▄    █ ♥ Mumtaz ♥ █    ▄  

╠ •HADEES E PAAK• ╣

Apne Nek Aamaal Ke Waseele Se Dua Mangna
--------------
Abdullah-Bin-Umar{Ra} se rawayat hai, Ke Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya -

Teen(3) Aadmi ja rahe the, itne me barish hone lagi to wo pahad me ek GAAR tha isme ghoos gaye, Pahad par se ek pather gira aur GAAR ke monh par aagaya aur monh band ho gaya, Ek ne dosre se kaha:- apne apne neak Aamaal ka khayal karo jo ALLAH ke liye ho aur DUA maango in Aamaal ke WASILE se shayed Allah-Taala is pather ko khool de tumhare liye.

TO INME SE EK NE KAHA:- Mere MAA-BAAP budhe zayef the aur meri Biwi(wife) aur mere chote chote ladke the, ke main inke waste Bhed, Bakriyan charaya karta tha, to inka Dodh(milk) duhta tha aur sabse pahele apne MAA_BAAP se suru karta tha, to inko apne ladko se pahele pilata tha, albatta ek din mujhko bakriyon ka chara bahut door mila so main ghar na aaya yahan tak ke mujhko aane me shaam ho gai to maine apne MAA-BAAP ko sota hua paya, phir maine doodh(milk) duha jis tarah duha karta tha, phir main doodh(milk) laya aur apne MAA-BAAP ke sar ke pass khada hua, mujhko bura laga ke main inko neend se jagaon aur bura laga ke inse pahele ladko ko pilaon aur ladke bhook ke mare shoor kar rahe the mere dono pairo(legs) ke pass, so issi tarah barabar mera aur inka haal raha subah tak(yani main apne MAA-BAAP ke intejar me doodh liye raat bhar khada raha) aur ladke rote chillate rahe, na maine piya aur na ladko ko pilaya, so Elaahi agar tu janta hai ke aisi Mahnat aur Moshaqqat teri razamandi ke waste tha to Aye Allah is musibat se hamko nikal de,is chattan ko hata de, to patthar apni jagah se thora sa hat gaya,

DOSRE NE KAHA:- Elaahi majra ye hai ke mere chacha(Uncle) ki ek Beti thi, jis se main mohabbat karta tha jis tarah Mard-Aurat karte hain (main iska kamaal Ashiq tha) so iski taraf mayel ho kar maine iski zaat ko chaha(magar usne hamesha apne aap ko mujhse door rakha) isne na mana or mana kar diya:-- yahan tak ke ek aisa waqt aaya, kahat Sali aayi, wo mohtaji me mere pass kuchh deenar k liye aayi, to mene ek shart par usko majboor kiya, ke me 120 deenar tujhe dunga, lkn iske badle me kaya hai - ke tu apne silsile me mujhko Ikhtyaar de de, wo majboori me tayyar ho gayi, Lekin wo taqwe wali thi, Jab main ne usse galat irada kiya (apna matlab chaha) to usne kaha:- Aye Allah ke bande! dar ALLAH se aur mat tood mahar ko magar haq se(begair Nikah ke Izzat mat zayel kar) to main uth khada hua or me usse alag ho gaya - me aise waqt me usse alag hua jabke wo mujhe bohot mehboob thi, or jo mene usko deenar diye the wo bhi usi pe chhor diye:- Elaahi agar tu janta hai ke ye kaam maine teri razamandi ke liye kiya to Aye Allah is musibat se hamko nikal de,patthar or thora sa hat gaya, lekin abhi bhi wo bahar nai nikal sakte the, 

TEESRE NE KAHA:- Elaahi maine ek saks se mazdoori li, ek Farq chawal par(yani wo bartan jisme 16 ratal aanaj aata hai) jab wo kaam kar chuka isne kaha: mera haq de maine ek Farq bhar chawal iske samne rakhi, isne na liya phir maine in chawalon ko bota raha, isme barkat hui yahan tak ke maine is maal se Gaaye aur Bael(cow & bull) aur inke charane wale gulaam ikhatta kiya, phir wo majdoor mere pass aaya aur kahne laga: Allah se dar aur mera haq mat maar, maine kaha ja aur Gaaye Bael(Cow-Bull) aur iske charane wale sab tu lele---wo bola: Allah Jabbar se dar aur mujhse mazak mat kar, maine kaha main mazak nahi karta, wo Gaaye Bael(Cow-Bull) aur charane wale ko tu lele isne le liya, phir agar tu janta hai ke maine teri razamandi ke liye tha to Aye Allah is musibat se hamko nikal de, to Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmate han ke wo patthar apni jagah se hat gaya aur wo log GAAR se bahar nikal gaye.
-
 ( *Sahih-Muslim, Hadees-no---6939* / *Sahih-Bukhari, Hadees-no---2333,2215*)

Tashrih:- IS hadees se jo baat samne aati hai wo ye hai,

1✦ Sakht mosibat me aur nehayat pareshani me jiski koi tabdir na ho sake to apne khalis Aamaal ko WASILA bana kar Allah se DUA kare Allah isko nijad de.

2✦ MAA-BAAP ka haq apni jaan aur biwi, ladko ke haq me muqaddam hai aur neakiyon me dakhil hai.

3✦ Qadir ho kar gunnah se bachna aur sirf Allah ke Dar-wa-Khauf se shawat ko dabana aur khawash-e-nafs ko mitana bede kamala ki baat hai, aur Allah ko nihayat pasand hai.

4✦ Haq walon ka haq adda karna Raza-e-Elaahi ka umdaa wasila hai.

5✦ Maalik ke ijazat ke bina koi aanaj bo de to iska hasilaat ka maalik asal maalik hi hoga


*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●

0 comments:

Post a Comment