUD KI DUAE:

Hajrat Ibn Abbas riwayat karte hai ki Rasool’Allah (S.A.W) jab raat ko tahajjud ke liye Khade hote to (takbeer r tahreema ke baad yeh) padhte:” Allahumma lakal-hamd. Anta qaiyimus-samawati wal-ard wa man fihinna. Walakal-hamd, Laka mulkus-samawati wal-ard wa man fihinna. Walakal-hamd, anta nurus-samawati wal-ard. Walakalhamd, anta-l-haq wa wa’duka-l-haq, wa liqa’uka Haq, wa qualuka Haq, wal-jannatu Han wan-naru Haq wannabiyuna Haq. Wa Muhammadun, sallal-lahu’alaihi wasallam, Haq, was-sa’atu Haq. Allahumma aslamtu Laka wabika amantu, wa ‘Alaika tawakkaltu, wa ilaika anabtu wa bika khasamtu, wa ilaika hakamtu faghfir li ma qaddamtu wama akh-khartu wama as-rartu wama’a lantu, anta-l-muqaddim wa anta-l-mu akh-khir, la ilaha illa anta (or la ilaha ghairuka).
– 
(Sahih al Bukhari, hadith-221)
* * * * *
5 - TAHAJJUD KI LAMBAI:

Hajrat Huzaifa r.a. ne Rasool’Allah (S.A.W) ko tahajjud padhte dekha.Woh kahte hai surah Fatiha ke baad apne surah baqara padhi.Fir ruku kiya. Apka ruku apke qayam ki tarah tha(matlab kayam bhi ruku ki tarah kafi lamba tha).Fir apne ruku se sar uthaya.Apka qauma ap ke ruku ki tarah tha(matlab ruku ki tarah qauma bhi kafi lamba tha). Apka sajda apke qaume ki tarah tha(matlab kaume ki tarah apka sajda bhi kafi lamba kiya). Ap dono sajdo ke bich (jalse me) apne sajde ki tarah baithe the.(matlab sajde ki tarah jalse me bhi der lagai aur khub itminan kiya).To apne char rakato me surah Baqara, surah ale-Imran,surah Nisa aur surah Maida padhi.

– 
(Sunan Abu Daud, hadith-874)
* * * * *
Rasool’Allah (S.A.W) ne farmaya “Jo shaks raat ke nawafil me do sao ayat tilawat kare who Ibadatguzar bando me shumaar hota hai”.
– (Sunan Darimi, hadith-3451)
* * * * *

Rasool’Allah (S.A.W) ne farmaya,”Jab tum raat ko nawafil padhna shuru karo to pahle do halki rakat ada karo”.
– (Sahih Muslim, hadith-768)
* * * * *

Rasool’Allah (S.A.W) ne raat ko qiyam kiya pahle do halki raqate padhi, fir do lambi padhi fir unse halki, do lambi rakate padhi, fir unse halki do lambi rakate fir unse halki do lambi rakate fir unse halki do lambi rakate fir ek rakat witr padha. Yeh terah rakate hui.(Apki har do rakate pahli wali do rakato se dhimi hoti thi).
– (Sahih Muslim, hadith-765)
* * * * *

Rasool’Allah (S.A.W) saari raat nawafil nahi padhte the.
– (Sahih Muslim, hadith-746)
* * * * *

6 - KIS TARAH KI AWAZ SE QIRAT KARE:
Rasool’Allah (S.A.W) raat ke nawafil me kabhi aahista aur kabhi jahri(buland awaz se) kirat farmate the.
– (Sunan Nasai, hadith-1637)
* * * * *

7 - TAHAJJUD KITNI RAKAT PADHNI CHAIYE:
Hajrat Ibn Umar r.a. riwayat karte hai ki Rasool’Allah (S.A.W) ne farmaya,”Raat ki namaz do-do rakat hai aur jab subah(sadik) hone ka dar ho to ek rakat padhlo, yeh(ek rakat, pahli saari) namaz ko taak bana degi.
– (Sahih al Bukhari, hadith-990,993)
* * * * *

Rasool’Allah (S.A.W) ki raat ki namaz ki Rakat: Hajrat Ayesha r.a. riwayat karti ki Ramzaan hota ya gair Ramzaan, Rasool’Allah (S.A.W) (raat ki namaz aam taur par) gyarah rakat se zyada nai padhte.(Pahle) aap char rakat padhte aur us namaz ki lambai aur khubsurti ko mat puchye fir aap char rakat padhte aur us namaz ki lambai aur khubsurti ko mat puchye. Fir (akhir) me ap teen rakat (witr) padhte.
– (Sahih al Bukhari,hadith-1147,2013,3569) a Darja Hasil Kar Leta Hai.
* * * * *

WAZAHAT: Upar ki hadith se ye waazeh hua ki tahajjud fajr se pahle chahe jitni padh sakte hai do-do rakat karke, lekin Rasool’Allah (S.A.W) ka tareeka aam taur pe gyarah rakat padhna tha(3 rakat witr ko mila kar).

8 - WITR KI RAKAT:
Rasool’Allah (S.A.W) ne farmaya,”Witr har musalman ka haq hai. To jo shaks paanch rakat witr padhna chahe to wo (paanch) rakat padhe aur jo teen rakat witr padhna chahe to (teen rakat) padhe aur jo koi ek rakat witr padhna chahe to (ek rakat witr) padhe.
– (Sunan Abu Daud,hadith-1422)
* * * * *

NOTERasool’Allah (S.A.W) ne farmaya,”Witr, Aakhir raat me ek rakat hai”.
– (Sahih Muslim, hadith-752)
* * * * *

9 - TEEN WITRO KI KIRAT:
Hajrat Ayesha r.a. riwayat karti hai ki Rasool’Allah (S.A.W) pahli rakat witr me (Sabbihis-m Rabbikal Aala) dusri me (Kul ya ayyuhul Kaafiroon) aur teesri me (Qul Huwallahu ahad) padhte the.
– (Baihaqi, (3/37))
* * * * *

Rasool’Allah (S.A.W) ne farmaya,”Raat ko apni aakhri namaz witr ko banao” .
– (Sahih Muslim, hadith-751)
* * * * *

10 - WITR NAMAZ KI AUKAAT KI FAZILAT:
Rasool’Allah (S.A.W) ne farmaya,”Jo shaks aakhir raat me na uth sake toh wo shuru raat me witr padh le aur jo aakhir raat me uth uth sake wo aakhir raat witr padhe kyuki aakhri raat ki namaz behtreen hai.”
– (Sahih Muslim, hadith-755)
* * * * *

11 - WITRO KE SALAAM KE BAAD:
Hajrat Abi bin Kaa-ab r.a. se Riwayat hai ki Rasool’Allah (S.A.W) witr se salaam ferkar teen baar ye padhte- “Subhan-al Malikil Quddus”.
– (Sunan Abu Daud, hadith-1430)
* * * * *

12 - DUA E QUNOOT KAB PADHE:
Hajrat Abi bin Kaa-ab r.a. farmate hai Rasool’Allah (S.A.W) teen rakat witr padhte aur dua e qunoot ruku se pahle padhte the .
– (Sunan Nasai, 3/235 )
* * * * *

13 - DUA E QUNOOT:
“Allaahumma ihdini feeman hadayta wa ‘aafini feeman ‘aafayta wa tawallani feeman tawallayta wa baarik li feema a’tayta, wa qini sharra ma qadayta , fa innaka taqdi wa la yuqda ‘alayk, wa innahu laa yadhillu man waalayta wa laa ya’izzu man ‘aadayta, tabaarakta Rabbana wa ta’aalayta .
[Ref : Narrated by Abu Dawood, 1213; al-Nasaa’i, 1725; classed as saheeh by al-Albaani in al-Irwa’, 429].


*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●

0 comments:

Post a Comment