╠ •HADEES E PAAK• ╣

Tasbih of Hazrat Fatma Zahra (r.a)
--------------
Ek Baar Khatoon e Jannat, Shehzadi e Rasool   Hazarte Fatima tuz Zahra رضي الله عنها Hazarat Ali K Mashware Par "Allah" Ke Rasool’ (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ki Bargah Me Hazir Hui Aur Kam Kaj Ki Wajah Se Thakan Ka Izhar Krte Hue Khadim K Liye Mutalaba Kiya.

Allah Ke Rasool  (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya: Beti Fatima Allah Se Darti Raho, Farz ki Pabandi K Sath Sath Ghar Ka Kam Bhi Apne Haatho Se Kiya Karo Aur Jab Sone K Liye Leto To Ye Kalemat Padh Liya Karo K Tumhare Liye Khadim Se Behtar Hai.

"33 Baar"Subhanallah ( Tasbeeh)
"33 Baar "Alhamdolillah (Tahmid)
"34 Baar "Allaho Akbar (Takbeer) Parh Liya Karo.
– (Sahih-Muslim, 6918, (Abu Dawood, Bukhari, Madarijin Nabuwwat)As


»*Nekiyo Ke Muamle Me Sahaba Ka Waqiya »*

 Mahfum-e-Hadees:Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ke Paas Kuch Sahabi (RaziAllahu Anhu) Aatey Hai Jo Gareeb They, Rasool’Allah Se Arz Karte Hai –
Ya Rasool’Allah ! Yeh Maaldaar Log (Sahaba-e-Kiram) Namaz Padhtey Hai, Roza Rakhtey Hai, Hajj Karte Hai, Zakaat Detey Hai, Tamaam Kaam Karte Hai, Uskey Bawajud Allah Ki Raah Me Maal Kharch Karke Nekiyon Me Humse Aagey Nikal Jaate Hai..
Aap Hume Koi Aisa Amal(Solution) De Dijiye Ta’aki Hum Bhi Nekiyo Me Inkey Barabar Aa Jaye..

Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam)  Ne Farmaya – “Har Namaz Ke Baad 33 Martaba Tasbeeh (Subhan’Allah) Aur Tamheed (Alhamdulillah) Aur Takbeer (Allahu Akbar) Aur Aakhir Me Kaho ‘La Ilaha Illa Wahdahu La Sharika Lahu, Lahul Mulku Wa Lahul Hamdu, Wa Huwa Ala Kulli Sha’in Qadir’
Fir Tum Bhi Nekiyon Me Inkey Barabar Aa Jaoge.”

*Gareeb Sahaba Khush Hue.. Ke Ab Hum Bhi Nekiyon Me Ameer Sahaba Ke Barabar Ho Jayenge.
Masjid Me Pohchey, Aur Namaz Ke Baad Tehtees-Tehtees Martaba Tasbeeh, Tamheed Aur Takbeer Padhney Lage ..

Yeh Amal Dekhkar Ameer Sahabiyon Ko Ta’ajub Hua Aur Ek Ne Unsey Sawal Kiya Ke Ye Kaisa Amal Hai?
Ab Gareeb Sahaba Chupa Bhi Nahi Sakte They.. Unhone Kaha Ke – ‘Hum Tumhari Shikayat Lekar Gaye They
Rasool ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Ke Paas.. Ke Tum Maal Ki Vajah Se Nekion Me Humse Aagey Nikal Jatey Ho, Hum Bhi Nekiyo Me Tumhare Barabar Aana Chahte They Lihaja Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam)   Ne Hume Yeh Falah Falah Tasbih De Di …

Unn Ameer Sahabiyon Ne Kaha – ‘Acha Thik Hai’
Ab Agli Namaz Me Sabhi Moujud Hai.. Namaz Ke Baad Gareeb Bhi Tasbeeh Padh Rahe Hai Aur Ameer Bhi ..

*Wo Fauran
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam)  Ke Paas Pohche Aur Arz Kiya – ‘Ya Rasool’Aallah(Sallallahu Alaihay Wasallam) Jo Amal Aapne Hume Diya Tha Wo Unhone Ne Bhi Shuru Kar Diya’..

Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam)   Ne Farmaya … Zalika Fazlullahi Yuti Hi Mayyashaha”
 (Yeh Allah Ka Fazl Hai Maal-O-Daulat Wo Jise Chahta Hai Ata Karta Hai)..
– (Sahih Bukhari, Vol 2, #843)
– (Sahih Muslim Book 004, Hadith no. 1239

*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●

0 comments:

Post a Comment